Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĔhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Salam Machhli shahri's Photo'

Salam Machhli shahri

1921 - 1973

One of the prominent popular poets with a romantic flavour.

One of the prominent popular poets with a romantic flavour.

Sher of Salam Machhli shahri

1.7K
Favorite

SORT BY

raat dil ko thā sahar kā intizār

ab ye Ĕham hai kyuuƱ saverā ho gayā

raat dil ko tha sahar ka intizar

ab ye gham hai kyun sawera ho gaya

ab mā-hasal hayāt kā bas ye hai ai 'salām'

cigarette jalā.ī sher kahe shādmāƱ hue

ab ma-hasal hayat ka bas ye hai ai 'salam'

cigarette jalai sher kahe shadman hue

merī maut ai saaqī irtiqā hai hastī kā

ik 'salām' jaatā hai ek aane vaalā hai

meri maut ai saqi irtiqa hai hasti ka

ek 'salam' jata hai ek aane wala hai

merÄ« fikr kÄ« įø³hushbÅ« qaid ho nahīƱ saktÄ«

yuuƱ to mere hoƱToƱ par maslahat kā taalā hai

meri fikr ki KHushbu qaid ho nahin sakti

yun to mere honTon par maslahat ka tala hai

bujh ga.ī kuchh is tarah sham-e-'salām'

jaise ik bīmār achchhā ho gayā

bujh gai kuchh is tarah sham-e-'salam'

jaise ek bimar achchha ho gaya

kaash tum samajh saktīƱ zindagī meƱ shā.er kī aise din bhī aate haiƱ

jab usī ke parvarda chāƱd us pe haƱste haiƱ phuul muskurāte haiƱ

kash tum samajh saktin zindagi mein shaer ki aise din bhi aate hain

jab usi ke parwarda chand us pe hanste hain phul muskuraate hain

roz puujā ke liye phuul sajātā hai 'salām'

jaane kab us kā įø³hudā sÅ«-e-zamīƱ aa.egā

roz puja ke liye phul sajata hai 'salam'

jaane kab us ka KHuda su-e-zamin aaega

ai mire ghar kī fazāoƱ se gurezāƱ mahtāb

apne ghar ke dar-o-dÄ«vār ko kaise chhoįøŒÅ«Ć±

ai mere ghar ki fazaon se gurezan mahtab

apne ghar ke dar-o-diwar ko kaise chhoDun

tum sharāb pī kar bhī hosh-mand rahte ho

jaane kyuuƱ mujhe aisī mai-kashī nahīƱ aa.ī

tum sharab pi kar bhi hosh-mand rahte ho

jaane kyun mujhe aisi mai-kashi nahin aai

Ä”ham musalsal ho to ahbāb bichhaįøŒ jaate haiƱ

ab na koī dil-e-tanhā ke qarīƱ aa.egā

gham musalsal ho to ahbab bichhaD jate hain

ab na koi dil-e-tanha ke qarin aaega

vo dil se taƱg aa ke aaj mahfil meƱ husn kÄ« tamkanat kÄ« įø³hātir

nazar bachānā bhī chāhte haiƱ nazar milānā bhī chāhte haiƱ

wo dil se tang aa ke aaj mahfil mein husn ki tamkanat ki KHatir

nazar bachana bhi chahte hain nazar milana bhi chahte hain

kabhÄ« kabhÄ« arz-e-Ä”ham kÄ« įø³hātir ham ik bahānā bhÄ« chāhte haiƱ

jab āƱsuoƱ se bharī hoƱ āƱkheƱ to muskurānā bhī chāhte haiƱ

kabhi kabhi arz-e-gham ki KHatir hum ek bahana bhi chahte hain

jab aansuon se bhari hon aankhen to muskurana bhi chahte hain

yuuƱ hÄ« āƱkhoƱ meƱ aa ga.e aaƱsÅ«

jā.iye aap koī baat nahīƱ

yun hi aankhon mein aa gae aansu

jaiye aap koi baat nahin

shukriya ai gardish-e-jām-e-sharāb

maiƱ bharī mahfil meƱ tanhā ho gayā

shukriya ai gardish-e-jam-e-sharab

main bhari mahfil mein tanha ho gaya

vo sirf maiƱ huuƱ jo sau jannateƱ sajā kar bhī

udaas udaas sā tanhā dikhā.ī dene lage

wo sirf main hun jo sau jannaten saja kar bhi

udas udas sa tanha dikhai dene lage

kabhī kabhī to sunā hai hilā diye haiƱ mahal

hamāre aise ĔharīboƱ kī iltijāoƱ ne

kabhi kabhi to suna hai hila diye hain mahal

hamare aise gharibon ki iltijaon ne

ajiib baat hai maiƱ jab bhī kuchh udaas huā

diyā sahārā harīfoƱ kī bad-duāoƱ ne

ajib baat hai main jab bhi kuchh udas hua

diya sahaara harifon ki bad-duaon ne

aaj to sham.a havāoƱ se ye kahtī hai 'salām'

raat bhārÄ« hai maiƱ bÄ«mār ko kaise chhoįøŒÅ«Ć±

aaj to shama hawaon se ye kahti hai 'salam'

raat bhaari hai main bimar ko kaise chhoDun

aaƱsÅ« huuƱ haƱs rahā huuƱ shagÅ«foƱ ke darmiyāƱ

shabnam huuƱ jal rahā huuƱ sharāroƱ ke shahr meƱ

aansu hun hans raha hun shagufon ke darmiyan

shabnam hun jal raha hun shararon ke shahr mein

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now