Sher of Basit Bhopali
zarā dariyā kī tah tak to pahuñch jaane kī himmat kar
to phir ai Dūbne vaale kinārā hī kinārā hai
zara dariya ki tah tak to pahunch jaane ki himmat kar
to phir ai Dubne wale kinara hi kinara hai
zabt-e-ġham kar bhī liyā to kyā kiyā
dil kī rag rag se lahū Tapkā kiyā
zabt-e-gham kar bhi liya to kya kiya
dil ki rag rag se lahu Tapka kiya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aah vo dil ki jise dard kī lazzat na milī
haa.e vo dard ki jis kā huā armāñ mujh ko
aah wo dil ki jise dard ki lazzat na mili
hae wo dard ki jis ka hua arman mujh ko