MONDAY BLUES: AAJ TO BE-SABAB UDAAS HAI JII
Monday blues means you wake up on Monday morning with a deep sense of sadness and depression. Its full effect is usually seen in students, workers, and employees who have to spend a fixed amount of time away from home in offices or schools for five or six days a week. In such cases, returning to work after the weekend makes people nervous and depressed, and sadness and lethargy prevail on their faces. Read our sher collection for such occasions.
dil dhaḌakne kā sabab yaad aayā
vo tirī yaad thī ab yaad aayā
dil dhaDakne ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya
-
Tags : Ishqand 4 more
na jaane kis liye ummīd-vār baiThā huuñ
ik aisī raah pe jo terī rahguzar bhī nahīñ
na jaane kis liye ummid-war baiTha hun
ek aisi rah pe jo teri rahguzar bhi nahin
-
Tags : Mayoosiand 1 more
bharī duniyā meñ jī nahīñ lagtā
jaane kis chiiz kī kamī hai abhī
bhari duniya mein ji nahin lagta
jaane kis chiz ki kami hai abhi
-
Tag : Mayoosi
kal kā din haa.e kal kā din ai 'jaun'
kaash is raat ham bhī mar jaa.eñ
kal ka din hae kal ka din ai 'jaun'
kash is raat hum bhi mar jaen
aaj to be-sabab udaas hai jī
ishq hotā to koī baat bhī thī
aaj to be-sabab udas hai ji
ishq hota to koi baat bhi thi
-
Tag : Mayoosi
maiñ zindagī ke sabhī ġham bhulā.e baiThā huuñ
tumhāre ishq se kitnī mujhe sahūlat hai
main zindagi ke sabhi gham bhulae baiTha hun
tumhaare ishq se kitni mujhe sahulat hai
daftar se mil nahīñ rahī chhuTTī vagarna maiñ
bārish kī ek buuñd na be-kār jaane duuñ
daftar se mil nahin rahi chhuTTi wagarna main
barish ki ek bund na be-kar jaane dun
ḳhudā ko maan ki tujh lab ke chūmne ke sivā
koī ilaaj nahīñ aaj kī udāsī kā
KHuda ko man ki tujh lab ke chumne ke siwa
koi ilaj nahin aaj ki udasi ka
-
Tag : Lab
bahut māyūs baiThā huuñ maiñ tum se
kabhī aa kar mujhe hairat meñ Daalo
bahut mayus baiTha hun main tum se
kabhi aa kar mujhe hairat mein Dalo
din ko daftar meñ akelā shab bhare ghar meñ akelā
maiñ ki aks-e-muntashir ek ek manzar meñ akelā
din ko daftar mein akela shab bhare ghar mein akela
main ki aks-e-muntashir ek ek manzar mein akela
-
Tag : Tanhai
hamāre dil ko ik āzār hai aisā nahīñ lagtā
ki ham daftar bhī jaate haiñ ġhazal-ḳhvānī bhī karte haiñ
hamare dil ko ek aazar hai aisa nahin lagta
ki hum daftar bhi jate hain ghazal-KHwani bhi karte hain
ye kis maqām pe laa.ī hai zindagī ham ko
hañsī laboñ pe hai siine meñ ġham kā daftar hai
ye kis maqam pe lai hai zindagi hum ko
hansi labon pe hai sine mein gham ka daftar hai
-
Tag : Gham
office meñ bhī ghar ko khulā paatā huuñ maiñ
Table par sar rakh kar so jaatā huuñ maiñ
office mein bhi ghar ko khula pata hun main
Table par sar rakh kar so jata hun main
baat niklegī to phir duur talak jā.egī
log be-vaj.h udāsī kā sabab pūchheñge
baat niklegi to phir dur talak jaegi
log be-wajh udasi ka sabab puchhenge
kitnī vahshat hai darmiyān-e-hujūm
jis ko dekho gayā huā hai kahīñ
kitni wahshat hai darmiyan-e-hujum
jis ko dekho gaya hua hai kahin
koī pūchhe to sahī ham se hamārī rūdād
ham to ḳhud shauq meñ afsāna bane baiThe haiñ
koi puchhe to sahi hum se hamari rudad
hum to KHud shauq mein afsana bane baiThe hain
daftar meñ zehn ghar pe nigah rāste meñ paañv
jiine kī kāvishoñ meñ badan haath se gayā
daftar mein zehn ghar pe nigah raste mein panw
jine ki kawishon mein badan hath se gaya
hotī hai tere naam se vahshat kabhī kabhī
barham huī hai yuuñ bhī tabī.at kabhī kabhī
hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi
barham hui hai yun bhi tabiat kabhi kabhi
-
Tag : Wahshat
maiñ kis se kartā yahāñ guftugū koī bhī na thā
nahīñ thā mere muqābil jo tū koī bhī na thā
main kis se karta yahan guftugu koi bhi na tha
nahin tha mere muqabil jo tu koi bhi na tha
-
Tag : Tanhai
thakā haarā nikal kar ghar se apne
vo phir office meñ sone jā chukā hai
thaka haara nikal kar ghar se apne
wo phir office mein sone ja chuka hai