Sher of Mardan Ali Khan Rana
rāh-e-ulfat meñ mulāqāt huī kis kis se
dasht meñ qais milā koh meñ farhād mujhe
rah-e-ulfat mein mulaqat hui kis kis se
dasht mein qais mila koh mein farhad mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na pūchho ham-safaro mujh se mājrā-e-vatan
vatan hai mujh pe fidā aur maiñ fidā-e-vatan
na puchho ham-safaro mujh se majra-e-watan
watan hai mujh pe fida aur main fida-e-watan
pyaar kī bāteñ kījiye sāhab
lutf sohbat kā guftugū se hai
pyar ki baaten kijiye sahab
lutf sohbat ka guftugu se hai
tere aate hī dekh rāhat-e-jāñ
chain hai sabr hai qarār hai aaj
tere aate hi dekh rahat-e-jaan
chain hai sabr hai qarar hai aaj
badan par baar hai phūloñ kā saaya
mirā mahbūb aisā nāznīñ hai
badan par bar hai phulon ka saya
mera mahbub aisa naznin hai
uThāyā us ne biiḌā qatl kā kuchh dil meñ Thānā hai
chabānā paan kā bhī ḳhuuñ bahāne kā bahāna hai
uThaya us ne biDa qatl ka kuchh dil mein Thana hai
chabana pan ka bhi KHun bahane ka bahana hai
paḌā huuñ maiñ yahāñ aur dil vahīñ hai
ilāhī maiñ kahīñ huuñ vo kahīñ hai
paDa hun main yahan aur dil wahin hai
ilahi main kahin hun wo kahin hai
le qazā ehsān tujh par kar chale
ham tire aane se pahle mar chale
le qaza ehsan tujh par kar chale
hum tere aane se pahle mar chale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaTā thā roz-e-musībat ḳhudā ḳhudā kar ke
ye raat aa.ī ki sar pe mire azaab aayā
kaTa tha roz-e-musibat KHuda KHuda kar ke
ye raat aai ki sar pe mere azab aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
huā yaqīñ ki zamīñ par hai aaj chāñd-gahan
vo maah chehre pe jab Daal kar naqāb aayā
hua yaqin ki zamin par hai aaj chand-gahan
wo mah chehre pe jab Dal kar naqab aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har dam dam-e-āḳhir hai ajal sar pe khaḌī hai
dam-bhar bhī ham is dam kā bharosa nahīñ karte
har dam dam-e-aKHir hai ajal sar pe khaDi hai
dam-bhar bhi hum is dam ka bharosa nahin karte
hijr-e-jānāñ meñ jī se jaanā hai
bas yahī maut kā bahāna hai
hijr-e-jaanan mein ji se jaana hai
bas yahi maut ka bahana hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahnā qāsid ki us ke jiine kā
va.ada-e-vasl par madār hai aaj
kahna qasid ki us ke jine ka
wada-e-wasl par madar hai aaj
na niklī hasrat-e-dil ek bhī hazār afsos
adam se aa.e the kyā kyā ham aarzū karte
na nikli hasrat-e-dil ek bhi hazar afsos
adam se aae the kya kya hum aarzu karte
harjā.iyoñ ke ishq ne kyā kyā kiyā zalīl
rusvā rahe ḳharāb rahe dar-ba-dar rahe
harjaiyon ke ishq ne kya kya kiya zalil
ruswa rahe KHarab rahe dar-ba-dar rahe
ḳhaak bhī lutf-e-zindagī na rahā
aarzū jī meñ ho vo jī na rahā
KHak bhi lutf-e-zindagi na raha
aarzu ji mein ho wo ji na raha
abrū āñchal meñ dupaTTe ke chhupānā hai bajā
turk kyā myaan meñ rakhte nahīñ talvāroñ ko
abru aanchal mein dupaTTe ke chhupana hai baja
turk kya myan mein rakhte nahin talwaron ko
na aa.ī baat tak bhī muñh pe ro.ab-e-husn-e-jānāñ se
hazāroñ soch kar mazmūn ham darbār meñ aa.e
na aai baat tak bhi munh pe roab-e-husn-e-jaanan se
hazaron soch kar mazmun hum darbar mein aae
kī riyā se na shaiḳh ne tauba
mar gayā vo gunāhgār afsos
ki riya se na shaiKH ne tauba
mar gaya wo gunahgar afsos
kyūñkar baḌhā.ūñ rabt na darbān-e-yār se
āḳhir koī to milne kī tadbīr chāhiye
kyunkar baDhaun rabt na darban-e-yar se
aaKHir koi to milne ki tadbir chahiye
duniyā meñ koī ishq se bad-tar nahīñ hai chiiz
dil apnā muft dījiye phir jī se jā.iye
duniya mein koi ishq se bad-tar nahin hai chiz
dil apna muft dijiye phir ji se jaiye
rasm ulTī hai ḳhūb-rūyoñ kī
dost jis ke bano vo dushman hai
rasm ulTi hai KHub-ruyon ki
dost jis ke bano wo dushman hai
hāthoñ meñ nāzukī se sambhaltī nahīñ jo teġh
hai is meñ kyā gunāh tere jāñ-nisār kā
hathon mein nazuki se sambhalti nahin jo tegh
hai is mein kya gunah tere jaan-nisar ka
nā-umīd ahl-e-ḳharābāt nahīñ rahmat se
baḳhsh degā vo karīm apne gunāhgāroñ ko
na-umid ahl-e-KHarabaat nahin rahmat se
baKHsh dega wo karim apne gunahgaron ko
rail par yaar aa.egā shāyad
muzhda-e-vasl aaj taar meñ hai
rail par yar aaega shayad
muzhda-e-wasl aaj tar mein hai
diyā vo jo na thā vahm-o-gumāñ meñ
bhalā maiñ aur kyā māñgūñ ḳhudā se
diya wo jo na tha wahm-o-guman mein
bhala main aur kya mangun KHuda se
ho ġharīboñ kā chaak ḳhaak rafū
taar haath aa.e jab na dāman se
ho gharibon ka chaak KHak rafu
tar hath aae jab na daman se
hamāre marg pe shādī abas aġhyār karte haiñ
jahāñ se rafta-rafta ek din un ko bhī jaanā hai
hamare marg pe shadi abas aghyar karte hain
jahan se rafta-rafta ek din un ko bhi jaana hai
furqat kī raat vasl kī shab kā maza milā
pahroñ ḳhayāl-e-yār se bāteñ kiyā kiye
furqat ki raat wasl ki shab ka maza mila
pahron KHayal-e-yar se baaten kiya kiye
kho gayā kū-e-dilrubā meñ 'nizām'
log kahte haiñ mārvāḌ meñ hai
kho gaya ku-e-dilruba mein 'nizam'
log kahte hain marwaD mein hai
ye raqīboñ kī hai suḳhan-sāzī
be-vafā aap hoñ ḳhudā na kare
ye raqibon ki hai suKHan-sazi
be-wafa aap hon KHuda na kare
badan meñ zaḳhm nahīñ baddhiyāñ haiñ phūloñ kī
ham apne dil meñ isī ko bahār jānte haiñ
badan mein zaKHm nahin baddhiyan hain phulon ki
hum apne dil mein isi ko bahaar jaante hain
tum ko dīvāne agar ham se hazāroñ haiñ to ḳhair
ham bhī kar leñge koī tum sā parī-rū paidā
tum ko diwane agar hum se hazaron hain to KHair
hum bhi kar lenge koi tum sa pari-ru paida
laboñ pe jaan hai ik dam kā aur mehmāñ hai
marīz-e-ishq-o-mohabbat kā tere haal ye hai
labon pe jaan hai ek dam ka aur mehman hai
mariz-e-ishq-o-mohabbat ka tere haal ye hai
har-dam ye duā māñgte rahte haiñ ḳhudā se
allāh bachā.e shab-e-furqat kī balā se
har-dam ye dua mangte rahte hain KHuda se
allah bachae shab-e-furqat ki bala se
dil ko lagā.ūñ aur se maiñ tum ko chhoḌ duuñ
fiqra hai ye raqīb kā aur jhūTh baat hai
dil ko lagaun aur se main tum ko chhoD dun
fiqra hai ye raqib ka aur jhuTh baat hai
jis ko sab kahte haiñ samundar hai
qatra-e-ashk-e-dīda-e-tar hai
jis ko sab kahte hain samundar hai
qatra-e-ashk-e-dida-e-tar hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhudā rā bahr-e-istiqbāl jald ai jaan bāhar aa
ayādat ko mirī jān-e-jahāñ tashrīf laate haiñ
KHuda ra bahr-e-istiqbaal jald ai jaan bahar aa
ayaadat ko meri jaan-e-jahan tashrif late hain
ḳhuub jiine kā mazā paate haiñ ham
ḳhūn-e-dil piite haiñ ġham khāte haiñ ham
KHub jine ka maza pate hain hum
KHun-e-dil pite hain gham khate hain hum
dard-e-sar hai terī sab pand-o-nasīhat nāseh
chhoḌ de mujh ko ḳhudā par na kar ab sar ḳhālī
dard-e-sar hai teri sab pand-o-nasihat naseh
chhoD de mujh ko KHuda par na kar ab sar KHali
maiñ shauq-e-vasl meñ kyā rail par shitāb aayā
ki sub.h hind meñ thā shaam pañj-āb aayā
main shauq-e-wasl mein kya rail par shitab aaya
ki subh hind mein tha sham panj-ab aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo chiiz hai jahān meñ vo be-misāl hai
har fard-e-ḳhalq vahdat-e-haq par dalīl hai
jo chiz hai jahan mein wo be-misal hai
har fard-e-KHalq wahdat-e-haq par dalil hai
ġham sivā ishq kā ma.aal nahīñ
kaun dil hai jo pā.emāl nahīñ
gham siwa ishq ka maal nahin
kaun dil hai jo paemal nahin
jis ko dekho vo nuur kā buq.a
ye paristān hai ki london hai
jis ko dekho wo nur ka buqa
ye paristan hai ki london hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ashk-e-hasrat dīda-e-dil se haiñ jaarī in dinoñ
kār-e-tūfāñ kar rahī hai ashk-bārī in dinoñ
ashk-e-hasrat dida-e-dil se hain jari in dinon
kar-e-tufan kar rahi hai ashk-bari in dinon
tum ho mujh se hazār mustaġhnī
dil nahīñ merā yaar mustaġhnī
tum ho mujh se hazar mustaghni
dil nahin mera yar mustaghni
khīñchā hai aks qalb kī photograph meñ
shīshe meñ hai shabīh parī koh-e-qāf meñ
khincha hai aks qalb ki photograph mein
shishe mein hai shabih pari koh-e-qaf mein
āḳhir huā hai hashr bapā intizār meñ
sub.h-e-shab-e-firāq huī mārvāḌ meñ
aaKHir hua hai hashr bapa intizar mein
subh-e-shab-e-firaq hui marwaD mein