Sher of Abdussamad ’Tapish’
use khilaunoñ se baḌh kar hai fikr roTī kī
hamāre daur kā bachcha janam se būḌhā hai
use khilaunon se baDh kar hai fikr roTi ki
hamare daur ka bachcha janam se buDha hai
koī column nahīñ hai hādsoñ par
bachā kar aaj kā aḳhbār rakhnā
koi column nahin hai hadson par
bacha kar aaj ka aKHbar rakhna
un ke lab par mirā gila hī sahī
yaad karne kā silsila to hai
un ke lab par mera gila hi sahi
yaad karne ka silsila to hai
jahāñ tak paañv mere jā sake haiñ
vahīñ tak rāsta Thahrā huā hai
jahan tak panw mere ja sake hain
wahin tak rasta Thahra hua hai
-
Tag : Raasta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ bhī tanhā is taraf huuñ vo bhī tanhā us taraf
maiñ pareshāñ huuñ to huuñ vo bhī pareshānī meñ hai
main bhi tanha is taraf hun wo bhi tanha us taraf
main pareshan hun to hun wo bhi pareshani mein hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vahī qātil vahī munsif banā hai
usī se faisla Thahrā huā hai
wahi qatil wahi munsif bana hai
usi se faisla Thahra hua hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vaqt ke dāman meñ koī
apnī ek kahānī rakh
waqt ke daman mein koi
apni ek kahani rakh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sab ko dikhlātā hai vo chhoTā banā kar mujh ko
mujh ko vo mere barābar nahīñ hone detā
sab ko dikhlata hai wo chhoTa bana kar mujh ko
mujh ko wo mere barabar nahin hone deta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab nishāna us kī apnī zaat hai
laḌ rahā hai ik anokhī jañg vo
ab nishana us ki apni zat hai
laD raha hai ek anokhi jang wo
kyuuñ vo milne se gurezāñ is qadar hone lage
mere un ke darmiyāñ dīvār rakh jaatā hai kaun
kyun wo milne se gurezan is qadar hone lage
mere un ke darmiyan diwar rakh jata hai kaun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
patte patte se naġhma-sarā kaun hai
ai havā tere andar chhupā kaun hai
patte patte se naghma-sara kaun hai
ai hawa tere andar chhupa kaun hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jafā ke zikr pe vo bad-havās kaisā hai
zarā sī baat thī lekin udaas kaisā hai
jafa ke zikr pe wo bad-hawas kaisa hai
zara si baat thi lekin udas kaisa hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mirī qindīl-e-jāñ jaltī hai shab bhar
zarā apnī bhī to rūdād-e-shab likh
meri qindil-e-jaan jalti hai shab bhar
zara apni bhi to rudad-e-shab likh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye maiñ huuñ ḳhud ki koī aur hai ta.āqub meñ
ye ek saaya pas-e-rahguzār kis kā hai
ye main hun KHud ki koi aur hai taaqub mein
ye ek saya pas-e-rahguzar kis ka hai
na jaane kaun fazāoñ meñ zahr ghol gayā
harā-bharā sā shajar be-libās kaisā hai
na jaane kaun fazaon mein zahr ghol gaya
hara-bhara sa shajar be-libas kaisa hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaun patthar uThā.e
ye shajar be-samar hai
kaun patthar uThae
ye shajar be-samar hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo baḌā thā phir bhī vo is qadar be-faiz thā
us ghanere peḌ meñ jaise koī saaya na thā
wo baDa tha phir bhi wo is qadar be-faiz tha
us ghanere peD mein jaise koi saya na tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
havā-e-tund kaisī chal paḌī hai
shajar par ek bhī pattā nahīñ hai
hawa-e-tund kaisi chal paDi hai
shajar par ek bhi patta nahin hai
maiñ ne jo kuchh bhī likkhā hai
vo sab harf-e-ā.inda hai
main ne jo kuchh bhi likkha hai
wo sab harf-e-ainda hai
kuchh haqā.eq ke zinda paikar haiñ
lafz meñ kyā bayān meñ kyā hai
kuchh haqaeq ke zinda paikar hain
lafz mein kya bayan mein kya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download