Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kafeel Aazar Amrohvi's Photo'

Kafeel Aazar Amrohvi

1940 | Mumbai, India

Poet and lyricist. Famous for his nazm "baat niklegi to phir door talak jayegi" sung by Jagjit Singh.

Poet and lyricist. Famous for his nazm "baat niklegi to phir door talak jayegi" sung by Jagjit Singh.

Sher of Kafeel Aazar Amrohvi

7.4K
Favorite

SORT BY

baat niklegī to phir duur talak jā.egī

log be-vaj.h udāsī sabab pūchheñge

baat niklegi to phir dur talak jaegi

log be-wajh udasi ka sabab puchhenge

maiñ apne-āp se har dam ḳhafā rahtā huuñ yuuñ 'āzar'

purānī dushmanī ho jis tarah do ḳhāndānoñ meñ

main apne-ap se har dam KHafa rahta hun yun 'azar'

purani dushmani ho jis tarah do KHandanon mein

kab aaoge ye ghar ne mujh se chalte vaqt pūchhā thā

yahī āvāz ab tak gūñjtī hai mere kānoñ meñ

kab aaoge ye ghar ne mujh se chalte waqt puchha tha

yahi aawaz ab tak gunjti hai mere kanon mein

makāñ shīshe banvāte ho 'āzar'

bahut ā.eñge patthar dekh lenā

makan shishe ka banwate ho 'azar'

bahut aaenge patthar dekh lena

hal na thā mushkil koī us ke paas

sirf va.ade āsmānī de gayā

hal na tha mushkil ka koi us ke pas

sirf wade aasmani de gaya

ek ik baat meñ sachchā.ī hai us lekin

apne va.adoñ se mukar jaane ko chāhtā hai

ek ek baat mein sachchai hai us ki lekin

apne wadon se mukar jaane ko ji chahta hai

tum ko māhaul se ho jā.egī nafrat 'āzar'

itne nazdīk se dekhā na karo yāroñ ko

tum ko mahaul se ho jaegi nafrat 'azar'

itne nazdik se dekha na karo yaron ko

us āñkhoñ meñ utar jaane ko chāhtā hai

shaam hotī hai to ghar jaane ko chāhtā hai

us ki aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai

sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai

jab se ik ḳhvāb ta.abīr milī hai mujh ko

maiñ har ik ḳhvāb ta.abīr se ghabrātā huuñ

jab se ek KHwab ki tabir mili hai mujh ko

main har ek KHwab ki tabir se ghabraata hun

ye hādsa to huā nahīñ hai tere ba.ad

ġhazal kisī ko kahā nahīñ hai tere ba.ad

ye hadsa to hua hi nahin hai tere baad

ghazal kisi ko kaha hi nahin hai tere baad

koī manzil nahīñ miltī to Thahar jaate haiñ

ashk āñkhoñ meñ musāfir tarah aate haiñ

koi manzil nahin milti to Thahar jate hain

ashk aankhon mein musafir ki tarah aate hain

baat niklegī to phir duur talak jā.egī

log be-vaj.h udāsī sabab pūchheñge

baat niklegi to phir dur talak jaegi

log be-wajh udasi ka sabab puchhenge

ik sahmā huā sunsān galī nukkaḌ

shahar bhiiḌ meñ akasr mujhe yaad aayā hai

ek sahma hua sunsan gali ka nukkaD

shahar ki bhiD mein akasr mujhe yaad aaya hai

ye hādsa bhī tire shahr meñ huā hogā

tamām shahr mujhe DhūñDhtā phirā hogā

ye hadsa bhi tere shahr mein hua hoga

tamam shahr mujhe DhunDhta phira hoga

ham bhī in bachchoñ mānind koī pal leñ

ek sikka jo hathelī pe sajā laate haiñ

hum bhi in bachchon ki manind koi pal ji len

ek sikka jo hatheli pe saja late hain

sub.h le jaate haiñ ham apnā janāza ghar se

shaam ko phir use kāñdhoñ pe uThā laate haiñ

subh le jate hain hum apna janaza ghar se

sham ko phir use kandhon pe uTha late hain

udāsī samundar dekh lenā

mirī āñkhoñ meñ aa kar dekh lenā

udasi ka samundar dekh lena

meri aankhon mein aa kar dekh lena

tumhārī bazm se nikle to ham ne ye sochā

zamīñ se chāñd talak kitnā fāsla hogā

tumhaari bazm se nikle to hum ne ye socha

zamin se chand talak kitna fasla hoga

kamre meñ phailtā rahā cigarette dhuāñ

maiñ band khiḌkiyoñ taraf dekhtā rahā

kamre mein phailta raha cigarette ka dhuan

main band khiDkiyon ki taraf dekhta raha

mere hāthoñ se khilaune chhīn kar

mujh ko zaḳhmoñ kahānī de gayā

mere hathon se khilaune chhin kar

mujh ko zaKHmon ki kahani de gaya

jaate jaate ye nishānī de gayā

vo mirī ā.ankhoñ meñ paanī de gayā

jate jate ye nishani de gaya

wo meri aaankhon mein pani de gaya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now