Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akash Arsh's Photo'

Akash Arsh

2001 | Delhi, India

Talented young poet, prominent among the emerging generation of Urdu poets

Talented young poet, prominent among the emerging generation of Urdu poets

Sher of Akash Arsh

baiThā huā huuñ lag ke darīche se mahv-e-yās

ye shaam aaj mere barābar udaas hai

baiTha hua hun lag ke dariche se mahw-e-yas

ye sham aaj mere barabar udas hai

sab apnī zaat meñ ik anjuman ke mujrim haiñ

kisī vajūd meñ kuchh fard jaisā hai nahīñ

sab apni zat mein ek anjuman ke mujrim hain

kisi wajud mein kuchh fard jaisa hai hi nahin

maiñ tere hadiya-e-furqat pe kaise nāzāñ huuñ

mirī jabīñ pe tirā zaḳhm tak hasīn nahīñ

main tere hadiya-e-furqat pe kaise nazan hun

meri jabin pe tera zaKHm tak hasin nahin

maiñ ḳhud ko dekhtā huuñ aur bhī hiqārat se

jab apnā martaba taslīm karne lagtā huuñ

main KHud ko dekhta hun aur bhi hiqarat se

jab apna martaba taslim karne lagta hun

kisī parind chīḳhoñ ne sang-bārī

sukūt-e-shām shīsha bikhar gayā mujh meñ

kisi parind ki chiKHon ne sang-bari ki

sukut-e-sham ka shisha bikhar gaya mujh mein

har ek samt tirī yaad dhundalkā hai

tire ḳhayāl sūraj utar gayā mujh meñ

har ek samt teri yaad ka dhundalka hai

tere KHayal ka suraj utar gaya mujh mein

ye kaun tere sivā kar sakā udaas mujhe

tire ḳhayāl ne chheḌī thī guftugū kis

ye kaun tere siwa kar saka udas mujhe

tere KHayal ne chheDi thi guftugu kis ki

suḳhan-ābad meñ saudā.iyoñ dhuum sahī

'mīr'-jī she'r ke fan meñ mire ustād raho

suKHan-abad mein saudaiyon ki dhum sahi

'mir'-ji she'r ke fan mein mere ustad raho

Recitation

Speak Now