Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abbas Dana's Photo'

Abbas Dana

1942 | Vadodara, India

Sher of Abbas Dana

1.4K
Favorite

SORT BY

tum aake lauT ga.e phir bhī ho yahīñ maujūd

tumhāre jism ḳhushbū mire makān meñ hai

tum aake lauT gae phir bhi ho yahin maujud

tumhaare jism ki KHushbu mere makan mein hai

jo haiñ mazlūm un ko to taḌaptā chhoḌ dete haiñ

ye kaisā shahr hai zālim ko zinda chhoḌ dete haiñ

jo hain mazlum un ko to taDapta chhoD dete hain

ye kaisa shahr hai zalim ko zinda chhoD dete hain

ghar vīrāniyāñ le jaa.e churā kar koī

isī ummīd pe darvāza khulā rakkhā hai

ghar ki viraniyan le jae chura kar koi

isi ummid pe darwaza khula rakkha hai

ta.ajjub kuchh nahīñ 'dānā' jo bāzār-e-siyāsat meñ

qalam bik jaa.eñ to sach baat likhnā chhoḌ dete haiñ

tajjub kuchh nahin 'dana' jo bazar-e-siyasat mein

qalam bik jaen to sach baat likhna chhoD dete hain

kise dost apnā banā.eñ ham kise dil haal sunā.eñ ham

sabhī ġhair haiñ sabhī ajnabī tire gaañv meñ mire shahr meñ

kise dost apna banaen hum kise dil ka haal sunaen hum

sabhi ghair hain sabhi ajnabi tere ganw mein mere shahr mein

hai jism saḳht magar dil bahut nāzuk hai

ki jaise ā.īna mahfūz ik chaTTān meñ hai

hai jism saKHt magar dil bahut hi nazuk hai

ki jaise aaina mahfuz ek chaTTan mein hai

is se baḌh kar tirī yādoñ karūñ kyā tāzīm

terī yādoñ meñ zamāne ko bhulā rakkhā hai

is se baDh kar teri yaadon ki karun kya tazim

teri yaadon mein zamane ko bhula rakkha hai

us se pūchho azaab rastoñ

jis sāthī safar meñ bichhḌā hai

us se puchho azab raston ka

jis ka sathi safar mein bichhDa hai

apne ḳhuun se is tarah adāvat mat kar

zinda rahnā hai to sāñsoñ se baġhāvat mat kar

apne hi KHun se is tarah adawat mat kar

zinda rahna hai to sanson se baghawat mat kar

tumhārā naam liyā thā kabhī mohabbat se

miThās us abhī tak mirī zabān meñ hai

tumhaara nam liya tha kabhi mohabbat se

miThas us ki abhi tak meri zaban mein hai

Recitation

Speak Now