Sher of Wasi Shah
tumhārā naam likhne kī ijāzat chhin ga.ī jab se
koī bhī lafz likhtā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
tumhaara nam likhne ki ijazat chhin gai jab se
koi bhi lafz likhta hun to aankhen bhig jati hain
na tumheñ hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
is qadar TuuT ke chāho mujhe pāgal kar do
na tumhein hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
is qadar TuT ke chaho mujhe pagal kar do
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo tū nahīñ hai to ye mukammal na ho sakeñgī
tirī yahī ahmiyat hai merī kahāniyoñ meñ
jo tu nahin hai to ye mukammal na ho sakengi
teri yahi ahmiyat hai meri kahaniyon mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
is judā.ī meñ tum andar se bikhar jāoge
kisī ma.azūr ko dekhoge to yaad ā.ūñgā
is judai mein tum andar se bikhar jaoge
kisi mazur ko dekhoge to yaad aaunga
kaun kahtā hai mulāqāt mirī aaj kī hai
tū mirī ruuh ke andar hai ka.ī sadiyoñ se
kaun kahta hai mulaqat meri aaj ki hai
tu meri ruh ke andar hai kai sadiyon se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zindagī ab ke mirā naam na shāmil karnā
gar ye tai hai ki yahī khel dobāra hogā
zindagi ab ke mera nam na shamil karna
gar ye tai hai ki yahi khel dobara hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jaise ho umr bhar kā asāsa ġharīb kā
kuchh is tarah se maiñ ne sambhāle tumhāre ḳhat
jaise ho umr bhar ka asasa gharib ka
kuchh is tarah se main ne sambhaale tumhaare KHat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apne ehsās se chhū kar mujhe sandal kar do
maiñ ki sadiyoñ se adhūrā huuñ mukammal kar do
apne ehsas se chhu kar mujhe sandal kar do
main ki sadiyon se adhura hun mukammal kar do
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pahle tujhe banāyā banā kar miTā diyā
jitne bhī faisle kiye saare ġhalat kiye
pahle tujhe banaya bana kar miTa diya
jitne bhi faisle kiye sare ghalat kiye
hazāroñ mausamoñ kī hukmarānī hai mire dil par
'vasī' maiñ jab bhī hañstā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
hazaron mausamon ki hukmarani hai mere dil par
'wasi' main jab bhi hansta hun to aankhen bhig jati hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujhe ḳhabar thī ki ab lauT kar na ā.ūñgā
so tujh ko yaad kiyā dil pe vaar karte hue
mujhe KHabar thi ki ab lauT kar na aaunga
so tujh ko yaad kiya dil pe war karte hue
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har ik muflis ke māthe par alam kī dāstāneñ haiñ
koī chehra bhī paḌhtā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
har ek muflis ke mathe par alam ki dastanen hain
koi chehra bhi paDhta hun to aankhen bhig jati hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har ek mausam meñ raushnī sī bikherte haiñ
tumhāre ġham ke charāġh merī udāsiyoñ meñ
har ek mausam mein raushni si bikherte hain
tumhaare gham ke charagh meri udasiyon mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merī to por por meñ ḳhushbū sī bas ga.ī
us par tirā ḳhayāl hai aur chāñd-rāt hai
meri to por por mein KHushbu si bas gai
us par tera KHayal hai aur chand-raat hai
gar sukūñ chāhiye is lamha-e-maujūd meñ bhī
aao is lamha-e-maujūd se bāhar nikleñ
gar sukun chahiye is lamha-e-maujud mein bhi
aao is lamha-e-maujud se bahar niklen
muddatoñ us kī ḳhvāhish se chalte rahe haath aatā nahīñ
chaah meñ us kī pairoñ meñ haiñ aable chāñd ko kyā ḳhabar
muddaton us ki KHwahish se chalte rahe hath aata nahin
chah mein us ki pairon mein hain aable chand ko kya KHabar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download