Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kausar Mazhari's Photo'

Kausar Mazhari

1964 | Delhi, India

Sher of Kausar Mazhari

1.1K
Favorite

SORT BY

jaane kis ḳhvāb-e-pareshāñ hai chakkar saarā

bikhrā bikhrā huā rahtā hai mirā ghar saarā

jaane kis KHwab-e-pareshan ka hai chakkar sara

bikhra bikhra hua rahta hai mera ghar sara

nazar jhuk rahī hai ḳhamoshī hai lab par

hayā hai adā hai ki an-ban hai kyā hai

nazar jhuk rahi hai KHamoshi hai lab par

haya hai ada hai ki an-ban hai kya hai

rabt hai us ko zamāne se bahut suntā huuñ

koī tarkīb karūñ maiñ bhī zamāna ho jā.ūñ

rabt hai us ko zamane se bahut sunta hun

koi tarkib karun main bhi zamana ho jaun

bojh dil par hai nadāmat to aisā kar lo

mere siine se kisī aur bahāne lag jaao

bojh dil par hai nadamat ka to aisa kar lo

mere sine se kisi aur bahane lag jao

ta.āqub meñ hai mere yaad kis

maiñ kis ko bhuul jaanā chāhtā huuñ

taaqub mein hai mere yaad kis ki

main kis ko bhul jaana chahta hun

kaun duniyā meñ huuñ kis nigahbānī meñ huuñ

zindagī hai saḳht mushkil phir bhī āsānī meñ huuñ

kaun si duniya mein hun kis ki nigahbani mein hun

zindagi hai saKHt mushkil phir bhi aasani mein hun

ek muddat se ḳhamoshī hai pahra har-sū

jaane kis or ga.e shor machāne vaale

ek muddat se KHamoshi ka hai pahra har-su

jaane kis or gae shor machane wale

maiñ sab ke vāste achchhā thā lekin

usī ke vāste achchhā nahīñ thā

main sab ke waste achchha tha lekin

usi ke waste achchha nahin tha

chāñd hai paanī meñ bhūle hue chehre aks

sāhil-e-dariyā pe dekho maiñ bhī hairānī meñ huuñ

chand hai pani mein ya bhule hue chehre ka aks

sahil-e-dariya pe dekho main bhi hairani mein hun

girā thā bojh koī sar se mere

usī ko phir uThānā chāhtā huuñ

gira tha bojh koi sar se mere

usi ko phir uThana chahta hun

putliyoñ par raqs karnā kalām-e-fan nahīñ

dard ke aañsū ko to paiham ravānī chāhiye

putliyon par raqs karna hi kalam-e-fan nahin

dard ke aansu ko to paiham rawani chahiye

mausam-e-dil jo kabhī zard hone lag jaa.e

apnā dil ḳhuun karo phuul ugāne lag jaao

mausam-e-dil jo kabhi zard sa hone lag jae

apna dil KHun karo phul ugane lag jao

us palkoñ pe jo chamkā thā sitāra koī

dekhte dekhte mahtāb huā jaatā hai

us ki palkon pe jo chamka tha sitara koi

dekhte dekhte mahtab hua jata hai

vahī qatra jo kabhī kunj-e-sar-e-chashm meñ thā

ab jo phailā hai to sailāb huā jaatā hai

wahi qatra jo kabhi kunj-e-sar-e-chashm mein tha

ab jo phaila hai to sailab hua jata hai

Recitation

Speak Now