Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Azhar Naqvi

Islamabad, Pakistan

Sher of Azhar Naqvi

702
Favorite

SORT BY

shahr gum-sum rāste sunsān ghar ḳhāmosh haiñ

kyā balā utrī hai kyuuñ dīvār-o-dar ḳhāmosh haiñ

shahr gum-sum raste sunsan ghar KHamosh hain

kya bala utri hai kyun diwar-o-dar KHamosh hain

raat bhar chāñd se hotī raheñ terī bāteñ

raat khole haiñ sitāroñ ne tire raaz bahut

raat bhar chand se hoti rahen teri baaten

raat khole hain sitaron ne tere raaz bahut

ajab hairat hai akasr dekhtā hai mere chehre ko

ye kis nā-āshnā aa.ine meñ aks rahtā hai

ajab hairat hai akasr dekhta hai mere chehre ko

ye kis na-ashna ka aaine mein aks rahta hai

dil kuchh der machaltā hai phir yādoñ meñ yuuñ kho jaatā hai

jaise koī ziddī bachcha rote rote so jaatā hai

dil kuchh der machalta hai phir yaadon mein yun kho jata hai

jaise koi ziddi bachcha rote rote so jata hai

ajab nahīñ ki bichhaḌne faisla kar le

agar ye dil hai to nādān ho bhī saktā hai

ajab nahin ki bichhaDne ka faisla kar le

agar ye dil hai to nadan ho bhi sakta hai

phir ret ke dariyā pe koī pyāsā musāfir

likhtā hai vahī ek kahānī ka.ī din se

phir ret ke dariya pe koi pyasa musafir

likhta hai wahi ek kahani kai din se

kal shajar guftugū sunte the aur hairat meñ the

ab parinde bolte haiñ aur shajar ḳhāmosh haiñ

kal shajar ki guftugu sunte the aur hairat mein the

ab parinde bolte hain aur shajar KHamosh hain

dukh safar hai ki apnoñ se bichhaḌ jaane ġham

kyā sabab hai vaqt-e-ruḳhsat ham-safar ḳhāmosh haiñ

dukh safar ka hai ki apnon se bichhaD jaane ka gham

kya sabab hai waqt-e-ruKHsat ham-safar KHamosh hain

jamī hai gard āñkhoñ meñ ka.ī gumnām barsoñ

mire andar na jaane kaun būḌhā shaḳhs rahtā hai

jami hai gard aankhon mein kai gumnam barson ki

mere andar na jaane kaun buDha shaKHs rahta hai

ik maiñ ki ek ġham taqāzā na kar sakā

ik vo ki us ne maañg liye apne ḳhvāb tak

ek main ki ek gham ka taqaza na kar saka

ek wo ki us ne mang liye apne KHwab tak

kināroñ se judā hotā nahīñ tuġhyāniyoñ dukh

na.ī maujoñ meñ rahtā hai purāne pāniyoñ dukh

kinaron se juda hota nahin tughyaniyon ka dukh

nai maujon mein rahta hai purane paniyon ka dukh

ḳhvāb muTThī meñ liye phirte haiñ sahrā sahrā

ham vahī log haiñ jo dhuup ke par kāTte haiñ

KHwab muTThi mein liye phirte hain sahra sahra

hum wahi log hain jo dhup ke par kaTte hain

jis raat khulā mujh pe vo mahtāb sūrat

vo raat sitāroñ amānat hai sahar tak

jis raat khula mujh pe wo mahtab ki surat

wo raat sitaron ki amanat hai sahar tak

ḳhauf aisā hai ki ham band makānoñ meñ bhī

sone vāloñ hifāzat ke liye jāgte haiñ

KHauf aisa hai ki hum band makanon mein bhi

sone walon ki hifazat ke liye jagte hain

ek hañgāma yādoñ hai dil meñ 'az.har'

kitnā ābād huā shahr ye vīrāñ ho kar

ek hangama sa yaadon ka hai dil mein 'azhar'

kitna aabaad hua shahr ye viran ho kar

ab to mujh ko bhī nahīñ miltī mirī koī ḳhabar

kitnā gumnām huā huuñ maiñ numāyāñ ho kar

ab to mujh ko bhi nahin milti meri koi KHabar

kitna gumnam hua hun main numayan ho kar

patthar jaisī āñkhoñ meñ sūraj ke ḳhvāb lagāte haiñ

aur phir ham is ḳhvāb ke har manzar se bāhar rahte haiñ

patthar jaisi aankhon mein suraj ke KHwab lagate hain

aur phir hum is KHwab ke har manzar se bahar rahte hain

terā raqs silsila-e-aks-e-ḳhvāb hai

is ashk-e-nīm-shab se shab-e-māhtāb tak

tera hi raqs silsila-e-aks-e-KHwab hai

is ashk-e-nim-shab se shab-e-mahtab tak

ek ik saañs meñ sadiyoñ safar kāTte haiñ

ḳhauf ke shahr meñ rahte haiñ so Dar kāTte haiñ

ek ek sans mein sadiyon ka safar kaTte hain

KHauf ke shahr mein rahte hain so Dar kaTte hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now