Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mardan Ali Khan Rana's Photo'

Mardan Ali Khan Rana

- 1879

Sher of Mardan Ali Khan Rana

1.8K
Favorite

SORT BY

ḳhaak bhī lutf-e-zindagī na rahā

aarzū meñ ho vo na rahā

KHak bhi lutf-e-zindagi na raha

aarzu ji mein ho wo ji na raha

paḌā huuñ maiñ yahāñ aur dil vahīñ hai

ilāhī maiñ kahīñ huuñ vo kahīñ hai

paDa hun main yahan aur dil wahin hai

ilahi main kahin hun wo kahin hai

khīñchā hai aks qalb photograph meñ

shīshe meñ hai shabīh parī koh-e-qāf meñ

khincha hai aks qalb ki photograph mein

shishe mein hai shabih pari koh-e-qaf mein

huā yaqīñ ki zamīñ par hai aaj chāñd-gahan

vo maah chehre pe jab Daal kar naqāb aayā

hua yaqin ki zamin par hai aaj chand-gahan

wo mah chehre pe jab Dal kar naqab aaya

nā-umīd ahl-e-ḳharābāt nahīñ rahmat se

baḳhsh degā vo karīm apne gunāhgāroñ ko

na-umid ahl-e-KHarabaat nahin rahmat se

baKHsh dega wo karim apne gunahgaron ko

ashk-e-hasrat dīda-e-dil se haiñ jaarī in dinoñ

kār-e-tūfāñ kar rahī hai ashk-bārī in dinoñ

ashk-e-hasrat dida-e-dil se hain jari in dinon

kar-e-tufan kar rahi hai ashk-bari in dinon

tum ho mujh se hazār mustaġhnī

dil nahīñ merā yaar mustaġhnī

tum ho mujh se hazar mustaghni

dil nahin mera yar mustaghni

kyūñkar baḌhā.ūñ rabt na darbān-e-yār se

āḳhir koī to milne tadbīr chāhiye

kyunkar baDhaun rabt na darban-e-yar se

aaKHir koi to milne ki tadbir chahiye

badan meñ zaḳhm nahīñ baddhiyāñ haiñ phūloñ

ham apne dil meñ isī ko bahār jānte haiñ

badan mein zaKHm nahin baddhiyan hain phulon ki

hum apne dil mein isi ko bahaar jaante hain

rasm ulTī hai ḳhūb-rūyoñ

dost jis ke bano vo dushman hai

rasm ulTi hai KHub-ruyon ki

dost jis ke bano wo dushman hai

jo chiiz hai jahān meñ vo be-misāl hai

har fard-e-ḳhalq vahdat-e-haq par dalīl hai

jo chiz hai jahan mein wo be-misal hai

har fard-e-KHalq wahdat-e-haq par dalil hai

uThāyā us ne biiḌā qatl kuchh dil meñ Thānā hai

chabānā paan bhī ḳhuuñ bahāne bahāna hai

uThaya us ne biDa qatl ka kuchh dil mein Thana hai

chabana pan ka bhi KHun bahane ka bahana hai

hāthoñ meñ nāzukī se sambhaltī nahīñ jo teġh

hai is meñ kyā gunāh tere jāñ-nisār

hathon mein nazuki se sambhalti nahin jo tegh

hai is mein kya gunah tere jaan-nisar ka

riyā se na shaiḳh ne tauba

mar gayā vo gunāhgār afsos

ki riya se na shaiKH ne tauba

mar gaya wo gunahgar afsos

dil ko lagā.ūñ aur se maiñ tum ko chhoḌ duuñ

fiqra hai ye raqīb aur jhūTh baat hai

dil ko lagaun aur se main tum ko chhoD dun

fiqra hai ye raqib ka aur jhuTh baat hai

rāh-e-ulfat meñ mulāqāt huī kis kis se

dasht meñ qais milā koh meñ farhād mujhe

rah-e-ulfat mein mulaqat hui kis kis se

dasht mein qais mila koh mein farhad mujhe

tum ko dīvāne agar ham se hazāroñ haiñ to ḳhair

ham bhī kar leñge koī tum parī-rū paidā

tum ko diwane agar hum se hazaron hain to KHair

hum bhi kar lenge koi tum sa pari-ru paida

hijr-e-jānāñ meñ se jaanā hai

bas yahī maut bahāna hai

hijr-e-jaanan mein ji se jaana hai

bas yahi maut ka bahana hai

tere aate dekh rāhat-e-jāñ

chain hai sabr hai qarār hai aaj

tere aate hi dekh rahat-e-jaan

chain hai sabr hai qarar hai aaj

na pūchho ham-safaro mujh se mājrā-e-vatan

vatan hai mujh pe fidā aur maiñ fidā-e-vatan

na puchho ham-safaro mujh se majra-e-watan

watan hai mujh pe fida aur main fida-e-watan

duniyā meñ koī ishq se bad-tar nahīñ hai chiiz

dil apnā muft dījiye phir se jā.iye

duniya mein koi ishq se bad-tar nahin hai chiz

dil apna muft dijiye phir ji se jaiye

rail par yaar aa.egā shāyad

muzhda-e-vasl aaj taar meñ hai

rail par yar aaega shayad

muzhda-e-wasl aaj tar mein hai

har dam dam-e-āḳhir hai ajal sar pe khaḌī hai

dam-bhar bhī ham is dam bharosa nahīñ karte

har dam dam-e-aKHir hai ajal sar pe khaDi hai

dam-bhar bhi hum is dam ka bharosa nahin karte

ye raqīboñ hai suḳhan-sāzī

be-vafā aap hoñ ḳhudā na kare

ye raqibon ki hai suKHan-sazi

be-wafa aap hon KHuda na kare

kahnā qāsid ki us ke jiine

va.ada-e-vasl par madār hai aaj

kahna qasid ki us ke jine ka

wada-e-wasl par madar hai aaj

diyā vo jo na thā vahm-o-gumāñ meñ

bhalā maiñ aur kyā māñgūñ ḳhudā se

diya wo jo na tha wahm-o-guman mein

bhala main aur kya mangun KHuda se

kho gayā kū-e-dilrubā meñ 'nizām'

log kahte haiñ mārvāḌ meñ hai

kho gaya ku-e-dilruba mein 'nizam'

log kahte hain marwaD mein hai

jis ko dekho vo nuur buq.a

ye paristān hai ki london hai

jis ko dekho wo nur ka buqa

ye paristan hai ki london hai

har-dam ye duā māñgte rahte haiñ ḳhudā se

allāh bachā.e shab-e-furqat balā se

har-dam ye dua mangte rahte hain KHuda se

allah bachae shab-e-furqat ki bala se

ho ġharīboñ chaak ḳhaak rafū

taar haath aa.e jab na dāman se

ho gharibon ka chaak KHak rafu

tar hath aae jab na daman se

harjā.iyoñ ke ishq ne kyā kyā kiyā zalīl

rusvā rahe ḳharāb rahe dar-ba-dar rahe

harjaiyon ke ishq ne kya kya kiya zalil

ruswa rahe KHarab rahe dar-ba-dar rahe

badan par baar hai phūloñ saaya

mirā mahbūb aisā nāznīñ hai

badan par bar hai phulon ka saya

mera mahbub aisa naznin hai

na aa.ī baat tak bhī muñh pe ro.ab-e-husn-e-jānāñ se

hazāroñ soch kar mazmūn ham darbār meñ aa.e

na aai baat tak bhi munh pe roab-e-husn-e-jaanan se

hazaron soch kar mazmun hum darbar mein aae

maiñ shauq-e-vasl meñ kyā rail par shitāb aayā

ki sub.h hind meñ thā shaam pañj-āb aayā

main shauq-e-wasl mein kya rail par shitab aaya

ki subh hind mein tha sham panj-ab aaya

ḳhudā bahr-e-istiqbāl jald ai jaan bāhar aa

ayādat ko mirī jān-e-jahāñ tashrīf laate haiñ

KHuda ra bahr-e-istiqbaal jald ai jaan bahar aa

ayaadat ko meri jaan-e-jahan tashrif late hain

laboñ pe jaan hai ik dam aur mehmāñ hai

marīz-e-ishq-o-mohabbat tere haal ye hai

labon pe jaan hai ek dam ka aur mehman hai

mariz-e-ishq-o-mohabbat ka tere haal ye hai

abrū āñchal meñ dupaTTe ke chhupānā hai bajā

turk kyā myaan meñ rakhte nahīñ talvāroñ ko

abru aanchal mein dupaTTe ke chhupana hai baja

turk kya myan mein rakhte nahin talwaron ko

na niklī hasrat-e-dil ek bhī hazār afsos

adam se aa.e the kyā kyā ham aarzū karte

na nikli hasrat-e-dil ek bhi hazar afsos

adam se aae the kya kya hum aarzu karte

ḳhuub jiine mazā paate haiñ ham

ḳhūn-e-dil piite haiñ ġham khāte haiñ ham

KHub jine ka maza pate hain hum

KHun-e-dil pite hain gham khate hain hum

dard-e-sar hai terī sab pand-o-nasīhat nāseh

chhoḌ de mujh ko ḳhudā par na kar ab sar ḳhālī

dard-e-sar hai teri sab pand-o-nasihat naseh

chhoD de mujh ko KHuda par na kar ab sar KHali

āḳhir huā hai hashr bapā intizār meñ

sub.h-e-shab-e-firāq huī mārvāḌ meñ

aaKHir hua hai hashr bapa intizar mein

subh-e-shab-e-firaq hui marwaD mein

hamāre marg pe shādī abas aġhyār karte haiñ

jahāñ se rafta-rafta ek din un ko bhī jaanā hai

hamare marg pe shadi abas aghyar karte hain

jahan se rafta-rafta ek din un ko bhi jaana hai

le qazā ehsān tujh par kar chale

ham tire aane se pahle mar chale

le qaza ehsan tujh par kar chale

hum tere aane se pahle mar chale

jis ko sab kahte haiñ samundar hai

qatra-e-ashk-e-dīda-e-tar hai

jis ko sab kahte hain samundar hai

qatra-e-ashk-e-dida-e-tar hai

kaTā thā roz-e-musībat ḳhudā ḳhudā kar ke

ye raat aa.ī ki sar pe mire azaab aayā

kaTa tha roz-e-musibat KHuda KHuda kar ke

ye raat aai ki sar pe mere azab aaya

ġham sivā ishq ma.aal nahīñ

kaun dil hai jo pā.emāl nahīñ

gham siwa ishq ka maal nahin

kaun dil hai jo paemal nahin

pyaar bāteñ kījiye sāhab

lutf sohbat guftugū se hai

pyar ki baaten kijiye sahab

lutf sohbat ka guftugu se hai

furqat raat vasl shab maza milā

pahroñ ḳhayāl-e-yār se bāteñ kiyā kiye

furqat ki raat wasl ki shab ka maza mila

pahron KHayal-e-yar se baaten kiya kiye

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now