Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kishwar Naheed's Photo'

Kishwar Naheed

1940 | Islamabad, Pakistan

Renowned Pakistani poet known for her bold views on women and strong stand against religious fundamentalism

Renowned Pakistani poet known for her bold views on women and strong stand against religious fundamentalism

Sher of Kishwar Naheed

7.1K
Favorite

SORT BY

kuchh din to malāl us haq thā

bichhḌā to ḳhayāl us haq thā

kuchh din to malal us ka haq tha

bichhDa to KHayal us ka haq tha

hameñ dekho hamāre paas baiTho ham se kuchh sīkho

hamīñ ne pyaar māñgā thā hamīñ ne daaġh paa.e haiñ

hamein dekho hamare pas baiTho hum se kuchh sikho

hamin ne pyar manga tha hamin ne dagh pae hain

dil ko bhī ġham salīqa na thā pahle pahle

us ko bhī bhūlnā achchhā lagā pahle pahle

dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle

us ko bhi bhulna achchha laga pahle pahle

dil meñ hai mulāqāt ḳhvāhish dabī aag

mehñdī lage hāthoñ ko chhupā kar kahāñ rakkhūñ

dil mein hai mulaqat ki KHwahish ki dabi aag

mehndi lage hathon ko chhupa kar kahan rakkhun

ab sirf libās rah gayā hai

vo le gayā kal badan churā kar

ab sirf libas rah gaya hai

wo le gaya kal badan chura kar

us ko fursat bhī nahīñ mujh ko tamannā bhī nahīñ

phir ḳhalish kyā hai ki rah rah ke vafā DhūñDhtī hai

us ko fursat bhi nahin mujh ko tamanna bhi nahin

phir KHalish kya hai ki rah rah ke wafa DhunDhti hai

javān gehūñ ke khetoñ ko dekh kar ro deñ

vo laḌkiyāñ ki jinheñ bhuul baiThīñ maa.eñ bhī

jawan gehun ke kheton ko dekh kar ro den

wo laDkiyan ki jinhen bhul baiThin maen bhi

hameñ aziiz haiñ in bastiyoñ dīvāreñ

ki jin ke saa.e bhī dīvār bante jaate the

hamein aziz hain in bastiyon ki diwaren

ki jin ke sae bhi diwar bante jate the

apnī be-chehragī chhupāne ko

ā.īne ko idhar udhar rakkhā

apni be-chehragi chhupane ko

aaine ko idhar udhar rakkha

shāmil huuñ maiñ tere ratjagoñ meñ

jāgūñ bhī to tere ḳhvāb sochūñ

shamil hun main tere ratjagon mein

jagun bhi to tere KHwab sochun

paanī bahāv tham gayā hai

niklī hai nadī se vo nahā kar

pani ka bahaw tham gaya hai

nikli hai nadi se wo naha kar

use baat sunāne ko dil nahīñ kartā

vo shaḳhs jis ke liye zindagī samā.at thī

use hi baat sunane ko dil nahin karta

wo shaKHs jis ke liye zindagi samaat thi

apnā naam bhī ab to bhuul ga.ī 'nāhīd'

koī pukāre to hairat se taktī huuñ

apna nam bhi ab to bhul gai 'nahid'

koi pukare to hairat se takti hun

malāl us ko bhī thā aur udaas ham bhī the

ye kaisī pahlī mulāqāt thī ki ġham bhī the

malal us ko bhi tha aur udas hum bhi the

ye kaisi pahli mulaqat thi ki gham bhi the

ye zindagī jise DhūñDā thā āsmānoñ meñ

havā ke haath pe likkhī huī ibārat thī

ye zindagi jise DhunDa tha aasmanon mein

hawa ke hath pe likkhi hui ibarat thi

kaun jaane ki uḌtī huī dhuup bhī

kis taraf kaun manziloñ meñ ga.ī

kaun jaane ki uDti hui dhup bhi

kis taraf kaun si manzilon mein gai

ta.alluqāt ke tāvīz bhī gale meñ nahīñ

malāl dekhne aayā hai rāsta kaise

talluqat ke tawiz bhi gale mein nahin

malal dekhne aaya hai rasta kaise

ek mauhūm rishta hai so rakhnā is ko

tum jahāñ jaao samajh lenā vahīñ ham bhī the

ek mauhum sa rishta hai so rakhna is ko

tum jahan jao samajh lena wahin hum bhi the

udāsiyoñ ko to āñgan chāhiyeñ ḳhālī

chhatoñ pe chāñdnī rātoñ silsila rakhnā

udasiyon ko to aangan hi chahiyen KHali

chhaton pe chandni raaton ka silsila rakhna

vo jis shauq hai khilte gulāb mal denā

gale milo to use bhī udaas kar jaanā

wo jis ka shauq hai khilte gulab mal dena

gale milo to use bhi udas kar jaana

kuchh yuuñ zard zard 'nāhīd' aaj thī

kuchh oḌhnī rañg bhī khiltā huā na thā

kuchh yun hi zard zard si 'nahid' aaj thi

kuchh oDhni ka rang bhi khilta hua na tha

maan bhī luuñ ki tirī yaad mahaz vāhima hai

phir bhī vo yaad dam-sāz rahī shām-o-sahar

man bhi lun ki teri yaad mahaz wahima hai

phir bhi wo yaad hi dam-saz rahi sham-o-sahar

bhejī haiñ us ne phūloñ meñ muñh-band sīpiyāñ

inkār bhī ajab hai bulāvā bhī hai ajab

bheji hain us ne phulon mein munh-band sipiyan

inkar bhi ajab hai bulawa bhi hai ajab

laraz rahī hai zamīñ sahmī laḌkiyoñ tarah

pukārtī hai ki tanhā na chhoḌ kar jaanā

laraz rahi hai zamin sahmi laDkiyon ki tarah

pukarti hai ki tanha na chhoD kar jaana

ab to badan ke jalne shahr bhar meñ hai

kahnā bhī nāravā hai so kahtā nahīñ koī

ab to badan ke jalne ki bu shahr bhar mein hai

kahna bhi narawa hai so kahta nahin koi

vo jab bhī aayā bahut tez bārishoñ jaisā

vo jis ne chāhā mujhe surma.ī ghaTā rakhnā

wo jab bhi aaya bahut tez barishon jaisa

wo jis ne chaha mujhe surmai ghaTa rakhna

shāyad udaas shāḳhoñ se lipTā huā mile

apnī galī meñ us Thikāna bhī hai ajab

shayad udas shaKHon se lipTa hua mile

apni gali mein us ka Thikana bhi hai ajab

mardoñ ko sab ravā pa hai aurat ko nāravā

sharm-o-hayā shahr meñ charchā bhī hai ajab

mardon ko sab rawa pa hai aurat ko narawa

sharm-o-haya ka shahr mein charcha bhi hai ajab

maañg meñ Tāñkne aayā thā sitāre koī

dil ko kyā sūjhī ki us ḳhvāb ko bīmār kiyā

mang mein Tankne aaya tha sitare koi

dil ko kya sujhi ki us KHwab ko bimar kiya

haañ unhī guzre zamānoñ ke sadā-sāz haiñ ham

jin ke sho.aloñ pe havā nāchtī dekhī ham ne

han unhi guzre zamanon ke sada-saz hain hum

jin ke shoalon pe hawa nachti dekhi hum ne

dil ko tire firāq aarzū yaad rah ga.ī

din vo mohabbatoñ ke bhī misl-e-rah-e-safar ga.e

dil ko tere firaq ki aarzu yaad rah gai

din wo mohabbaton ke bhi misl-e-rah-e-safar gae

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now