BEST OF JASHN-E-REKHTA 2022: WOMEN POETS
This is a collection of few selected couplets recited in the Female Poets Mushaira of Jashn-e-Rekhta 2022.
phailte hue shahro apnī vahshateñ roko
mere ghar ke āñgan par āsmān rahne do
phailte hue shahro apni wahshaten roko
mere ghar ke aangan par aasman rahne do
-
Tag : Aangan
maiñ sāmne huuñ abhī guftugū karo mujh se
ki baad meñ mirī tasvīr dekhte rahnā
main samne hun abhi guftugu karo mujh se
ki baad mein meri taswir dekhte rahna
chupke-chupke 'ishq karne kā koī hāsil nahīñ
'ishq meñ manzil milā kartī hai rusvā.ī ke baa'd
chupke-chupke 'ishq karne ka koi hasil nahin
'ishq mein manzil mila karti hai ruswai ke ba'd
ham se kahā gayā thā ki raanī baneñgī aap
yā'nī ki ḳhud ko pahle hī raajā kahā gayā
hum se kaha gaya tha ki rani banengi aap
ya'ni ki KHud ko pahle hi raja kaha gaya
maiñ bhuul jā.ūñ tujhe yā maiñ intizār karūñ
tū apne jaane se pahle mujhe batā kar jā
main bhul jaun tujhe ya main intizar karun
tu apne jaane se pahle mujhe bata kar ja
haar us kī jītne kā shauq merā le ga.ī
phir mujhe haarā huā har marhala achchhā lagā
haar us ki jitne ka shauq mera le gai
phir mujhe haara hua har marhala achchha laga
tum ko chāheñ bhī aur ġhair ke saath bhī dekheñ
tum kyā jaano ishq kī kyā kyā lāchārī hai
tum ko chahen bhi aur ghair ke sath bhi dekhen
tum kya jaano ishq ki kya kya lachaari hai
uljhe uljhe resham kī Dor se bañdhe rishte
har ghaḌī mohabbat kā imtihān rahne do
uljhe uljhe resham ki Dor se bandhe rishte
har ghaDi mohabbat ka imtihan rahne do
maan letī maiñ kahā us kā magar
vo guzārish kar rahā hai zid nahīñ
man leti main kaha us ka magar
wo guzarish kar raha hai zid nahin
masīhā maan baiThā hai vo ḳhud ko
use kuchh zaḳhm kyā dikhlā diye haiñ
masiha man baiTha hai wo KHud ko
use kuchh zaKHm kya dikhla diye hain
kaise kar luuñ yaqīn maiñ terā
qasmoñ kā kyā hai saare khāte haiñ
kaise kar lun yaqin main tera
qasmon ka kya hai sare khate hain
dekh kar sitāroñ ko mujh ko to ye lagtā hai
duur āsmānoñ meñ cigaretteñ sulagtī haiñ
dekh kar sitaron ko mujh ko to ye lagta hai
dur aasmanon mein cigaretten sulagti hain
mujh meñ kyā mere sivā aur bhī rahtā hai koī
maiñ to so jaatī huuñ phir ḳhvāb kise dikhte haiñ
mujh mein kya mere siwa aur bhi rahta hai koi
main to so jati hun phir KHwab kise dikhte hain
dasht āñkhoñ meñ thā āvāz meñ vīrānī thī
khā gayā shahr use kahte haiñ dīvānī thī
dasht aankhon mein tha aawaz mein virani thi
kha gaya shahr use kahte hain diwani thi