aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ata Turab's Photo'

Ata Turab

1977 | Islamabad, Pakistan

Sher of Ata Turab

chāhiye kyā tumheñ tohfe meñ batā do varna

ham to bāzār ke bāzār uThā lā.eñge

chahiye kya tumhein tohfe mein bata do warna

hum to bazar ke bazar uTha laenge

yuuñ mohabbat se na ham ḳhāna-ba-doshoñ ko bulā

itne saada haiñ ki ghar-bār uThā lā.eñge

yun mohabbat se na hum KHana-ba-doshon ko bula

itne sada hain ki ghar-bar uTha laenge

haañ tujhe bhī to mayassar nahīñ tujh koī

hai tirā arsh bhī vīrāñ mire pahlū tarah

han tujhe bhi to mayassar nahin tujh sa koi

hai tera arsh bhi viran mere pahlu ki tarah

tarāsh aur bhī apne tasavvur-e-rab ko

tire ḳhudā se to behtar mirā sanam hai abhī

tarash aur bhi apne tasawwur-e-rab ko

tere KHuda se to behtar mera sanam hai abhi

tūfān-e-bahr ḳhaak Darātā mujhe 'turāb'

us se baḌā bhañvar to safīne ke biich thā

tufan-e-bahr KHak Daraata mujhe 'turab'

us se baDa bhanwar to safine ke bich tha

kyā kyā na pyaas jaage mire dil ke dasht meñ

hasrat bhī ek aag hai laage jo raat bhar

kya kya na pyas jage mere dil ke dasht mein

hasrat bhi ek aag hai lage jo raat bhar

vo ik suḳhan hamārī sanad na ban jaa.e

vo ik suḳhan jo tumhārī sanad nahīñ rakhtā

wo ek suKHan hi hamari sanad na ban jae

wo ek suKHan jo tumhaari sanad nahin rakhta

ishq to apne lahū meñ sañvartā hai so ham

kis liye ruḳh pe koī ġhāza lagā kar dekheñ

ishq to apne lahu mein hi sanwarta hai so hum

kis liye ruKH pe koi ghaza laga kar dekhen

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now