Sher of Ahmad Husain Mail
mujh se bigaḌ ga.e to raqīboñ kī ban ga.ī
ġhairoñ meñ baT rahā hai mirā e'tibār aaj
mujh se bigaD gae to raqibon ki ban gai
ghairon mein baT raha hai mera e'tibar aaj
duur se yuuñ diyā mujhe bosa
hoñT kī hoñT ko ḳhabar na huī
dur se yun diya mujhe bosa
honT ki honT ko KHabar na hui
pyaar apne pe jo aatā hai to kyā karte haiñ
ā.īna dekh ke muñh chuum liyā karte haiñ
pyar apne pe jo aata hai to kya karte hain
aaina dekh ke munh chum liya karte hain
-
Tag : Aaina
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
agarche vo be-parda aa.e hue haiñ
chhupāne kī chīzeñ chhupā.e hue haiñ
agarche wo be-parda aae hue hain
chhupane ki chizen chhupae hue hain
jitne achchhe haiñ maiñ huuñ un meñ burā
haiñ bure jitne un meñ achchhā huuñ
jitne achchhe hain main hun un mein bura
hain bure jitne un mein achchha hun
niiñd se uTh kar vo kahnā yaad hai
tum ko kyā sūjhī ye aadhī raat ko
nind se uTh kar wo kahna yaad hai
tum ko kya sujhi ye aadhi raat ko
jo un ko lipTā ke gaal chūmā hayā se aane lagā pasīna
huī hai bosoñ kī garm bhaTTī khiñche na kyūñkar sharāb-e-āriz
jo un ko lipTa ke gal chuma haya se aane laga pasina
hui hai boson ki garm bhaTTi khinche na kyunkar sharab-e-ariz
mohabbat ne 'mā.il' kiyā har kisī ko
kisī par kisī ko kisī par kisī ko
mohabbat ne 'mail' kiya har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko
ramazāñ meñ tū na jā rū-ba-rū un ke 'mā.il'
qabl-e-iftār badal jā.egī niyyat terī
ramazan mein tu na ja ru-ba-ru un ke 'mail'
qabl-e-iftar badal jaegi niyyat teri
tauba khaḌī hai dar pe jo fariyād ke liye
ye mai-kada bhī kyā kisī qaazī kā ghar huā
tauba khaDi hai dar pe jo fariyaad ke liye
ye mai-kada bhi kya kisi qazi ka ghar hua
tum ko ma.alūm javānī kā mazā hai ki nahīñ
ḳhvāb hī meñ kabhī kuchh kaam huā hai ki nahīñ
tum ko malum jawani ka maza hai ki nahin
KHwab hi mein kabhi kuchh kaam hua hai ki nahin
khol kar zulf-e-musalsal ko paḌhī us ne namāz
ghar meñ allāh ke bhī jaal bichhā kar aayā
khol kar zulf-e-musalsal ko paDhi us ne namaz
ghar mein allah ke bhi jal bichha kar aaya
ġhair kā haal to kahtā huuñ nujūmī ban kar
āp-bītī nahīñ ma.alūm vo nādān huuñ maiñ
ghair ka haal to kahta hun nujumi ban kar
aap-biti nahin malum wo nadan hun main
maiñ hī momin maiñ hī kāfir maiñ hī ka.aba maiñ hī dair
ḳhud ko maiñ sajde karūñgā dil meñ tum ho dil meñ tum
main hi momin main hi kafir main hi kaba main hi dair
KHud ko main sajde karunga dil mein tum ho dil mein tum
vo raat aa.e ki sar terā le ke baazū par
tujhe sulā.ūñ bayāñ kar ke maiñ fasāna-e-ishq
wo raat aae ki sar tera le ke bazu par
tujhe sulaun bayan kar ke main fasana-e-ishq
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum gale mil kar jo kahte ho ki ab had se na baḌh
haath to gardan meñ haiñ ham paañv phailā.eñge kyā
tum gale mil kar jo kahte ho ki ab had se na baDh
hath to gardan mein hain hum panw phailaenge kya
va.ada kiyā hai ġhair se aur vo bhī vasl kā
kullī karo huzūr huā hai dahan ḳharāb
wada kiya hai ghair se aur wo bhi wasl ka
kulli karo huzur hua hai dahan KHarab
vaa.iz kā e'tirāz ye but haiñ ḳhudā nahīñ
merā ye e'tiqād ki jalve ḳhudā ke haiñ
waiz ka e'tiraaz ye but hain KHuda nahin
mera ye e'tiqad ki jalwe KHuda ke hain
musalmāñ kāfiroñ meñ huuñ musalmānoñ meñ kāfir huuñ
ki qur.āñ sar pe but āñkhoñ meñ hai zunnār pahlū meñ
musalman kafiron mein hun musalmanon mein kafir hun
ki quran sar pe but aankhon mein hai zunnar pahlu mein
jo aa.e hashr meñ vo sab ko mārte aa.e
jidhar nigāh phirī choT par lagā.ī choT
jo aae hashr mein wo sab ko marte aae
jidhar nigah phiri choT par lagai choT
-
Tag : Eyes
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na.ī sadā ho na.e hoñT hoñ nayā lahja
na.ī zabāñ se kaho gar kahūñ fasāna-e-ishq
nai sada ho nae honT hon naya lahja
nai zaban se kaho gar kahun fasana-e-ishq
saarī ḳhilqat raah meñ hai aur ho manzil meñ tum
donoñ aalam dil se bāhar haiñ faqat ho dil meñ tum
sari KHilqat rah mein hai aur ho manzil mein tum
donon aalam dil se bahar hain faqat ho dil mein tum
miTī kuchh banī kuchh vo thī kuchh huī kuchh
zabāñ tak mirī dāstāñ aate aate
miTi kuchh bani kuchh wo thi kuchh hui kuchh
zaban tak meri dastan aate aate
naaz kar naaz tire naaz pe hai naaz mujhe
merī tanhā.ī hai partav tirī yaktā.ī kā
naz kar naz tere naz pe hai naz mujhe
meri tanhai hai partaw teri yaktai ka
kyā aa.ī thiiñ hūreñ tire ghar raat ko mehmāñ
kal ḳhvāb meñ ujḌā huā firdaus-e-barīñ thā
kya aai thin huren tere ghar raat ko mehman
kal KHwab mein ujDa hua firdaus-e-barin tha
band-e-qabā meñ bāñdh liyā le ke dil mirā
siine pe us ke phuul khilā hai gulāb kā
band-e-qaba mein bandh liya le ke dil mera
sine pe us ke phul khila hai gulab ka
hai hukm-e-ām ishq alaihis-salām kā
puujo butoñ ko bhed kuchh in meñ ḳhudā ke haiñ
hai hukm-e-am ishq alaihis-salam ka
pujo buton ko bhed kuchh in mein KHuda ke hain
merā salām ishq alaihis-salām ko
ḳhusrav udhar ḳharāb idhar kohkan ḳharāb
mera salam ishq alaihis-salam ko
KHusraw udhar KHarab idhar kohkan KHarab
gar bas chale to aap phirūñ apne gard maiñ
ka.abe ko jā ke kaun ho ai jān-e-man ḳharāb
gar bas chale to aap phirun apne gard main
kabe ko ja ke kaun ho ai jaan-e-man KHarab
jalsoñ meñ ḳhalvatoñ meñ ḳhayāloñ meñ ḳhvāb meñ
pahuñchī kahāñ kahāñ nigah-e-intizār aaj
jalson mein KHalwaton mein KHayalon mein KHwab mein
pahunchi kahan kahan nigah-e-intizar aaj
jā ke maiñ kū-e-butāñ meñ ye sadā detā huuñ
dil o diiñ bechne aayā hai musalmāñ koī
ja ke main ku-e-butan mein ye sada deta hun
dil o din bechne aaya hai musalman koi
kuchh na pūchho zāhidoñ ke bātin o zāhir kā haal
hai añdherā ghar meñ aur bāhar dhuāñ battī charāġh
kuchh na puchho zahidon ke baatin o zahir ka haal
hai andhera ghar mein aur bahar dhuan batti charagh
duniyā ne muñh pe Daalā hai parda sarāb kā
hote haiñ dauḌ dauḌ ke tishna-dahan ḳharāb
duniya ne munh pe Dala hai parda sarab ka
hote hain dauD dauD ke tishna-dahan KHarab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āsmāñ khaa.e to zamīn dekhe
dahan-e-gor kā nivālā huuñ
aasman khae to zamin dekhe
dahan-e-gor ka niwala hun
vo bazm meñ haiñ rote haiñ ushshāq chau taraf
paanī hai gird-e-anjuman aur anjuman meñ aag
wo bazm mein hain rote hain ushshaq chau taraf
pani hai gird-e-anjuman aur anjuman mein aag
chāk-e-dil se jhāñkiye duniyā idhar se diin udhar
dekhiye sab kā tamāshā is shigāf-e-dar se aap
chaak-e-dil se jhankiye duniya idhar se din udhar
dekhiye sab ka tamasha is shigaf-e-dar se aap
hañgām-e-qanā.at dil-e-murda huā zinda
mazmūn-e-qum e.ajāz-e-lab-e-nān-e-javīñ thā
hangam-e-qanaat dil-e-murda hua zinda
mazmun-e-qum eajaz-e-lab-e-nan-e-jawin tha