Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Baqaullah 'Baqa'

1791/2

Sher of Baqaullah 'Baqa'

1.4K
Favorite

SORT BY

ishq meñ hai kibriyā.ī

āshiqī jis ne ḳhudā.ī

ishq mein bu hai kibriyai ki

aashiqi jis ne ki KHudai ki

bulbul se kahā gul ne kar tark mulāqāteñ

ġhunche ne girah bāñdhīñ jo gul ne kahīñ bāteñ

bulbul se kaha gul ne kar tark mulaqaten

ghunche ne girah bandhin jo gul ne kahin baaten

ishq ne mansab likhe jis din mirī taqdīr meñ

daaġh naqadī milī sahrā milā jāgīr meñ

ishq ne mansab likhe jis din meri taqdir mein

dagh ki naqadi mili sahra mila jagir mein

chhoḌ kar kūcha-e-mai-ḳhāna taraf masjid ke

maiñ to dīvāna nahīñ huuñ jo chalūñ hosh raah

chhoD kar kucha-e-mai-KHana taraf masjid ke

main to diwana nahin hun jo chalun hosh ki rah

ulfat meñ tirī ai but-e-be-mehr-o-mohabbat

aayā hameñ ik haath se taalī bajānā

ulfat mein teri ai but-e-be-mehr-o-mohabbat

aaya hamein ek hath se tali ka bajaana

is bazm meñ pūchhe na koī mujh se ki kyā huuñ

jo shīsha gire sañg pe maiñ us sadā huuñ

is bazm mein puchhe na koi mujh se ki kya hun

jo shisha gire sang pe main us ki sada hun

ḳhvāhish-e-sūd thī saude meñ mohabbat ke vale

sar-ba-sar is meñ ziyāñ thā mujhe ma.alūm na thā

KHwahish-e-sud thi saude mein mohabbat ke wale

sar-ba-sar is mein ziyan tha mujhe malum na tha

dekh ā.īna jo kahtā hai ki allāh-re maiñ

us maiñ dekhne vaalā huuñ 'baqā' vāh-re maiñ

dekh aaina jo kahta hai ki allah-re main

us ka main dekhne wala hun 'baqa' wah-re main

apnī marzī to ye hai banda-e-but ho rahiye

aage marzī hai ḳhudā so ḳhudā jaane

apni marzi to ye hai banda-e-but ho rahiye

aage marzi hai KHuda ki so KHuda hi jaane

ai ishq har-chand mirā dushman-e-jāñ ho

marne nahīñ naam maiñ apne 'baqā' huuñ

ai ishq tu har-chand mera dushman-e-jaan ho

marne ka nahin nam ka main apne 'baqa' hun

qalam sifat meñ pas-az-marātib badan sanā meñ tirī khapāyā

badan zabāñ meñ zabāñ suḳhan meñ suḳhan sanā meñ tirī khapāyā

qalam sifat mein pas-az-maraatib badan sana mein teri khapaya

badan zaban mein zaban suKHan mein suKHan sana mein teri khapaya

kyā tujh ko likhūñ ḳhat harakat haath se gum hai

ḳhāma bhī mire haath meñ añgusht-e-shashum hai

kya tujh ko likhun KHat harakat hath se gum hai

KHama bhi mere hath mein angusht-e-shashum hai

bāñg-e-takbīr to aisī hai 'baqā' sīna-ḳharāsh

uñgliyāñ aap mo.azzin ne dharīñ kaan ke biich

bang-e-takbir to aisi hai 'baqa' sina-KHarash

ungliyan aap moazzin ne dharin kan ke bich

kal ke din jo gird mai-ḳhāne ke phirte the ḳharāb

aaj masjid meñ jo dekhā sāhab-e-sajjāda haiñ

kal ke din jo gird mai-KHane ke phirte the KHarab

aaj masjid mein jo dekha sahab-e-sajjada hain

ye riñd de ga.e luqma tujhe to uzr na maan

tirā to shaiḳh tanūr o shikam barābar hai

ye rind de gae luqma tujhe to uzr na man

tera to shaiKH tanur o shikam barabar hai

hai dil meñ ghar ko shahar se sahrā meñ le chaleñ

uThvā ke āñsuoñ se dar-o-bām dosh par

hai dil mein ghar ko shahar se sahra mein le chalen

uThwa ke aansuon se dar-o-baam dosh par

ḳhāl-e-lab āfat-e-jāñ thā mujhe ma.alūm na thā

daam daane meñ nihāñ thā mujhe ma.alūm na thā

KHal-e-lab aafat-e-jaan tha mujhe malum na tha

dam dane mein nihan tha mujhe malum na tha

rushd-e-bātin talab hai to kar ai shaiḳh vo kaam

pīr-e-mai-ḳhāna jo zāhir meñ kuchh irshād kare

rushd-e-baatin ki talab hai to kar ai shaiKH wo kaam

pir-e-mai-KHana jo zahir mein kuchh irshad kare

mat tañg ho kare jo falak tujh ko tañg-dast

āhista khīñchiye jo dabe zer-e-sañg dast

mat tang ho kare jo falak tujh ko tang-dast

aahista khinchiye jo dabe zer-e-sang dast

dilā uThā.iye har tarah us chashm naaz

zamāna ba na-sāzad zamāna ba-sāz

dila uThaiye har tarah us ki chashm ka naz

zamana ba tu na-sazad tu ba zamana ba-saz

dekhā to ek sho.ale se ai shaiḳh-o-barhaman

raushan haiñ sham-e-dair o charāġh-e-haram baham

dekha to ek shoale se ai shaiKH-o-barhaman

raushan hain sham-e-dair o charagh-e-haram baham

bas pā-e-junūñ sair-e-bayābāñ to bahut

ab ḳhāna-e-zanjīr meñ Tuk baiTh ke dam le

bas pa-e-junun sair-e-bayaban to bahut ki

ab KHana-e-zanjir mein Tuk baiTh ke dam le

sailāb se āñkhoñ ke rahte haiñ ḳharābe meñ

TukḌe jo mire dil ke baste haiñ do-ābe meñ

sailab se aankhon ke rahte hain KHarabe mein

TukDe jo mere dil ke baste hain do-abe mein

Recitation

Speak Now