Sher of Ain Irfan
be-maqsad mahfil se behtar tanhā.ī
be-matlab bātoñ se achchhī ḳhāmoshī
be-maqsad mahfil se behtar tanhai
be-matlab baaton se achchhi KHamoshi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bahut nazdīk the tasvīr meñ ham
magar vo fāsla jo dikh rahā thā
bahut nazdik the taswir mein hum
magar wo fasla jo dikh raha tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bas ek dhun thī samundar ko paar karne kī
maiñ jāntā thā samundar ke paar kuchh bhī na thā
bas ek dhun thi samundar ko par karne ki
main jaanta tha samundar ke par kuchh bhi na tha
jahāñ tak Dūbne kā Dar hai tum ko
chalo ham saath chalte haiñ vahāñ tak
jahan tak Dubne ka Dar hai tum ko
chalo hum sath chalte hain wahan tak
hādisa kaun sā huā pahle
raat aa.ī ki din Dhalā pahle
hadisa kaun sa hua pahle
raat aai ki din Dhala pahle
gāmzan haiñ ham musalsal ajnabī manzil kī samt
zindagī kī aarzū meñ zindagī khote hue
gamzan hain hum musalsal ajnabi manzil ki samt
zindagi ki aarzu mein zindagi khote hue
kabhī sochūñ ki ḳhud maiñ lauT aa.uuñ
kabhī sochūñ ki aisā kyuuñ karūñ maiñ
kabhi sochun ki KHud main lauT aaun
kabhi sochun ki aisa kyun karun main
mirā vajūd jo patthar dikhā.ī detā hai
tamām umr kī shīshagarī kā hāsil hai
mera wajud jo patthar dikhai deta hai
tamam umr ki shishagari ka hasil hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merī taraf sabhī ki nigāheñ thiiñ aur maiñ
jis kashmakash meñ sab the usī kashmakash meñ thā
meri taraf sabhi ki nigahen thin aur main
jis kashmakash mein sab the usi kashmakash mein tha
ho din ki chāhe raat koī mas.ala nahīñ
mere liye hayāt koī mas.ala nahīñ
ho din ki chahe raat koi masala nahin
mere liye hayat koi masala nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġharq hote jahāz dekhe haiñ
sail-e-vaqt-e-ravāñ samajhtā huuñ
gharq hote jahaz dekhe hain
sail-e-waqt-e-rawan samajhta hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tishnagī piine kī shab thī
aabjū hone kā din thā
tishnagi pine ki shab thi
aabju hone ka din tha