- Index of Books 182407
-
-
Book Categories
-
Children's Literature1885
Medicine811 Movements285 Novel4179 -
Book Categories
- Bait Bazi11
- Catalogue / Index5
- Couplets64
- Deewan1415
- Doha64
- Epics97
- Exegesis177
- Geet81
- Ghazal967
- Haiku12
- Hamd36
- Humorous37
- Intikhab1515
- Keh mukarni6
- Kulliyat647
- Mahiya19
- Majmua4605
- Marsiya363
- Masnavi790
- Musaddas54
- Naat508
- Nazm1135
- Others65
- Paheli17
- Qasida175
- Qawwali19
- Qit'a56
- Quatrain278
- Quintuple18
- Rekhti12
- Remainders27
- Salaam32
- Sehra9
- shahr-Ashob, Hajw, Zatal Nama13
- Tareekh-Goi26
- Translation73
- Wasokht24
Sher of Maroof Dehlvi
dard-e-sar meñ hai kise sandal lagāne kā dimāġh
us kā ghisnā aur lagānā dard-e-sar ye bhī to hai
Maroof Dehlvidard-e-sar mein hai kise sandal lagane ka dimagh
us ka ghisna aur lagana dard-e-sar ye bhi to hai
terī āñkhoñ ke tasavvur meñ hai sair-e-kaunain
varna ham log idhar ke idhar ho ke rahte
Maroof Dehlviteri aankhon ke tasawwur mein hai sair-e-kaunain
warna hum log idhar ke idhar ho ke rahte
ka.aba-o-dair ko apnā to yahīñ se hai salām
dar-ba-dar kaun phire yaar ke dar ke hote
Maroof Dehlvikaba-o-dair ko apna to yahin se hai salam
dar-ba-dar kaun phire yar ke dar ke hote
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ hī nahīñ huuñ shefta-e-husn-e-gandumī
aage se hotī aa.ī hai aadam ko dekhiye
Maroof Dehlvimain hi nahin hun shefta-e-husn-e-gandumi
aage se hoti aai hai aadam ko dekhiye
hai dil meñ zulf-e-yār ke aalam ko dekhiye
phañste haiñ aap daam meñ ham ham ko dekhiye
Maroof Dehlvihai dil mein zulf-e-yar ke aalam ko dekhiye
phanste hain aap dam mein hum hum ko dekhiye
kyuuñ na miTTī ḳharāb ho apnī
is ḳharābāt kī binā haiñ ham
Maroof Dehlvikyun na miTTi KHarab ho apni
is KHarabaat ki bina hain hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ashk-e-laḳht-e-jigar āñkhoñ se ravāñ haiñ 'mārūf'
ab koī la.al chune yā dur-e-mash.hūr chune
Maroof Dehlviashk-e-laKHt-e-jigar aankhon se rawan hain 'maruf'
ab koi lal chune ya dur-e-mashhur chune
yahāñ to dāġh-e-ḳhūñ dāman se dhoyā tū ne ai qātil
vahāñ ik din khilegā gul hamārī be-gunāhī kā
Maroof Dehlviyahan to dagh-e-KHun daman se dhoya tu ne ai qatil
wahan ek din khilega gul hamari be-gunahi ka
sāqiyā mai kahāñ hai shīshe meñ
raushnī āftāb kī sī hai
Maroof Dehlvisaqiya mai kahan hai shishe mein
raushni aaftab ki si hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mazkūr jabki tere tabassum kā aa paḌā
gulshan meñ tifl-e-ġhuncha-e-dil khilkhilā paḌā
Maroof Dehlvimazkur jabki tere tabassum ka aa paDa
gulshan mein tifl-e-ghuncha-e-dil khilkhila paDa
bole vo apnī shakl ko aap aa.ine meñ dekh
dariyā ke paar aur gulistāñ hai dūsrā
Maroof Dehlvibole wo apni shakl ko aap aaine mein dekh
dariya ke par aur gulistan hai dusra
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sab lage us but ko sajda karne ai 'mārūf' aah
kal jidhar māthe pe vo qashqa sidhārā khīñch kar
Maroof Dehlvisab lage us but ko sajda karne ai 'maruf' aah
kal jidhar mathe pe wo qashqa sidhaara khinch kar
sunte hī ho ke ham-āġhosh kahā hañs ke tujhe
dard-e-dil kī hai davā aur bhī darkār ki bas
Maroof Dehlvisunte hi ho ke ham-aghosh kaha hans ke tujhe
dard-e-dil ki hai dawa aur bhi darkar ki bas
maiñ ne aaheñ bharīñ to ruk ke kahā
ghar meñ dhūnī sī kyā lagā dī hai
Maroof Dehlvimain ne aahen bharin to ruk ke kaha
ghar mein dhuni si kya laga di hai
havā ke ghoḌe pe jab vo savār hote haiñ
to pā ke vaqt maiñ kyā kyā maze uḌātā huuñ
Maroof Dehlvihawa ke ghoDe pe jab wo sawar hote hain
to pa ke waqt main kya kya maze uData hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aañkh Tuk mūñdne de hairat-e-ishq
aisī maiñ TikTikī se dar guzrā
Maroof Dehlviaankh Tuk mundne de hairat-e-ishq
aisi main TikTiki se dar guzra
ġhaflat meñ javānī ga.ī piirī meñ huā hosh
kyuuñ kar na khule aañkh sahar hī to hai āḳhir
Maroof Dehlvighaflat mein jawani gai piri mein hua hosh
kyun kar na khule aankh sahar hi to hai aaKHir
join rekhta family!
Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25
Register for free
-
Children's Literature1885
-