Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ibrahim Ashk's Photo'

Ibrahim Ashk

1951 | Mumbai, India

Film Lyricist, famous for his lyrics in the film 'Kaho na pyar hai'

Film Lyricist, famous for his lyrics in the film 'Kaho na pyar hai'

Sher of Ibrahim Ashk

3.4K
Favorite

SORT BY

bikhre hue the log ḳhud apne vajūd meñ

insāñ zindagī ajab bandobast thā

bikhre hue the log KHud apne wajud mein

insan ki zindagi ka ajab bandobast tha

tirī zamīñ se uTheñge to āsmāñ hoñge

ham aise log zamāne meñ phir kahāñ hoñge

teri zamin se uThenge to aasman honge

hum aise log zamane mein phir kahan honge

ḳhud apne aap se lenā thā intiqām mujhe

maiñ apne haath ke patthar se sañgsār huā

KHud apne aap se lena tha intiqam mujhe

main apne hath ke patthar se sangsar hua

kareñ salām use to koī javāb na de

ilāhī itnā bhī us shaḳhs ko hijāb na de

karen salam use to koi jawab na de

ilahi itna bhi us shaKHs ko hijab na de

duniyā bahut qarīb se uTh kar chalī ga.ī

baiThā maiñ apne ghar meñ akelā rah gayā

duniya bahut qarib se uTh kar chali gai

baiTha main apne ghar mein akela hi rah gaya

chale ga.e to pukāregī har sadā ham ko

na jaane kitnī zabānoñ se ham bayāñ hoñge

chale gae to pukaregi har sada hum ko

na jaane kitni zabanon se hum bayan honge

zindagī vaadī o sahrā safar hai kyuuñ hai

itnī vīrān mirī rāh-guzar hai kyuuñ hai

zindagi wadi o sahra ka safar hai kyun hai

itni viran meri rah-guzar hai kyun hai

bas ek baar toḌā jahāñ ne ahd-e-vafā

kisī se ham ne phir ahd-e-vafā kiyā nahīñ

bas ek bar hi toDa jahan ne ahd-e-wafa

kisi se hum ne phir ahd-e-wafa kiya hi nahin

mujhe na dekho mire jism dhuāñ dekho

jalā hai kaise ye ābād makāñ dekho

mujhe na dekho mere jism ka dhuan dekho

jala hai kaise ye aabaad sa makan dekho

na dil meñ koī ġham rahe na merī aañkh nam rahe

har ek dard ko miTā sharāb sharāb de

na dil mein koi gham rahe na meri aankh nam rahe

har ek dard ko miTa sharab la sharab de

kis liye katrā ke jaatā hai musāfir dam to le

aaj sūkhā peḌ huuñ kal terā saayā maiñ thā

kis liye katra ke jata hai musafir dam to le

aaj sukha peD hun kal tera saya main hi tha

koī bharosa nahīñ abr ke barasne

baḌhegī pyaas shiddat na āsmāñ dekho

koi bharosa nahin abr ke barasne ka

baDhegi pyas ki shiddat na aasman dekho

zindagī apnī musalsal chāhatoñ ik safar

is safar meñ bār-hā mil kar bichhaḌ jaatā hai vo

zindagi apni musalsal chahaton ka ek safar

is safar mein bar-ha mil kar bichhaD jata hai wo

koī to hogā jis ko mirā intizār hai

kahtā hai dil ke shahr-e-tamannā meñ le ke chal

koi to hoga jis ko mera intizar hai

kahta hai dil ke shahr-e-tamanna mein le ke chal

nahīñ hai tum meñ salīqa jo ghar banāne

to 'ashk' jaao parindoñ ke āshiyāñ dekho

nahin hai tum mein saliqa jo ghar banane ka

to 'ashk' jao parindon ke aashiyan dekho

ye aur baat hai ki barhana thī zindagī

maujūd phir bhī mere badan par libās thā

ye aur baat hai ki barhana thi zindagi

maujud phir bhi mere badan par libas tha

thī hausle baat zamāne meñ zindagī

qadmoñ fāsla bhī yahāñ ek jast thā

thi hausle ki baat zamane mein zindagi

qadmon ka fasla bhi yahan ek jast tha

raat bhar tanhā rahā din bhar akelā maiñ thā

shahr ābādiyoñ meñ apne jaisā maiñ thā

TRANSLATION

Whole night I was alone, whole day too I was alone,

In the mileu of the city, the one like me was me alone.

Sagar Akbarabadi

raat bhar tanha raha din bhar akela main hi tha

shahr ki aabaadiyon mein apne jaisa main hi tha

TRANSLATION

Whole night I was alone, whole day too I was alone,

In the mileu of the city, the one like me was me alone.

Sagar Akbarabadi

mahfil-e-yārāñ meñ dīvānoñ aalam kuchh na pūchh

jaam hāthoñ meñ uThā.eñ to chhalaknā chāhiye

mahfil-e-yaran mein diwanon ka aalam kuchh na puchh

jam hathon mein uThaen to chhalakna chahiye

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now