Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Naseer Turabi's Photo'

Naseer Turabi

1945 - 2021 | Karachi, Pakistan

Pakistani poet famous for the ghazal “Wo hamsafar tha magar…” in the famous Pakistani TV serial “Hamsafar”

Pakistani poet famous for the ghazal “Wo hamsafar tha magar…” in the famous Pakistani TV serial “Hamsafar”

Sher of Naseer Turabi

10.8K
Favorite

SORT BY

milne tarah mujh se vo pal bhar nahīñ miltā

dil us se milā jis se muqaddar nahīñ miltā

milne ki tarah mujh se wo pal bhar nahin milta

dil us se mila jis se muqaddar nahin milta

adāvateñ thīñ, taġhāful thaa, ranjisheñ thiiñ bahut

bichhaḌne vaale meñ sab kuchh thaa, bevafā.ī na thī

adawaten thin, taghaful tha, ranjishen thin bahut

bichhaDne wale mein sab kuchh tha, bewafai na thi

shahr meñ kis se suḳhan rakhiye kidhar ko chaliye

itnī tanhā.ī to ghar meñ bhī hai ghar ko chaliye

shahr mein kis se suKHan rakhiye kidhar ko chaliye

itni tanhai to ghar mein bhi hai ghar ko chaliye

kuchh roz nasīr aao chalo ghar meñ rahā jaa.e

logoñ ko ye shikva hai ki ghar par nahīñ miltā

kuchh roz nasir aao chalo ghar mein raha jae

logon ko ye shikwa hai ki ghar par nahin milta

is kaḌī dhuup meñ saaya kar ke

kahāñ hai mujhe tanhā kar ke

is kaDi dhup mein saya kar ke

tu kahan hai mujhe tanha kar ke

vo ham-safar thā magar us se ham-navā.ī na thī

ki dhuup chhāñv aalam rahā judā.ī na thī

wo ham-safar tha magar us se ham-nawai na thi

ki dhup chhanw ka aalam raha judai na thi

aaj raat ujāle mire ham-sāya haiñ

aaj raat jo so luuñ to nayā ho jā.ūñ

aaj ki raat ujale mere ham-saya hain

aaj ki raat jo so lun to naya ho jaun

ye rāh-e-tamannā hai yahāñ dekh ke chalnā

is raah meñ sar milte haiñ patthar nahīñ miltā

ye rah-e-tamanna hai yahan dekh ke chalna

is rah mein sar milte hain patthar nahin milta

maiñ ik shajar tarah rah-guzar meñ Thahrā huuñ

thakan utaar ke kis taraf ravāna huā

main ek shajar ki tarah rah-guzar mein Thahra hun

thakan utar ke tu kis taraf rawana hua

ḳhud apne hijr ḳhvāhish mujhe aziiz rahī

ye tere vasl qissa to ik bahāna huā

KHud apne hijr ki KHwahish mujhe aziz rahi

ye tere wasl ka qissa to ek bahana hua

ye havā saare charāġhoñ ko uḌā le jā.egī

raat Dhalne tak yahāñ sab kuchh dhuāñ ho jā.egā

ye hawa sare charaghon ko uDa le jaegi

raat Dhalne tak yahan sab kuchh dhuan ho jaega

tujhe kyā ḳhabar mire be-ḳhabar mirā silsila koī aur hai

jo mujhī ko mujh se baham kare vo gurez-pā koī aur hai

tujhe kya KHabar mere be-KHabar mera silsila koi aur hai

jo mujhi ko mujh se baham kare wo gurez-pa koi aur hai

bichhaḌte vaqt un āñkhoñ meñ thī hamārī ġhazal

ġhazal bhī vo jo kisī ko abhī sunā.ī na thī

bichhaDte waqt un aankhon mein thi hamari ghazal

ghazal bhi wo jo kisi ko abhi sunai na thi

kahne ko ġham-e-hijr baḌā dushman-e-jāñ hai

par dost bhī is dost se behtar nahīñ miltā

kahne ko gham-e-hijr baDa dushman-e-jaan hai

par dost bhi is dost se behtar nahin milta

tujh se bichhḌūñ to koī phuul na mahke mujh meñ

dekh kyā karb hai kyā zaat sachchā.ī hai

tujh se bichhDun to koi phul na mahke mujh mein

dekh kya karb hai kya zat ki sachchai hai

muddatoñ ba.ad agar sāmne aa.e ham tum

dhuñdle dhuñdle se mileñge ḳhad-o-ḳhāl aise meñ

muddaton baad agar samne aae hum tum

dhundle dhundle se milenge KHad-o-KHal aise mein

shāyad ye intizār lau faisla kare

maiñ apne saath huuñ ki darīchoñ ke saath huuñ

shayad ye intizar ki lau faisla kare

main apne sath hun ki darichon ke sath hun

qurbateñ ret dīvār haiñ gir saktī haiñ

mujh ko ḳhud apne saa.e meñ Thahar jaanā thā

qurbaten ret ki diwar hain gir sakti hain

mujh ko KHud apne hi sae mein Thahar jaana tha

ye ruuh raqs-e-charāġhāñ hai apne halqe meñ

ye jism saaya hai aur saaya Dhal rahā hai miyāñ

ye ruh raqs-e-charaghan hai apne halqe mein

ye jism saya hai aur saya Dhal raha hai miyan

usī ne mujh pe uThā.e haiñ sañg jis ke liye

maiñ paash paash huā ghar nigār-ḳhāna huā

usi ne mujh pe uThae hain sang jis ke liye

main pash pash hua ghar nigar-KHana hua

Recitation

Speak Now