Sher of Ishrat Afreen
laḌkiyāñ maaoñ jaise muqaddar kyuuñ rakhtī haiñ
tan sahrā aur aañkh samundar kyuuñ rakhtī haiñ
laDkiyan maon jaise muqaddar kyun rakhti hain
tan sahra aur aankh samundar kyun rakhti hain
bhuuk se yā vabā se marnā hai
faisla aadmī ko karnā hai
bhuk se ya waba se marna hai
faisla aadmi ko karna hai
akele ghar meñ bharī dopahar kā sannāTā
vahī sukūn vahī umr bhar kā sannāTā
akele ghar mein bhari dopahar ka sannaTa
wahi sukun wahi umr bhar ka sannaTa
shaam ko terā hañs kar milnā
din bhar kī ujrat hotī hai
sham ko tera hans kar milna
din bhar ki ujrat hoti hai
-
Tag : Ghar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kachchī umroñ meñ bhī akelī rahī
maiñ sadā apnī hī sahelī rahī
kachchi umron mein bhi akeli rahi
main sada apni hi saheli rahi
ye aur baat ki kam-hausla to maiñ bhī thī
magar ye sach hai use pahle maiñ ne chāhā thā
ye aur baat ki kam-hausla to main bhi thi
magar ye sach hai use pahle main ne chaha tha
terā naam likhtī haiñ uñgliyāñ ḳhalāoñ meñ
ye bhī ik duā hogī vasl kī duāoñ meñ
tera nam likhti hain ungliyan KHalaon mein
ye bhi ek dua hogi wasl ki duaon mein
aao zarā sī der ko ham hañs-bol hī leñ
tum ko nahīñ manzūr hai achchhā rahne do
aao zara si der ko hum hans-bol hi len
tum ko nahin manzur hai achchha rahne do
apnī aag ko zinda rakhnā kitnā mushkil hai
patthar biich ā.īna rakhnā kitnā mushkil hai
apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai
patthar bich aaina rakhna kitna mushkil hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo jis ne ashkoñ se haar nahīñ maanī
kis ḳhāmoshī se dariyā meñ Duub ga.ī
wo jis ne ashkon se haar nahin mani
kis KHamoshi se dariya mein Dub gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhvāhisheñ dil meñ machal kar yūñhī so jaatī haiñ
jaise añgnā.ī meñ rotā huā bachcha koī
KHwahishen dil mein machal kar yunhi so jati hain
jaise angnai mein rota hua bachcha koi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo zaḳhm chun ke mire ḳhaar mujh meñ chhoḌ gayā
ki us ko shauq thā be-intihā gulāboñ kā
wo zaKHm chun ke mere KHar mujh mein chhoD gaya
ki us ko shauq tha be-intiha gulabon ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yā mujhe terī hathelī būjhe
yā koī shoḳh sahelī būjhe
ya mujhe teri hatheli bujhe
ya koi shoKH saheli bujhe