Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Majid Deobandi's Photo'

Majid Deobandi

1964 | Delhi, India

Sher of Majid Deobandi

afsos jin ke dam se har ik haiñ nafrateñ

ham ne ta.alluqāt unhīñ se baḌhā liye

afsos jin ke dam se har ek su hain nafraten

hum ne talluqat unhin se baDha liye

yaad rakkho ik na ik din saañp bāhar ā.eñge

āstīnoñ meñ unheñ kab tak chhupāyā jā.egā

yaad rakkho ek na ek din sanp bahar aaenge

aastinon mein unhen kab tak chhupaya jaega

jis ko chāheñ be-izzat kar sakte haiñ

aap baḌe haiñ aap ko ye āsānī hai

jis ko chahen be-izzat kar sakte hain

aap baDe hain aap ko ye aasani hai

phir tumhāre paañv chhūne ḳhud bulandī aa.egī

sab diloñ par raaj kar ke tāj-dārī siikh lo

phir tumhaare panw chhune KHud bulandi aaegi

sab dilon par raj kar ke taj-dari sikh lo

in āñsuoñ hifāzat bahut zarūrī hai

añdherī raat meñ jugnū bhī kaam aate haiñ

in aansuon ki hifazat bahut zaruri hai

andheri raat mein jugnu bhi kaam aate hain

merī āñkheñ kuchh soī rahtī haiñ

shāyad in ḳhvāb-nagar se rishta hai

meri aankhen kuchh soi si rahti hain

shayad in ka KHwab-nagar se rishta hai

maiñ jab bhī tajziya kartā huuñ terā ai duniyā

is ā.īñe meñ tujhe bad-chalan paatā huuñ

main jab bhi tajziya karta hun tera ai duniya

is aaine mein tujhe bad-chalan si pata hun

ḳhizāñ zikr to merī zabāñ pe thā nahīñ

bahār kartī hai mātam tire havāle se

KHizan ka zikr to meri zaban pe tha hi nahin

bahaar karti hai matam tere hawale se

Recitation

Speak Now