Sher of Jitendra Mohan Sinha Rahbar
tū ne hī rah na dikhā.ī to dikhā.egā kaun
ham tirī raah meñ gumrāh hue baiThe haiñ
tu ne hi rah na dikhai to dikhaega kaun
hum teri rah mein gumrah hue baiThe hain
hai fahm us kā jo har insān ke dil kī zabāñ samjhe
suḳhan vo hai jise har shaḳhs apnā hī bayāñ samjhe
hai fahm us ka jo har insan ke dil ki zaban samjhe
suKHan wo hai jise har shaKHs apna hi bayan samjhe
mohabbat meñ nahīñ hai ibtidā yā intihā koī
ham apne ishq ko hī ishq kī manzil samajhte haiñ
mohabbat mein nahin hai ibtida ya intiha koi
hum apne ishq ko hi ishq ki manzil samajhte hain
āñkhoñ āñkhoñ meñ pilā dī mire saaqī ne mujhe
ḳhauf-e-zillat hai na andesha-e-rusvā.ī hai
aankhon aankhon mein pila di mere saqi ne mujhe
KHauf-e-zillat hai na andesha-e-ruswai hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
qudrat kī barkateñ haiñ ḳhazāna basant kā
kyā ḳhuub kyā ajiib zamāna basant kā
qudrat ki barkaten hain KHazana basant ka
kya KHub kya ajib zamana basant ka
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har shai meñ har bashar meñ nazar aa rahā hai tū
sajde meñ apne sar ko jhukā.ūñ kahāñ kahāñ
har shai mein har bashar mein nazar aa raha hai tu
sajde mein apne sar ko jhukaun kahan kahan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaisī kashish hai ishq ke TuuTe mazār meñ
mela lagā huā hai hamāre dayār meñ
kaisi kashish hai ishq ke TuTe mazar mein
mela laga hua hai hamare dayar mein
chhupe haiñ saat pardoñ meñ ye sab kahne kī bāteñ haiñ
unheñ merī nigāhoñ ne jahāñ DhūñDā vahāñ nikle
chhupe hain sat pardon mein ye sab kahne ki baaten hain
unhen meri nigahon ne jahan DhunDa wahan nikle
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mohabbat sī shai us ne mujh ko atā kī
ki ḳhush ḳhush chalūñ umr barbād kar ke
mohabbat si shai us ne mujh ko ata ki
ki KHush KHush chalun umr barbaad kar ke
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham rū-ba-rū-e-sham.a haiñ is intizār meñ
kuchh jaañ paroñ meñ aa.e to uḌ kar nisār hoñ
hum ru-ba-ru-e-shama hain is intizar mein
kuchh jaan paron mein aae to uD kar nisar hon
suḳhan-sāzī meñ lāzim hai kamāl-e-ilm-o-fan honā
mahz tuk-bandiyoñ se koī shā.er ho nahīñ saktā
suKHan-sazi mein lazim hai kamal-e-ilm-o-fan hona
mahz tuk-bandiyon se koi shaer ho nahin sakta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
farishta har bashar ko har zamīñ ko āsmāñ samjhe
ki ham to ishq meñ duniyā ko hī jannat-nishāñ samjhe
farishta har bashar ko har zamin ko aasman samjhe
ki hum to ishq mein duniya ko hi jannat-nishan samjhe
dozaḳh se bhī ḳharāb kahūñ maiñ bahisht ko
do-chār agar vahāñ pe bhī sarmāya-dār hoñ
dozaKH se bhi KHarab kahun main bahisht ko
do-chaar agar wahan pe bhi sarmaya-dar hon
zamāna ye aa gayā hai 'rahbar' ki ahl-e-bīnash ko kaun pūchhe
jame haiñ makkār kursiyoñ par dikhā rahe haiñ gañvār āñkheñ
zamana ye aa gaya hai 'rahbar' ki ahl-e-binash ko kaun puchhe
jame hain makkar kursiyon par dikha rahe hain ganwar aankhen
dil us kā jigar us kā hai jaañ us kī ham us ke
kis baat se inkār kiyā jaa.e kisī ko
dil us ka jigar us ka hai jaan us ki hum us ke
kis baat se inkar kiya jae kisi ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil ko bahut aziiz hai aanā basant kā
'rahbar' kī zindagī meñ samānā basant kā
dil ko bahut aziz hai aana basant ka
'rahbar' ki zindagi mein samana basant ka
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aayā unheñ pasand to un kā hī ho gayā
kam thā hamāre dil se hamārā kalām kyā
aaya unhen pasand to un ka hi ho gaya
kam tha hamare dil se hamara kalam kya
ek aañsū bhī agar ro de to jānūñ tujh ko
merī taqdīr mujhe dekh kar hañstī kyā hai
ek aansu bhi agar ro de to jaanun tujh ko
meri taqdir mujhe dekh kar hansti kya hai
phir vahī saudā vahī vahshat vahī tarz-e-jūn.un
haiñ nishāñ maujūd saare ishq kī tāsīr ke
phir wahi sauda wahi wahshat wahi tarz-e-junun
hain nishan maujud sare ishq ki tasir ke
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mahv-e-dīdār hue jaate haiñ rah-rau saare
ik tamāsha huā goyā ruḳh-e-dilbar na huā
mahw-e-didar hue jate hain rah-rau sare
ek tamasha hua goya ruKH-e-dilbar na hua
khiñchte jaate haiñ ḳhud mirī jānib
mujh ko jyuuñ jyuuñ vo āzmāte haiñ
khinchte jate hain KHud meri jaanib
mujh ko jyun jyun wo aazmate hain
tasvīr-e-rū-e-yār dikhānā basant kā
aTkheliyoñ se dil ko lubhānā basant kā
taswir-e-ru-e-yar dikhana basant ka
aTkheliyon se dil ko lubhana basant ka
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
paiġhām-e-lutf-e-ḳhās sunānā basant kā
dariyā-e-faiz-e-ām bahānā basant kā
paigham-e-lutf-e-KHas sunana basant ka
dariya-e-faiz-e-am bahana basant ka
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tañg paimā.ī kā shikva sāqī-e-azalī se kiyā
ham ne samjhā hī nahīñ dastūr-e-mai-ḳhāna abhī
tang paimai ka shikwa saqi-e-azali se kiya
hum ne samjha hi nahin dastur-e-mai-KHana abhi
rashk-e-jināñ chaman ko banānā basant kā
har har kalī meñ rañg dikhānā basant kā
rashk-e-jinan chaman ko banana basant ka
har har kali mein rang dikhana basant ka
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har samt sabza-zār bichhānā basant kā
phūloñ meñ rañg-o-bū ko luTānā basant kā
har samt sabza-zar bichhana basant ka
phulon mein rang-o-bu ko luTana basant ka
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vahī sifteñ jo batlātā hai tū vaa.iz sab us meñ haiñ
diyā hai jis ko dil ham ne vahī terā ḳhudā hogā
wahi siften jo batlata hai tu waiz sab us mein hain
diya hai jis ko dil hum ne wahi tera KHuda hoga