Sher of Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
dard ko rahne bhī de dil meñ davā ho jā.egī
maut aa.egī to ai hamdam shifā ho jā.egī
dard ko rahne bhi de dil mein dawa ho jaegi
maut aaegi to ai hamdam shifa ho jaegi
duniyā bas is se aur ziyāda nahīñ hai kuchh
kuchh roz haiñ guzārne aur kuchh guzar ga.e
duniya bas is se aur ziyaada nahin hai kuchh
kuchh roz hain guzarne aur kuchh guzar gae
charchā hamārā ishq ne kyuuñ jā-ba-jā kiyā
dil us ko de diyā to bhalā kyā burā kiyā
charcha hamara ishq ne kyun ja-ba-ja kiya
dil us ko de diya to bhala kya bura kiya
ruḳhsār par hai rañg-e-hayā kā faroġh aaj
bose kā naam maiñ ne liyā vo nikhar ga.e
ruKHsar par hai rang-e-haya ka farogh aaj
bose ka nam main ne liya wo nikhar gae
vo sar hī kyā ki jis meñ tumhārā na ho ḳhayāl
vo dil hī kyā ki jis meñ tumhārā guzar na ho
wo sar hi kya ki jis mein tumhaara na ho KHayal
wo dil hi kya ki jis mein tumhaara guzar na ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mai na ho bū hī sahī kuchh to ho rindoñ ke liye
isī hiile se bujhegī havas-e-jām-e-sharāb
mai na ho bu hi sahi kuchh to ho rindon ke liye
isi hile se bujhegi hawas-e-jam-e-sharab
bhalā tū aur ghar aa.e mire kyūñ-kar yaqīñ kar luuñ
taḳhayyul kyuuñ na ho merā tirī āvāz-e-pā kyuuñ ho
bhala tu aur ghar aae mere kyun-kar yaqin kar lun
taKHayyul kyun na ho mera teri aawaz-e-pa kyun ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ta.assub bar-taraf masjid ho yā ho kū-e-but-ḳhāna
rah-e-dildār par jaatā qadam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
tassub bar-taraf masjid ho ya ho ku-e-but-KHana
rah-e-dildar par jata qadam yun bhi hai aur yun bhi