Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bedam Shah Warsi's Photo'

Bedam Shah Warsi

1876 - 1936 | Barabanki, India

Sufi poet famous for his devotional poetry.

Sufi poet famous for his devotional poetry.

Sher of Bedam Shah Warsi

3.7K
Favorite

SORT BY

ab aadmī kuchh aur hamārī nazar meñ hai

jab se sunā hai yaar libās-e-bashar meñ hai

ab aadmi kuchh aur hamari nazar mein hai

jab se suna hai yar libas-e-bashar mein hai

hamārī zindagī to muḳhtasar ik kahānī thī

bhalā ho maut jis ne banā rakkhā hai afsāna

hamari zindagi to muKHtasar si ek kahani thi

bhala ho maut ka jis ne bana rakkha hai afsana

tum jo chāho to mire dard darmāñ ho jaa.e

varna mushkil hai ki mushkil mirī āsāñ ho jaa.e

tum jo chaho to mere dard ka darman ho jae

warna mushkil hai ki mushkil meri aasan ho jae

apnā to ye maz.hab hai ka.aba ho ki but-ḳhāna

jis tumheñ dekheñge ham sar ko jhukā deñge

apna to ye mazhab hai kaba ho ki but-KHana

jis ja tumhein dekhenge hum sar ko jhuka denge

sab ne ġhurbat meñ mujh ko chhoḌ diyā

ik mirī bekasī nahīñ jaatī

sab ne ghurbat mein mujh ko chhoD diya

ek meri bekasi nahin jati

jo suntā huuñ suntā huuñ maiñ apnī ḳhamoshī se

jo kahtī hai kahtī hai mujh se mirī ḳhāmoshī

jo sunta hun sunta hun main apni KHamoshi se

jo kahti hai kahti hai mujh se meri KHamoshi

us ko duniyā aur na uqbā chāhiye

qais lailā hai lailā chāhiye

us ko duniya aur na uqba chahiye

qais laila ka hai laila chahiye

bedam ye mohabbat hai koī musībat hai

jab dekhiye afsurda jab dekhiye jab maġhmūm

bedam ye mohabbat hai ya koi musibat hai

jab dekhiye afsurda jab dekhiye jab maghmum

dene vaale tujhe denā hai to itnā de de

ki mujhe shikva-e-kotāhī-e-dāmāñ ho jaa.e

dene wale tujhe dena hai to itna de de

ki mujhe shikwa-e-kotahi-e-daman ho jae

ai junūñ kyuuñ liye jaatā hai bayābāñ meñ mujhe

jab tujhe aatā hai ghar ko mire sahrā karnā

ai junun kyun liye jata hai bayaban mein mujhe

jab tujhe aata hai ghar ko mere sahra karna

mire nāshād rahne se agar tujh ko masarrat hai

to maiñ nāshād achchhā mujhe nāshād rahne de

mere nashad rahne se agar tujh ko masarrat hai

to main nashad hi achchha mujhe nashad rahne de

kahāñ īmān kis kufr aur dair-o-haram kaise

tire hote hue ai jaañ ḳhayāl-e-do-jahāñ kyuuñ ho

kahan iman kis ka kufr aur dair-o-haram kaise

tere hote hue ai jaan KHayal-e-do-jahan kyun ho

mire dard-e-nihāñ haal mohtāj-e-bayāñ kyuuñ ho

jo lafzoñ ho majmūa vo merī dāstāñ kyuuñ ho

mere dard-e-nihan ka haal mohtaj-e-bayan kyun ho

jo lafzon ka ho majmua wo meri dastan kyun ho

taur majnūñ nigāhoñ ke batāte haiñ hameñ

isī lailā meñ hai ik dūsrī lailā dekho

taur majnun ki nigahon ke batate hain hamein

isi laila mein hai ek dusri laila dekho

barhaman mujh ko banānā na musalmāñ karnā

mere saaqī mujhe mast-e-mai-e-irfāñ karnā

barhaman mujh ko banana na musalman karna

mere saqi mujhe mast-e-mai-e-irfan karna

jis is ālam-e-sūrat meñ hai rañg-āmezī

usī tasvīr ḳhāka to ye insān bhī hai

jis ki is aalam-e-surat mein hai rang-amezi

usi taswir ka KHaka to ye insan bhi hai

vo qulqul-e-mīnā meñ charche mirī tauba ke

aur shīsha-o-sāġhar mai-ḳhāne meñ sargoshī

wo qulqul-e-mina mein charche meri tauba ke

aur shisha-o-saghar ki mai-KHane mein sargoshi

mirā sar kaT ke maqtal meñ gire qātil ke qadmoñ par

dam-e-āḳhir adā yuuñ sajda-e-shukrāna ho jaa.e

mera sar kaT ke maqtal mein gire qatil ke qadmon par

dam-e-aKHir ada yun sajda-e-shukrana ho jae

jis pe martā huuñ use dekh to luuñ bhar ke

itnī jaldī mire qatl meñ jallād na kar

jis pe marta hun use dekh to lun ji bhar ke

itni jaldi tu mere qatl mein jallad na kar

mujhe shikva nahīñ barbād rakh barbād rahne de

magar allāh mere dil meñ apnī yaad rahne de

mujhe shikwa nahin barbaad rakh barbaad rahne de

magar allah mere dil mein apni yaad rahne de

'ishq ibtidā bhī tum husn intihā bhī tum

rahne do raaz khul gayā bande bhī tum ḳhudā bhī tum

'ishq ki ibtida bhi tum husn ki intiha bhi tum

rahne do raaz khul gaya bande bhi tum KHuda bhi tum

zamīñ se āsmāñ tak āsmāñ se lā-makāñ tak hai

ḳhudā jaane hamāre ishq duniyā kahāñ tak hai

zamin se aasman tak aasman se la-makan tak hai

KHuda jaane hamare ishq ki duniya kahan tak hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now