Sher of Jyoti Azad Khatri
maiñ sāmne huuñ abhī guftugū karo mujh se
ki baad meñ mirī tasvīr dekhte rahnā
main samne hun abhi guftugu karo mujh se
ki baad mein meri taswir dekhte rahna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apnī palkeñ jhukā rahī huuñ maiñ
koī aañsū bachā rahī huuñ maiñ
apni palken jhuka rahi hun main
koi aansu bacha rahi hun main
us se bāteñ to bahut karnī thiiñ par soch liyā
us kī har baat pe kahnā hai koī baat nahīñ
us se baaten to bahut karni thin par soch liya
us ki har baat pe kahna hai koi baat nahin
sach pūchho to ham ko hamārī
āñkhoñ ne barbād kiyā hai
sach puchho to hum ko hamari
aankhon ne barbaad kiya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sach pūchho to ham ko hamārī
āñkhoñ ne barbād kiyā hai
sach puchho to hum ko hamari
aankhon ne barbaad kiya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham ne ashk bahā.e kab haiñ
paanī ko āzād kiyā hai
hum ne ashk bahae kab hain
pani ko aazad kiya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhudā kā shukr hai is rābte par
use manzil mujhe rasta banāyā
KHuda ka shukr hai is rabte par
use manzil mujhe rasta banaya
pahle us ko yaad kiyā hai
phir aañsū ījād kiyā hai
pahle us ko yaad kiya hai
phir aansu ijad kiya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maan letī maiñ kahā us kā magar
vo guzārish kar rahā hai zid nahīñ
man leti main kaha us ka magar
wo guzarish kar raha hai zid nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tamām raat maiñ ḳhud se savāl kartī rahī
jise chhuā ho haqīqat meñ ḳhvāb kaise huā
tamam raat main KHud se sawal karti rahi
jise chhua ho haqiqat mein KHwab kaise hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ ne asrār aziyyat meñ hī khulte dekhe
baat chhoTī hai magar sab ko batā dī jaa.e
main ne asrar aziyyat mein hi khulte dekhe
baat chhoTi hai magar sab ko bata di jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aisā vaisā koī na samjhe mujhe
'mīr' 'ġhālib' kī shā.erī huuñ maiñ
aisa waisa koi na samjhe mujhe
'mir' 'ghaalib' ki shaeri hun main
-
Tag : Meer Taqi Meer
maiñ apnī āñkhoñ se duniyā ko jiit lā.ūñgī
tū mere paañv kī zanjīr dekhte rahnā
main apni aankhon se duniya ko jit laungi
tu mere panw ki zanjir dekhte rahna
tujh ko dekhūñ to yahī sochtī huuñ maiñ aksar
dekh hairāñ mujhe hairān koī aur na ho
tujh ko dekhun to yahi sochti hun main aksar
dekh hairan mujhe hairan koi aur na ho
jis ke chehre pe maiñ martī huuñ sitam to ye hai
us kī tasvīr hī album meñ mire saath nahīñ
jis ke chehre pe main marti hun sitam to ye hai
us ki taswir hi album mein mere sath nahin
mauj dariyā kī jise chhūtī na ho
us kināre se kinārā kar rahe haiñ
mauj dariya ki jise chhuti na ho
us kinare se kinara kar rahe hain
yūñhī thoḌī vo mil gayā mujh ko
muddatoñ lāpatā rahī huuñ maiñ
yunhi thoDi wo mil gaya mujh ko
muddaton lapata rahi hun main
kabhī dariyā kabhī sahrā banāyā
kisī ke ishq ne kyā kyā banāyā
kabhi dariya kabhi sahra banaya
kisi ke ishq ne kya kya banaya
kitne chehre haiñ musavvir ke tasavvur meñ nihāñ
par vo tasvīr banātā hai mujhe sirf mujhe
kitne chehre hain musawwir ke tasawwur mein nihan
par wo taswir banata hai mujhe sirf mujhe
dastūr hī alag hai tirī bazm-e-nāz kā
ilzām de ke kah diyā ilzām hī to hai
dastur hi alag hai teri bazm-e-naz ka
ilzam de ke kah diya ilzam hi to hai
usī ke chehre pe āñkheñ hamārī rah jaa.eñ
kisī ko itnā bhī kyā dekhnā zarūrī hai
usi ke chehre pe aankhen hamari rah jaen
kisi ko itna bhi kya dekhna zaruri hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sāmne aa.e binā us se muḳhātab rahnā
ek jaadū hai jo aatā hai mujhe sirf mujhe
samne aae bina us se muKHatab rahna
ek jadu hai jo aata hai mujhe sirf mujhe