Sher of Mahshar Lakhnavi
balā.eñ le rahā huuñ is zamīñ ke zarre zarre kī
luTā thā jis jagah rāh-e-vafā meñ kārvāñ merā
balaen le raha hun is zamin ke zarre zarre ki
luTa tha jis jagah rah-e-wafa mein karwan mera
shikva-e-hijr-e-yār kaun kare
husn ko sharmsār kaun kare
shikwa-e-hijr-e-yar kaun kare
husn ko sharmsar kaun kare
de ke sāġhar mujhe kis lutf se saaqī ne kahā
dekhte jaao abhī ham tumheñ kyā dete haiñ
de ke saghar mujhe kis lutf se saqi ne kaha
dekhte jao abhi hum tumhein kya dete hain
sādgī kī intihā kar dī javānān chaman
umr bhar rañg mizāj bāġhbāñ dekhā kiye
sadgi ki intiha kar di jawanan chaman
umr bhar rang mizaj baghban dekha kiye
vufūr-e-shauq meñ ik ik qadam merā qayāmat thā
ḳhudā ma.alūm kyūñ-kar jalva-zār-e-husn tak pahuñchā
wufur-e-shauq mein ek ek qadam mera qayamat tha
KHuda malum kyun-kar jalwa-zar-e-husn tak pahuncha