Sher of Prem Bhandari
saarī saarī raat maiñ jaagā
vo merī āñkhoñ meñ soyā
sari sari raat main jaga
wo meri aankhon mein soya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bhiik de kar na jaane kyā leñge
ik bhikāran Darī Darī soche
bhik de kar na jaane kya lenge
ek bhikaran Dari Dari soche
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh rishte haiñ jin kī ḳhātir
jiite jī marnā hotā hai
kuchh rishte hain jin ki KHatir
jite ji marna hota hai
terī chāhat kī hai itnī shiddat
pā liyā tujh ko to mar jā.ūñgā
teri chahat ki hai itni shiddat
pa liya tujh ko to mar jaunga
khel-kūd kar shaam Dhale kyuuñ
apne ghar ko jaatī dhuup
khel-kud kar sham Dhale kyun
apne ghar ko jati dhup
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merī shohrat ke pīchhe hai
haath bahut rusvā.ī kā
meri shohrat ke pichhe hai
hath bahut ruswai ka
shaam huī to sūraj soche
saarā din bekār jale the
sham hui to suraj soche
sara din bekar jale the
aag lagā.ī tum ne hī to
logoñ ne to sirf havā dī
aag lagai tum ne hi to
logon ne to sirf hawa di
rañg terā uḌā uḌā sā hai
lag ga.ī hai tujhe nazar shāyad
rang tera uDa uDa sa hai
lag gai hai tujhe nazar shayad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
saarī be-rañg soch ke chehre
lafz pahneñ to phir nikharte haiñ
sari be-rang soch ke chehre
lafz pahnen to phir nikharte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ to sab kuchh bhuul chukā huuñ
tū bhūle to baat barābar
main to sab kuchh bhul chuka hun
tu bhule to baat barabar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jaane kyuuñ log mirā naam paḌhā karte haiñ
maiñ ne chehre pe tire yuuñ to likhā kuchh bhī nahīñ
jaane kyun log mera nam paDha karte hain
main ne chehre pe tere yun to likha kuchh bhi nahin
chhupī hai an-ginat chiñgāriyāñ lafzoñ ke dāman meñ
zarā paḌhnā ġhazal kī ye kitāb āhista āhista
chhupi hai an-ginat chingariyan lafzon ke daman mein
zara paDhna ghazal ki ye kitab aahista aahista
pahlī saañs pe maiñ royā thā āḳhirī saañs pe duniyā
in sāñsoñ ke biich meñ ham ne kyā khoyā kyā paayā
pahli sans pe main roya tha aaKHiri sans pe duniya
in sanson ke bich mein hum ne kya khoya kya paya
tere mere biich nahīñ hai ḳhuun kā rishta phir bhī kyuuñ
terī aañkh ke saare aañsū merī aañkh se bahte haiñ
tere mere bich nahin hai KHun ka rishta phir bhi kyun
teri aankh ke sare aansu meri aankh se bahte hain
shañkar banā ke log mujhe pūjte rahe
majbūriyoñ meñ zahr nigalnā paḌā mujhe
shankar bana ke log mujhe pujte rahe
majburiyon mein zahr nigalna paDa mujhe
jis par tamām umr bahut naaz thā mujhe
merā vo ilm merī sifārish na ban sakā
jis par tamam umr bahut naz tha mujhe
mera wo ilm meri sifarish na ban saka
mujh ko yaad rahā tū bhūlā
baat hai ye to aadat kī
mujh ko yaad raha tu bhula
baat hai ye to aadat ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaise tanhā raat kaTegī
yādoñ kī gaThrī hī kholeñ
kaise tanha raat kaTegi
yaadon ki gaThri hi kholen
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download