Celebrating Children's Day
It is Children's day today. We have curated some beautiful couplets of various poets around kids. Use these to celebrate Children's Day with your kids.
ghar se masjid hai bahut duur chalo yuuñ kar leñ
kisī rote hue bachche ko hañsāyā jaa.e
the mosques too far so for a while
some weeping child, let us make smile
ghar se masjid hai bahut dur chalo yun kar len
kisi rote hue bachche ko hansaya jae
the mosques too far so for a while
some weeping child, let us make smile
-
Tags : Famous shayariand 2 more
uḌne do parindoñ ko abhī shoḳh havā meñ
phir lauT ke bachpan ke zamāne nahīñ aate
uDne do parindon ko abhi shoKH hawa mein
phir lauT ke bachpan ke zamane nahin aate
-
Tag : Bachpan
jitnī burī kahī jaatī hai utnī burī nahīñ hai duniyā
bachchoñ ke schōl meñ shāyad tum se milī nahīñ hai duniyā
jitni buri kahi jati hai utni buri nahin hai duniya
bachchon ke school mein shayad tum se mili nahin hai duniya
suno samundar kī shoḳh lahro havā.eñ Thahrī haiñ tum bhī Thahro
vo duur sāhil pe ek bachcha abhī gharauñde banā rahā hai
suno samundar ki shoKH lahro hawaen Thahri hain tum bhi Thahro
wo dur sahil pe ek bachcha abhi gharaunde bana raha hai
faqat māl-o-zar-e-dīvār-o-dar achchhā nahīñ lagtā
jahāñ bachche nahīñ hote vo ghar achchhā nahīñ lagtā
faqat mal-o-zar-e-diwar-o-dar achchha nahin lagta
jahan bachche nahin hote wo ghar achchha nahin lagta
-
Tag : Bachpan
titliyāñ pakaḌne meñ duur tak nikal jaanā
kitnā achchhā lagtā hai phuul jaise bachchoñ par
titliyan pakaDne mein dur tak nikal jaana
kitna achchha lagta hai phul jaise bachchon par
vo lamha jab mire bachche ne maañ pukārā mujhe
maiñ ek shāḳh se kitnā ghanā daraḳht huī
wo lamha jab mere bachche ne man pukara mujhe
main ek shaKH se kitna ghana daraKHt hui
-
Tag : Mother
sātoñ aalam sar karne ke ba.ad ik din kī chhuTTī le kar
ghar meñ chiḌiyoñ ke gaane par bachchoñ kī hairānī dekho
saton aalam sar karne ke baad ek din ki chhuTTi le kar
ghar mein chiDiyon ke gane par bachchon ki hairani dekho
-
Tag : Bachpan
bhale lagte haiñ schōloñ kī uniform meñ bachche
kañval ke phuul se jaise bharā tālāb rahtā hai
bhale lagte hain schoolon ki uniform mein bachche
kanwal ke phul se jaise bhara talab rahta hai
mohalle vaale mere kār-e-be-masraf pe hañste haiñ
maiñ bachchoñ ke liye galiyoñ meñ ġhubbāre banātā huuñ
mohalle wale mere kar-e-be-masraf pe hanste hain
main bachchon ke liye galiyon mein ghubbare banata hun
-
Tag : Bachpan
koī schōl kī ghanTī bajā de
ye bachcha muskurānā chāhtā hai
koi school ki ghanTi baja de
ye bachcha muskurana chahta hai
ise bachchoñ ke hāthoñ se uThāo
ye duniyā is qadar bhārī nahīñ hai
ise bachchon ke hathon se uThao
ye duniya is qadar bhaari nahin hai
bachche ne titlī pakaḌ kar chhoḌ dī
aaj mujh ko bhī ḳhudā achchhā lagā
bachche ne titli pakaD kar chhoD di
aaj mujh ko bhi KHuda achchha laga
nursery kā dāḳhila bhī sarsarī mat jāniye
aap ke bachche ko aflātūn honā chāhiye
nursery ka daKHila bhi sarsari mat jaaniye
aap ke bachche ko aflatun hona chahiye
kal yahī bachche samundar ko muqābil pā.eñge
aaj tairāte haiñ jo kāġhaz kī nannhī kashtiyāñ
kal yahi bachche samundar ko muqabil paenge
aaj tairaate hain jo kaghaz ki nannhi kashtiyan
kisī bachche se piñjrā khul gayā hai
parindoñ kī rihā.ī ho rahī hai
kisi bachche se pinjra khul gaya hai
parindon ki rihai ho rahi hai
bachā ke laa.eñ kisī bhī yatīm bachche ko
aur us ke haath se taḳhlīq-e-kā.ināt kareñ
bacha ke laen kisi bhi yatim bachche ko
aur us ke hath se taKHliq-e-kainat karen
jab bachchoñ ko dekhtā huuñ to sochtā huuñ
mālik in phūloñ kī umr darāz kare
jab bachchon ko dekhta hun to sochta hun
malik in phulon ki umr daraaz kare
sauñpoge apne ba.ad virāsat meñ kyā mujhe
bachche kā ye savāl hai gūñge samāj se
saunpoge apne baad wirasat mein kya mujhe
bachche ka ye sawal hai gunge samaj se
rāsta rok liyā merā kisī bachche ne
is meñ koī to 'asar' merī bhalā.ī hogī
rasta rok liya mera kisi bachche ne
is mein koi to 'asar' meri bhalai hogi