Na hara hai ishq aur na duniya thaki hai: Khumar Barabankavi
Khumar Barabankvi's poetry is renowned for its captivating melodies and emotional depth. With a classical style and a melodious voice, his couplets resonate profoundly with audiences, capturing the essence of Urdu poetry in its purest form. Read and Enjoy.
vahī phir mujhe yaad aane lage haiñ
jinheñ bhūlne meñ zamāne lage haiñ
wahi phir mujhe yaad aane lage hain
jinhen bhulne mein zamane lage hain
-
Tag : Yaad
bhūle haiñ rafta rafta unheñ muddatoñ meñ ham
qistoñ meñ ḳhud-kushī kā mazā ham se pūchhiye
bhule hain rafta rafta unhen muddaton mein hum
qiston mein KHud-kushi ka maza hum se puchhiye
-
Tags : Ishqand 2 more
ye kahnā thā un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne meñ mujh ko zamāne lage haiñ
ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamane lage hain
-
Tags : Ishqand 2 more
mohabbat ko samajhnā hai to nāseh ḳhud mohabbat kar
kināre se kabhī andāza-e-tūfāñ nahīñ hotā
if love you need to fathom, friend, in love you need to be
the storm cannot be felt by merely sitting by the sea
mohabbat ko samajhna hai to naseh KHud mohabbat kar
kinare se kabhi andaza-e-tufan nahin hota
if love you need to fathom, friend, in love you need to be
the storm cannot be felt by merely sitting by the sea
sunā hai hameñ vo bhulāne lage haiñ
to kyā ham unheñ yaad aane lage haiñ
suna hai hamein wo bhulane lage hain
to kya hum unhen yaad aane lage hain
-
Tag : Yaad
ab in hudūd meñ laayā hai intizār mujhe
vo aa bhī jaa.eñ to aa.e na e'tibār mujhe
ab in hudud mein laya hai intizar mujhe
wo aa bhi jaen to aae na e'tibar mujhe
aisā nahīñ ki un se mohabbat nahīñ rahī
jazbāt meñ vo pahlī sī shiddat nahīñ rahī
aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi
jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi
-
Tag : Mohabbat
tujh ko barbād to honā thā bahar-hāl 'ḳhumār'
naaz kar naaz ki us ne tujhe barbād kiyā
tujh ko barbaad to hona tha bahar-haal 'KHumar'
naz kar naz ki us ne tujhe barbaad kiya
charāġhoñ ke badle makāñ jal rahe haiñ
nayā hai zamāna na.ī raushnī hai
charaghon ke badle makan jal rahe hain
naya hai zamana nai raushni hai
o jaane vaale aa ki tire intizār meñ
raste ko ghar banā.e zamāne guzar ga.e
o jaane wale aa ki tere intizar mein
raste ko ghar banae zamane guzar gae
-
Tag : Intezar
sahrā ko bahut naaz hai vīrānī pe apnī
vāqif nahīñ shāyad mire ujḌe hue ghar se
sahra ko bahut naz hai virani pe apni
waqif nahin shayad mere ujDe hue ghar se
ye vafā kī saḳht rāheñ ye tumhāre paañv nāzuk
na lo intiqām mujh se mire saath saath chal ke
your feet are tender, delicate, harsh are the paths of constancy
on me your vengeance do not wreak, by thus giving me company
ye wafa ki saKHt rahen ye tumhaare panw nazuk
na lo intiqam mujh se mere sath sath chal ke
your feet are tender, delicate, harsh are the paths of constancy
on me your vengeance do not wreak, by thus giving me company
raat baaqī thī jab vo bichhḌe the
kaT ga.ī umr raat baaqī hai
raat baqi thi jab wo bichhDe the
kaT gai umr raat baqi hai
dushmanoñ se pashemān honā paḌā hai
dostoñ kā ḳhulūs āzmāne ke ba.ad
dushmanon se pasheman hona paDa hai
doston ka KHulus aazmane ke baad
-
Tags : Dostand 1 more
na haarā hai ishq aur na duniyā thakī hai
diyā jal rahā hai havā chal rahī hai
na haara hai ishq aur na duniya thaki hai
diya jal raha hai hawa chal rahi hai
umr bhar chal ke bhī paa.ī nahīñ manzil ham ne
kuchh samajh meñ nahīñ aatā ye safar kaisā hai
umr bhar chal ke bhi pai nahin manzil hum ne
kuchh samajh mein nahin aata ye safar kaisa hai
ham bhī kar leñ jo raushnī ghar meñ
phir añdhere kahāñ qayām kareñ
if I light up my house then say
where will this darkness go and stay
hum bhi kar len jo raushni ghar mein
phir andhere kahan qayam karen
if I light up my house then say
where will this darkness go and stay
hāl-e-ġham kah ke ġham baḌhā baiThe
tiir maare the tiir khā baiThe
haal-e-gham kah ke gham baDha baiThe
tir mare the tir kha baiThe
-
Tag : Teer
kahīñ sher o naġhma ban ke kahīñ āñsuoñ meñ Dhal ke
vo mujhe mile to lekin ka.ī sūrateñ badal ke
kahin sher o naghma ban ke kahin aansuon mein Dhal ke
wo mujhe mile to lekin kai suraten badal ke
jalte diyoñ meñ jalte gharoñ jaisī zau kahāñ
sarkār raushnī kā mazā ham se pūchhiye
jalte diyon mein jalte gharon jaisi zau kahan
sarkar raushni ka maza hum se puchhiye