Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akbar Ali Khan Arshi Zadah's Photo'

Akbar Ali Khan Arshi Zadah

1939 - 1997 | Rampur, India

Poet and researcher, published several research works relating to Ghalib's Deewan and his letters

Poet and researcher, published several research works relating to Ghalib's Deewan and his letters

Sher of Akbar Ali Khan Arshi Zadah

298
Favorite

SORT BY

vo ek lamha mujhe kyuuñ satā rahā hai ki jo

nahīñ ke ba.ad magar us haañ se pahle thā

wo ek lamha mujhe kyun sata raha hai ki jo

nahin ke baad magar us ki han se pahle tha

ye paḌī haiñ sadiyoñ se kis liye tire mere beach judā.iyāñ

kabhī apne ghar mujhe bulā kabhī rāste mire ghar ke dekh

ye paDi hain sadiyon se kis liye tere mere beach judaiyan

kabhi apne ghar tu mujhe bula kabhi raste mere ghar ke dekh

zabt-e-junūñ se andāzoñ par dar to band nahīñ hote

mujh se baḌh kar rusvā ho ye bhī to ho saktā hai

zabt-e-junun se andazon par dar to band nahin hote

tu mujh se baDh kar ruswa ho ye bhi to ho sakta hai

yaad ban ke pahlū meñ mausamoñ ke bistar par

karvaTeñ badaltī haiñ mehrbāniyāñ saarī

yaad ban ke pahlu mein mausamon ke bistar par

karwaTen badalti hain mehrbaniyan sari

sar-e-ḳhār se sar-e-sañg se jo hai merā jism lahū lahū

kabhī bhī to mire sañg-e-mīl kabhī rañg mere safar ke dekh

sar-e-KHar se sar-e-sang se jo hai mera jism lahu lahu

kabhi tu bhi to mere sang-e-mil kabhi rang mere safar ke dekh

vo sun rahā hai mirī be-zabāniyoñ zabāñ

jo harf-o-saut-o-sadā-o-zabāñ se pahle thā

wo sun raha hai meri be-zabaniyon ki zaban

jo harf-o-saut-o-sada-o-zaban se pahle tha

maiñ tujh ko bhuul na pā.ūñ yahī sazā hai mirī

maiñ apne-āp se letā huuñ intiqām apnā

main tujh ko bhul na paun yahi saza hai meri

main apne-ap se leta hun intiqam apna

isī talāsh meñ pahuñchā huuñ ishq tak tere

ki is havāle se jā.ūñ maiñ davām apnā

isi talash mein pahuncha hun ishq tak tere

ki is hawale se pa jaun main dawam apna

jo bār-e-dosh rahā sar vo kab thā shorīda

bahā na jis se lahū vo rag-e-gulū kyā thī

jo bar-e-dosh raha sar wo kab tha shorida

baha na jis se lahu wo rag-e-gulu kya thi

luuTā jo us ne mujh ko to ābād bhī kiyā

ik shaḳhs rahzanī meñ bhī rahbar lagā mujhe

luTa jo us ne mujh ko to aabaad bhi kiya

ek shaKHs rahzani mein bhi rahbar laga mujhe

surāhī-e-mai-e-nāb-o-safīna-hā-e-ġhazal

ye harf-e-husn-e-muqaddar likhā hai kis ke liye

surahi-e-mai-e-nab-o-safina-ha-e-ghazal

ye harf-e-husn-e-muqaddar likha hai kis ke liye

mere tasavvur ne baḳhshī hai tanhā.ī ko bhī ik mahfil

mahfil mahfil tanhā ho ye bhī to ho saktā hai

mere tasawwur ne baKHshi hai tanhai ko bhi ek mahfil

tu mahfil mahfil tanha ho ye bhi to ho sakta hai

kabhī ḳhushbū kabhī saaya kabhī paikar ban kar

sabhī hijroñ meñ visāloñ meñ mire paas raho

kabhi KHushbu kabhi saya kabhi paikar ban kar

sabhi hijron mein visalon mein mere pas raho

vahī gumāñ hai jo us mehrbāñ se pahle thā

vahīñ se phir ye safar hai jahāñ se pahle thā

wahi guman hai jo us mehrban se pahle tha

wahin se phir ye safar hai jahan se pahle tha

tumheñ nahīñ ho agar aaj gosh-bar-āvāz

ye merī fikr ye merī navā hai kis ke liye

tumhein nahin ho agar aaj gosh-bar-awaz

ye meri fikr ye meri nawa hai kis ke liye

laao ik lamhe ko apne-āp meñ Duub ke dekh aa.uuñ

ḳhud mujh meñ merā ḳhudā ho ye bhī to ho saktā hai

lao ek lamhe ko apne-ap mein Dub ke dekh aaun

KHud mujh mein hi mera KHuda ho ye bhi to ho sakta hai

jab aa rahī haiñ bahāreñ liye payām-e-junūñ

ye pairahan ko mire hājat-e-rafū kyā thī

jab aa rahi hain bahaaren liye payam-e-junun

ye pairahan ko mere hajat-e-rafu kya thi

ajiib us se ta.alluq hai kyā kahā jaa.e

kuchh aisī sulh nahīñ hai kuchh aisī jañg nahīñ

ajib us se talluq hai kya kaha jae

kuchh aisi sulh nahin hai kuchh aisi jang nahin

harf-e-dushnām se yuuñ us ne navāzā ham ko

ye malāmat mohabbat sila ho jaise

harf-e-dushnam se yun us ne nawaza hum ko

ye malamat hi mohabbat ka sila ho jaise

vahī māyūsī aalam vahī naumīdī rañg

zindagī bhī kisī muflis duā ho jaise

wahi mayusi ka aalam wahi naumidi ka rang

zindagi bhi kisi muflis ki dua ho jaise

ġham-e-ayyām pe yuuñ ḳhush haiñ tire dīvāne

ġham-e-ayyām bhī ik terī adā ho jaise

gham-e-ayyam pe yun KHush hain tere diwane

gham-e-ayyam bhi ek teri ada ho jaise

dhanak tarah nikhartā hai shab ko ḳhvāboñ meñ

vahī jo din ko mirī chashm-e-tar meñ rahtā hai

dhanak ki tarah nikharta hai shab ko KHwabon mein

wahi jo din ko meri chashm-e-tar mein rahta hai

ye ik savāl hai shikva nahīñ gila bhī nahīñ

mire ḳhudā tirā lutf-o-atā hai kis ke liye

ye ek sawal hai shikwa nahin gila bhi nahin

mere KHuda tera lutf-o-ata hai kis ke liye

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now