Humne kya khoya humne kya paya?
We all desire profit and benefit in everything we do, including our wealth and other possessions. When we experience a loss, we hope to make it up in other areas of our lives, and this cycle of gain and loss continues. We are presenting you a selection of some couplets on this theme. Read and Enjoy.
us ne pūchā thā kyā haal hai
aur maiñ sochtā rah gayā
us ne pucha tha kya haal hai
aur main sochta rah gaya
-
Tag : Sad
ishq meñ kyā nuqsān naf.a hai ham ko kyā samjhāte ho
ham ne saarī umr hī yaaro dil kā kārobār kiyā
ishq mein kya nuqsan nafa hai hum ko kya samjhate ho
hum ne sari umr hi yaro dil ka karobar kiya
javāz koī agar merī bandagī kā nahīñ
maiñ pūchhtā huuñ tujhe kyā milā ḳhudā ho kar
jawaz koi agar meri bandagi ka nahin
main puchhta hun tujhe kya mila KHuda ho kar
mire saath chalne vaale tujhe kyā milā safar meñ
vahī dukh-bharī zamīñ hai vahī ġham kā āsmāñ hai
mere sath chalne wale tujhe kya mila safar mein
wahi dukh-bhari zamin hai wahi gham ka aasman hai
kyā milā arz-e-mudda.ā kar ke
baat bhī khoī iltijā kar ke
kya mila arz-e-muddaa kar ke
baat bhi khoi iltija kar ke
pahlī saañs pe maiñ royā thā āḳhirī saañs pe duniyā
in sāñsoñ ke biich meñ ham ne kyā khoyā kyā paayā
pahli sans pe main roya tha aaKHiri sans pe duniya
in sanson ke bich mein hum ne kya khoya kya paya
zarā sī baat pe kyā kyā na kho diyā maiñ ne
jo tum ne khoyā hai us kā shumār tum bhī karo
zara si baat pe kya kya na kho diya main ne
jo tum ne khoya hai us ka shumar tum bhi karo
kaisā ajiib aayā hai is saal kā bajaT
murġhī kā jo bajaT hai vahī daal kā bajaT
kaisa ajib aaya hai is sal ka bajaT
murghi ka jo bajaT hai wahi dal ka bajaT
ziyān-e-dil hī is bāzār meñ sūd-e-mohabbat hai
yahāñ hai fā.eda ḳhud ko agar nuqsān meñ rakh leñ
ziyan-e-dil hi is bazar mein sud-e-mohabbat hai
yahan hai faeda KHud ko agar nuqsan mein rakh len
-
Tags : Ishqand 1 more
T.v kā ye mazāq adīboñ ke saath hai
shā.er se dugnā rakh diyā qavvāl kā bajaT
Tw ka ye mazaq adibon ke sath hai
shaer se dugna rakh diya qawwal ka bajaT
bajaT maiñ ne dekhe haiñ saare tire
anokhe anokhe ḳhasāre tire
bajaT main ne dekhe hain sare tere
anokhe anokhe KHasare tere
biktī hai ab kitāb bhī cassette ke rate pe
kaise banegā 'ġhālib' o 'iqbāl' kā bajaT
bikti hai ab kitab bhi cassette ke rate pe
kaise banega 'ghaalib' o 'iqbaal' ka bajaT
vaar pusht par karke kyā milā tumheñ āḳhir
ek pal meñ kho baiThe e'tibār jitnā thā
war pusht par karke kya mila tumhein aaKHir
ek pal mein kho baiThe e'tibar jitna tha
bichhḌe the jab ye log mahīna thā june kā
sohnī banā rahī thī mahīñvāl kā bajaT
bichhDe the jab ye log mahina tha june ka
sohni bana rahi thi mahinwal ka bajaT