Sher of Aleena Itrat
shadīd dhuup meñ saare daraḳht suukh ga.e
bas ik duā kā shajar thā jo be-samar na huā
shadid dhup mein sare daraKHt sukh gae
bas ek dua ka shajar tha jo be-samar na hua
udāsī shaam tanhā.ī kasak yādoñ kī bechainī
mujhe sab sauñp kar sūraj utar jaatā hai paanī meñ
udasi sham tanhai kasak yaadon ki bechaini
mujhe sab saunp kar suraj utar jata hai pani mein
koī āvāz na aahaT na koī halchal hai
aisī ḳhāmoshī se guzre to guzar jā.eñge
koi aawaz na aahaT na koi halchal hai
aisi KHamoshi se guzre to guzar jaenge
koī milā hī nahīñ jis se hāl-e-dil kahte
milā to rah ga.e lafzoñ ke intiḳhāb meñ ham
koi mila hi nahin jis se haal-e-dil kahte
mila to rah gae lafzon ke intiKHab mein hum
apnī muTThī meñ chhupā kar kisī jugnū kī tarah
ham tire naam ko chupke se paḌhā karte haiñ
apni muTThi mein chhupa kar kisi jugnu ki tarah
hum tere nam ko chupke se paDha karte hain
hijr kī raat aur puurā chāñd
kis qadar hai ye ehtimām ġhalat
hijr ki raat aur pura chand
kis qadar hai ye ehtimam ghalat
zinda rahne kī ye tarkīb nikālī maiñ ne
apne hone kī ḳhabar sab se chhupā lī maiñ ne
zinda rahne ki ye tarkib nikali main ne
apne hone ki KHabar sab se chhupa li main ne
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ishq meñ fikr to dīvāna banā detī hai
pyaar ko aql nahīñ dil kī panāhoñ meñ rakho
ishq mein fikr to diwana bana deti hai
pyar ko aql nahin dil ki panahon mein rakho
Thiik hai jaao ta.alluq na rakheñge ham bhī
tum bhī va.ada karo ab yaad nahīñ aaoge
Thik hai jao talluq na rakhenge hum bhi
tum bhi wada karo ab yaad nahin aaoge
jab bhī fursat milī hañgāma-e-duniyā se mujhe
merī tanhā.ī ko bas terā pata yaad aayā
jab bhi fursat mili hangama-e-duniya se mujhe
meri tanhai ko bas tera pata yaad aaya
ba.ad muddat mujhe niiñd aa.ī baḌe chain kī niiñd
ḳhaak jab oḌh lī jab ḳhaak bichhā lī maiñ ne
baad muddat mujhe nind aai baDe chain ki nind
KHak jab oDh li jab KHak bichha li main ne
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
abhī to chaak pe jaarī hai raqs miTTī kā
abhī kumhār kī niyyat badal bhī saktī hai
abhi to chaak pe jari hai raqs miTTi ka
abhi kumhaar ki niyyat badal bhi sakti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har ek sajde meñ dil ko tirā ḳhayāl aayā
ye ik gunāh ibādat meñ baar baar huā
har ek sajde mein dil ko tera KHayal aaya
ye ek gunah ibaadat mein bar bar hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jin ke mazbūt irāde bane pahchān un kī
manzileñ aap hī ho jaatī haiñ āsān un kī
jin ke mazbut irade bane pahchan un ki
manzilen aap hi ho jati hain aasan un ki
tujh ko āvāz duuñ aur duur talak tū na mile
aise sannāToñ se aksar mujhe Dar lagtā hai
tujh ko aawaz dun aur dur talak tu na mile
aise sannaTon se aksar mujhe Dar lagta hai
ham havā se bachā rahe the jinheñ
un charāġhoñ se jal ga.e shāyad
hum hawa se bacha rahe the jinhen
un charaghon se jal gae shayad
ḳhvāhisheñ ḳhvāb dikhātī haiñ tire milne kā
ḳhvāb se kah de ki ta.abīr kī sūrat aa.e
KHwahishen KHwab dikhati hain tere milne ka
KHwab se kah de ki tabir ki surat aae
mire vajūd meñ shāmil thā vo havā kī tarah
so har taraf thā mire bas mirī nazar meñ na thā
mere wajud mein shamil tha wo hawa ki tarah
so har taraf tha mere bas meri nazar mein na tha
lo hamārā javāb le jaao
ye mahaktā gulāb le jaao
lo hamara jawab le jao
ye mahakta gulab le jao
bin āvāz pukāreñ har-dam naam tirā
shāyad ham bhī pāgal hone vaale haiñ
bin aawaz pukaren har-dam nam tera
shayad hum bhi pagal hone wale hain
band rahte haiñ jo alfāz kitāboñ meñ sadā
gardish-e-vaqt miTā detī hai pahchān un kī
band rahte hain jo alfaz kitabon mein sada
gardish-e-waqt miTa deti hai pahchan un ki
shadīd dhuup meñ saare daraḳht suukh ga.e
bas ik duā kā shajar thā jo be-samar na huā
shadid dhup mein sare daraKHt sukh gae
bas ek dua ka shajar tha jo be-samar na hua
dil ke gulshan meñ tire pyaar kī ḳhushbū pā kar
rañg ruḳhsār pe phūloñ se khilā karte haiñ
dil ke gulshan mein tere pyar ki KHushbu pa kar
rang ruKHsar pe phulon se khila karte hain
jaane kab kaise giraftār-e-mohabbat hue ham
jaane kab Dhal ga.e iqrār meñ inkār ke rañg
jaane kab kaise giraftar-e-mohabbat hue hum
jaane kab Dhal gae iqrar mein inkar ke rang
phir zamīñ khīñch rahī hai mujhe apnī jānib
maiñ rukūñ kaise ke parvāz abhī baaqī hai
phir zamin khinch rahi hai mujhe apni jaanib
main rukun kaise ke parwaz abhi baqi hai
terī chāhat hai ḳhvāb-e-pākīza
ik ibādat jo bā-vazū hogī
teri chahat hai KHwab-e-pakiza
ek ibaadat jo ba-wazu hogi
kisī ke vāste tasvīr-e-intizār the ham
vo aa gayā pa kahāñ ḳhatm intizār huā
kisi ke waste taswir-e-intizar the hum
wo aa gaya pa kahan KHatm intizar hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ajab sī kashmakash tamām umr saath saath thī
rakhā jo ruuh kā bharam to jism merā mar gayā
ajab si kashmakash tamam umr sath sath thi
rakha jo ruh ka bharam to jism mera mar gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
garmi-e-ishq khilā detī hai gāloñ pe gulāb
yaad aate haiñ jo lamhāt ga.ī rātoñ ke
garmi-e-ishq khila deti hai galon pe gulab
yaad aate hain jo lamhat gai raaton ke
mausam-e-gul par ḳhizāñ kā zor chal jaatā hai kyuuñ
har hasīñ manzar bahut jaldī badal jaatā hai kyuuñ
mausam-e-gul par KHizan ka zor chal jata hai kyun
har hasin manzar bahut jaldi badal jata hai kyun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gahre samundaroñ meñ utarne kī le ke aas
baiThe hue hai ek kināre hamāre ḳhvāb
gahre samundaron mein utarne ki le ke aas
baiThe hue hai ek kinare hamare KHwab
bandishoñ ko toḌne kī koshisheñ kartī huī
sar paTaktī lahr terī ājizī achchhī lagī
bandishon ko toDne ki koshishen karti hui
sar paTakti lahr teri aajizi achchhi lagi
-
Tag : Aajizi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo ik charāġh jo jaltā hai raushnī ke liye
usī ke zer-e-tahaffuz hai tīrgī kā vajūd
wo ek charagh jo jalta hai raushni ke liye
usi ke zer-e-tahaffuz hai tirgi ka wajud
ab bhī aksar shab-e-tanhā.ī meñ kuchh tahrīreñ
chāñd ke aks se ho jaatī haiñ raushan raushan
ab bhi aksar shab-e-tanhai mein kuchh tahriren
chand ke aks se ho jati hain raushan raushan
ayaañ the jazba-e-dil aur bayāñ the saare ḳhayāl
koī bhī parda na thā jab ke the hijāb meñ ham
ayan the jazba-e-dil aur bayan the sare KHayal
koi bhi parda na tha jab ke the hijab mein hum
zaat meñ jis kī ho Thahrāv zamīñ kī mānind
fikr meñ us kī samundar kī sī vus.at hogī
zat mein jis ki ho Thahraw zamin ki manind
fikr mein us ki samundar ki si wusat hogi
jhūTā samāj rasm-o-rivāyāt sarhadeñ
ab bhī haiñ rāh-e-ishq meñ dīvār kī tarah
jhuTa samaj rasm-o-riwayat sarhaden
ab bhi hain rah-e-ishq mein diwar ki tarah
añdherī shab kā ye ḳhvāb-manzar mujhe ujāloñ se bhar rahā hai
to raat itnī tavīl kar de ki tā-qayāmat sahar na aa.e
andheri shab ka ye KHwab-manzar mujhe ujalon se bhar raha hai
to raat itni tawil kar de ki ta-qayamat sahar na aae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
Dhalī jo shaam to mujh meñ simaT gayā jaise
qarār paane samundar meñ āftāb utre
Dhali jo sham to mujh mein simaT gaya jaise
qarar pane samundar mein aaftab utre
aaj parvāz ḳhayāloñ kī judā sī paa.ī
aaj phir bhūlī huī yaad kisī kī aa.ī
aaj parwaz KHayalon ki juda si pai
aaj phir bhuli hui yaad kisi ki aai
kūza-gar ne jab merī miTī se kī taḳhlīq-e-nau
ho ga.e ḳhud jazb mujh meñ aag aur paanī havā
kuza-gar ne jab meri miTi se ki taKHliq-e-nau
ho gae KHud jazb mujh mein aag aur pani hawa
aaj jab chāñdnī utrī thī mire āñgan meñ
chāñd kis lamha huā mujh se ḳhafā yaad aayā
aaj jab chandni utri thi mere aangan mein
chand kis lamha hua mujh se KHafa yaad aaya
husn-o-jamāl-o-zīst kī ārā.isheñ fuzūl
ishq-o-junūñ kī aag jo dil meñ javāñ na ho
husn-o-jamal-o-zist ki aaraishen fuzul
ishq-o-junun ki aag jo dil mein jawan na ho
kuchh kaḌe Takrāo de jaatī hai aksar raushnī
juuñ chamak uThtī hai koī barq talvāroñ ke bech
kuchh kaDe Takrao de jati hai aksar raushni
jun chamak uThti hai koi barq talwaron ke bech
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download