Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jameel Malik's Photo'

Jameel Malik

1928 - 2001 | Rawalpindi, Pakistan

Sher of Jameel Malik

14.3K
Favorite

SORT BY

ham se koī ta.alluq-e-ḳhātir to hai use

vo yaar bā-vafā na sahī bevafā to hai

hum se koi talluq-e-KHatir to hai use

wo yar ba-wafa na sahi bewafa to hai

ham to tamām umr tirī adā rahe

ye kyā huā ki phir bhī hamīñ bevafā rahe

hum to tamam umr teri hi ada rahe

ye kya hua ki phir bhi hamin bewafa rahe

kaise the log jin zabānoñ meñ nuur thā

ab to tamām jhuuT hai sachchā.iyoñ meñ bhī

kaise the log jin ki zabanon mein nur tha

ab to tamam jhuT hai sachchaiyon mein bhi

dil qīmat to mohabbat ke sivā kuchh bhī na thī

jo mile sūrat-e-zebā ke ḳharīdār mile

dil ki qimat to mohabbat ke siwa kuchh bhi na thi

jo mile surat-e-zeba ke KHaridar mile

maiñ to tanhā thā magar tujh ko bhī tanhā dekhā

apnī tasvīr ke pīchhe tirā chehrā dekhā

main to tanha tha magar tujh ko bhi tanha dekha

apni taswir ke pichhe tera chehra dekha

ḳhatm ho jaa.eñ jinheñ dekh ke bīmāri-e-dil

DhūñD kar laa.eñ kahāñ se vo masīhā chehre

KHatm ho jaen jinhen dekh ke bimari-e-dil

DhunD kar laen kahan se wo masiha chehre

ek zarā bhuul pe ham ko itnā badnām na kar

ham ne apne ghaao chhupā kar tere kaaj sañvāre haiñ

ek zara si bhul pe hum ko itna tu badnam na kar

hum ne apne ghao chhupa kar tere kaj sanware hain

ye kyā zarūr hai maiñ kahūñ aur sune

jo merā haal hai vo tujhe bhī patā to hai

ye kya zarur hai main kahun aur tu sune

jo mera haal hai wo tujhe bhi pata to hai

yuuñ dil meñ aaj nuur bārish huī 'jamīl'

jaise koī charāġh jalā de bujhā huā

yun dil mein aaj nur ki barish hui 'jamil'

jaise koi charagh jala de bujha hua

baaġh meñ kar dekh liyā

koī nahīñ thā tujh phuul

bagh mein ja kar dekh liya

koi nahin tha tujh sa phul

kitne hāthoñ ne tarāshe ye hasīñ tāj-mahal

jhāñkte haiñ dar-o-dīvār se kyā kyā chehre

kitne hathon ne tarashe ye hasin taj-mahal

jhankte hain dar-o-diwar se kya kya chehre

peḌ dukh to koī pūchhne vaalā na thā

apnī aag meñ jaltā huā saaya dekhā

peD ka dukh to koi puchhne wala hi na tha

apni hi aag mein jalta hua saya dekha

sab ko phuul aur kaliyāñ bāñTo ham ko do sūkhe patte

ye kaise tohfe laa.e ho ye kyā barg-faroshī hai

sab ko phul aur kaliyan banTo hum ko do sukhe patte

ye kaise tohfe lae ho ye kya barg-faroshi hai

ye manzar ye ruup anokhe sab shahkār hamāre haiñ

ham ne apne ḳhūn-e-jigar se kyā kyā naqsh ubhāre haiñ

ye manzar ye rup anokhe sab shahkar hamare hain

hum ne apne KHun-e-jigar se kya kya naqsh ubhaare hain

us ḳhamoshiyoñ meñ nihāñ kitnā shor thā

mujh se sivā vo dard ḳhūgar lagā mujhe

us ki KHamoshiyon mein nihan kitna shor tha

mujh se siwa wo dard ka KHugar laga mujhe

aap meñ gum haiñ magar sab ki ḳhabar rakhte haiñ

ghar meñ baiThe haiñ zamāne pe nazar rakhte haiñ

TRANSLATION

Aware of everyone around, tho’ engrossed in you am I,

An eye on the world around, tho’ sitting at home am I.

Sagar Akbarabadi

aap mein gum hain magar sab ki KHabar rakhte hain

ghar mein baiThe hain zamane pe nazar rakhte hain

TRANSLATION

Aware of everyone around, tho’ engrossed in you am I,

An eye on the world around, tho’ sitting at home am I.

Sagar Akbarabadi

jaañ nazr to donoñ jahāñ mil ga.e hameñ

tai marg o zindagī har ik marhala huā

jaan nazr ki to donon jahan mil gae hamein

tai marg o zindagi ka har ek marhala hua

Recitation

Speak Now