Sher on Sach
Truth and falsity represent
two facets and write life’s story at large. Truth is bare, sometimes even unkind but worth respecting as they stay ultimately and win the final battle. Interestingly, truth survives because it has falsity to challenge it. Here are some shers for you to appreciate the nature and worth of truth.
maiñ sach kahūñgī magar phir bhī haar jā.ūñgī
vo jhuuT bolegā aur lā-javāb kar degā
main sach kahungi magar phir bhi haar jaungi
wo jhuT bolega aur la-jawab kar dega
-
Tag : Haar
jhuuT bolā hai to qaa.em bhī raho us par 'zafar'
aadmī ko sāhab-e-kirdār honā chāhiye
jhuT bola hai to qaem bhi raho us par 'zafar'
aadmi ko sahab-e-kirdar hona chahiye
sādiq huuñ apne qaul kā 'ġhālib' ḳhudā gavāh
kahtā huuñ sach ki jhuuT kī aadat nahīñ mujhe
sadiq hun apne qaul ka 'ghaalib' KHuda gawah
kahta hun sach ki jhuT ki aadat nahin mujhe
jhuuT vaale kahīñ se kahīñ baḌh ga.e
aur maiñ thā ki sach boltā rah gayā
jhuT wale kahin se kahin baDh gae
aur main tha ki sach bolta rah gaya
jī bahut chāhtā hai sach boleñ
kyā kareñ hausla nahīñ hotā
I want to speak only what's true
but courage fails, what can I do
ji bahut chahta hai sach bolen
kya karen hausla nahin hota
I want to speak only what's true
but courage fails, what can I do
zahr mīThā ho to piine meñ mazā aatā hai
baat sach kahiye magar yuuñ ki haqīqat na lage
zahr miTha ho to pine mein maza aata hai
baat sach kahiye magar yun ki haqiqat na lage
ek ik baat meñ sachchā.ī hai us kī lekin
apne va.adoñ se mukar jaane ko jī chāhtā hai
ek ek baat mein sachchai hai us ki lekin
apne wadon se mukar jaane ko ji chahta hai
-
Tag : Wada
ishq meñ kaun batā saktā hai
kis ne kis se sach bolā hai
ishq mein kaun bata sakta hai
kis ne kis se sach bola hai
-
Tags : Ishqand 2 more
itnā sach bol ki hoñToñ kā tabassum na bujhe
raushnī ḳhatm na kar aage añdherā hogā
itna sach bol ki honTon ka tabassum na bujhe
raushni KHatm na kar aage andhera hoga
raat ko raat kah diyā maiñ ne
sunte hī baukhlā ga.ī duniyā
raat ko raat kah diya main ne
sunte hi baukhla gai duniya
āsmānoñ se farishte jo utāre jaa.eñ
vo bhī is daur meñ sach boleñ to maare jaa.eñ
aasmanon se farishte jo utare jaen
wo bhi is daur mein sach bolen to mare jaen
jo dekhtā huuñ vahī bolne kā aadī huuñ
maiñ apne shahr kā sab se baḌā fasādī huuñ
jo dekhta hun wahi bolne ka aadi hun
main apne shahr ka sab se baDa fasadi hun
sach ke saude meñ na paḌnā ki ḳhasārā hogā
jo huā haal hamārā so tumhārā hogā
sach ke saude mein na paDna ki KHasara hoga
jo hua haal hamara so tumhaara hoga
sadāqat ho to dil sīnoñ se khiñchne lagte haiñ vaa.iz
haqīqat ḳhud ko manvā letī hai maanī nahīñ jaatī
sadaqat ho to dil sinon se khinchne lagte hain waiz
haqiqat KHud ko manwa leti hai mani nahin jati
-
Tag : Waiz
jinheñ ye fikr nahīñ sar rahe rahe na rahe
vo sach hī kahte haiñ jab bolne pe aate haiñ
jinhen ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
wo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vāqi.a kuchh bhī ho sach kahne meñ rusvā.ī hai
kyuuñ na ḳhāmosh rahūñ ahl-e-nazar kahlā.ūñ
waqia kuchh bhi ho sach kahne mein ruswai hai
kyun na KHamosh rahun ahl-e-nazar kahlaun
kuchh log jo ḳhāmosh haiñ ye soch rahe haiñ
sach boleñge jab sach ke zarā daam baḌheñge
kuchh log jo KHamosh hain ye soch rahe hain
sach bolenge jab sach ke zara dam baDhenge
vo kam-suḳhan thā magar aisā kam-suḳhan bhī na thā
ki sach hī boltā thā jab bhī boltā thā bahut
wo kam-suKHan tha magar aisa kam-suKHan bhi na tha
ki sach hi bolta tha jab bhi bolta tha bahut
vafā ke shahr meñ ab log jhuuT bolte haiñ
tū aa rahā hai magar sach ko māntā hai to aa
wafa ke shahr mein ab log jhuT bolte hain
tu aa raha hai magar sach ko manta hai to aa
-
Tag : Wafa
maiñ us se jhuuT bhī bolūñ to mujh se sach bole
mire mizāj ke sab mausamoñ kā sāthī ho
main us se jhuT bhi bolun to mujh se sach bole
mere mizaj ke sab mausamon ka sathi ho
har haqīqat hai ek husn 'hafīz'
aur har husn ik haqīqat hai
har haqiqat hai ek husn 'hafiz'
aur har husn ek haqiqat hai
kahiye jo jhuuT to ham hote haiñ kah ke rusvā
sach kahiye to zamāna yaaro nahīñ hai sach kā
kahiye jo jhuT to hum hote hain kah ke ruswa
sach kahiye to zamana yaro nahin hai sach ka
maiñ sach to boltā huuñ magar ai ḳhudā-e-harf
tū jis meñ sochtā hai mujhe vo zabān de
main sach to bolta hun magar ai KHuda-e-harf
tu jis mein sochta hai mujhe wo zaban de