Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Faryad Aazar's Photo'

Faryad Aazar

1956 - 2024 | Delhi, India

Sher of Faryad Aazar

3.5K
Favorite

SORT BY

na koī rañj lamha kisī ke paas aa.e

ḳhudā kare ki nayā saal sab ko raas aa.e

na koi ranj ka lamha kisi ke pas aae

KHuda kare ki naya sal sab ko ras aae

jo duur rah ke uḌātā rahā mazāq mirā

qarīb aayā to royā gale lagā ke mujhe

jo dur rah ke uData raha mazaq mera

qarib aaya to roya gale laga ke mujhe

aisī ḳhushiyāñ to kitāboñ meñ mileñgī shāyad

ḳhatm ab ghar tasavvur hai makāñ baaqī hai

aisi KHushiyan to kitabon mein milengi shayad

KHatm ab ghar ka tasawwur hai makan baqi hai

maiñ jis meñ rah na sakā jī-huzūriyoñ ke sabab

ye aadmī hai usī kāmyāb mausam

main jis mein rah na saka ji-huzuriyon ke sabab

ye aadmi hai usi kaamyab mausam ka

is tamāshe sabab varna kahāñ baaqī hai

ab bhī kuchh log haiñ zinda ki jahāñ baaqī hai

is tamashe ka sabab warna kahan baqi hai

ab bhi kuchh log hain zinda ki jahan baqi hai

maiñ us bātoñ meñ ġham apnā bhuul jaatā magar

vo shaḳhs rone lagā ḳhud hañsā hañsā ke mujhe

main us ki baaton mein gham apna bhul jata magar

wo shaKHs rone laga KHud hansa hansa ke mujhe

sub.h hotī hai to daftar meñ badal jaatā hai

ye makāñ raat ko phir ghar meñ badal jaatā hai

subh hoti hai to daftar mein badal jata hai

ye makan raat ko phir ghar mein badal jata hai

adā huā na qarz aur vajūd ḳhatm ho gayā

maiñ zindagī dete dete suud ḳhatm ho gayā

ada hua na qarz aur wajud KHatm ho gaya

main zindagi ka dete dete sud KHatm ho gaya

maiñ apnī ruuh liye dar-ba-dar bhaTaktā rahā

badan se duur mukammal vajūd thā merā

main apni ruh liye dar-ba-dar bhaTakta raha

badan se dur mukammal wajud tha mera

ham ibtidā meñ pahuñche the intihā ko kabhī

ab intihā meñ bhī haiñ ibtidā se lipTe hue

hum ibtida hi mein pahunche the intiha ko kabhi

ab intiha mein bhi hain ibtida se lipTe hue

band ho jaatā hai kuuze meñ kabhī dariyā bhī

aur kabhī qatra samundar meñ badal jaatā hai

band ho jata hai kuze mein kabhi dariya bhi

aur kabhi qatra samundar mein badal jata hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now