Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khan Rizwan's Photo'

Khan Rizwan

1982 | Delhi, India

Sher of Khan Rizwan

ye ḳhadd-o-ḳhāl ye gesū ye sūrat-e-zebā

sabhī husn hai apnī jagah magar āñkheñ

ye KHadd-o-KHal ye gesu ye surat-e-zeba

sabhi ka husn hai apni jagah magar aankhen

kaun guzrā hai ye āñdhiyoñ tarah

sham.a-e-rāh-e-vafā ko bujhāte hue

kaun guzra hai ye aandhiyon ki tarah

shama-e-rah-e-wafa ko bujhate hue

hai sargoshī sar-e-shām mire dil ne phir

is liye ham ne lapeTā nahīñ bistar apnā

ki hai sargoshi sar-e-sham mere dil ne phir

is liye hum ne lapeTa nahin bistar apna

tark-e-ta.alluqāt meñ mahjūr to hue

lekin ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ vo rū-ba-rū rahe

tark-e-talluqat mein mahjur to hue

lekin KHayal-o-KHwab mein wo ru-ba-ru rahe

ham to apne qad ke barābar bhī na hue

log na jaane kaise ḳhudā ho jaate haiñ

hum to apne qad ke barabar bhi na hue

log na jaane kaise KHuda ho jate hain

umr-e-rafta kisī dīvār ke saa.e meñ baiTh

be-sabab ḳhvāhisheñ haiñ aur ghar justujū

umr-e-rafta ja kisi diwar ke sae mein baiTh

be-sabab ki KHwahishen hain aur ghar ki justuju

vo chāhtā hai ki ham us dastaras meñ raheñ

kisī ho ke raheñ ye use gavārā nahīñ

wo chahta hai ki hum us ki dastaras mein rahen

kisi ka ho ke rahen ye use gawara nahin

ai ḳhudā kar de shab ko aur siyāh

hai ġharīboñ ye libās abhī

ai KHuda kar de shab ko aur siyah

hai gharibon ka ye libas abhi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now