Sher of Matin Niazi
zindagī kī bhī yaqīnan koī manzil hogī
ye safar hī kī tarah ek safar hai ki nahīñ
zindagi ki bhi yaqinan koi manzil hogi
ye safar hi ki tarah ek safar hai ki nahin
aise kho.e sahar ke dīvāne
lauT kar shaam tak na ghar aa.e
aise khoe sahar ke diwane
lauT kar sham tak na ghar aae
ġham-e-insāñ ko siine se lagā lo
ye ḳhidmat bandagī se kam nahīñ hai
gham-e-insan ko sine se laga lo
ye KHidmat bandagi se kam nahin hai
tūfāñ se bach ke Duubī hai kashtī kahāñ na pūchh
sāhil bhī e'tibār ke qābil nahīñ rahā
tufan se bach ke Dubi hai kashti kahan na puchh
sahil bhi e'tibar ke qabil nahin raha
aap se yaad aap kī achchhī
aap to ham ko bhuul jaate haiñ
aap se yaad aap ki achchhi
aap to hum ko bhul jate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yahī aa.ina hai vo ā.īna jo liye hai jalva-e-āgahī
ye jo shā.erī kā shu.ūr hai ye payambarī kī talāsh hai
yahi aaina hai wo aaina jo liye hai jalwa-e-agahi
ye jo shaeri ka shuur hai ye payambari ki talash hai
-
Tag : Aagahi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
anāsir kī koī tartīb qaa.em rah nahīñ saktī
taġhayyur ġhair-fānī hai taġhayyur jāvedānī hai
anasir ki koi tartib qaem rah nahin sakti
taghayyur ghair-fani hai taghayyur jawedani hai
husn kī be-ruḳhī ko ahl-e-nazar
hāsil-e-iltifāt kahte haiñ
husn ki be-ruKHi ko ahl-e-nazar
hasil-e-iltifat kahte hain
ātish-e-gul koī chiñgārī nahīñ sho.ala nahīñ
phuul khilte haiñ to gulshan mirā jaltā kyuuñ hai
aatish-e-gul koi chingari nahin shoala nahin
phul khilte hain to gulshan mera jalta kyun hai
ḳhudā mahfūz rakkhe intishār-e-rahnumā.ī se
isī manzil pe aa ke aadmī dīvāna hotā hai
KHuda mahfuz rakkhe intishaar-e-rahnumai se
isi manzil pe aa ke aadmi diwana hota hai
bachchoñ kā sā mizāj hai taḳhlīq-kār kā
apne sivā kisī ko baḌā māntā nahīñ
bachchon ka sa mizaj hai taKHliq-kar ka
apne siwa kisi ko baDa manta nahin
agar duniyā tujhe dīvāna kahtī hai to kahne de
vafādārān-e-ulfat par yahī ilzām aatā hai
agar duniya tujhe diwana kahti hai to kahne de
wafadaran-e-ulfat par yahi ilzam aata hai
aadmī aur dard se nā-āshnā mumkin nahīñ
aks se ḳhālī ho koī ā.īna mumkin nahīñ
aadmi aur dard se na-ashna mumkin nahin
aks se KHali ho koi aaina mumkin nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aa.e the be-niyāz tirī bārgāh meñ
jaate haiñ ik hujūm-e-tamannā liye hue
aae the be-niyaz teri bargah mein
jate hain ek hujum-e-tamanna liye hue
rumūz-e-ishq-o-mohabbat se āshnā huuñ maiñ
kisī ko ġham-zada dekhā to ro diyā huuñ maiñ
rumuz-e-ishq-o-mohabbat se aashna hun main
kisi ko gham-zada dekha to ro diya hun main
ye zindagī jise apnā samajh rahe haiñ sab
hai musta.ār faqat raunaq-e-jahāñ ke liye
ye zindagi jise apna samajh rahe hain sab
hai mustaar faqat raunaq-e-jahan ke liye
ġham kī tashrīh hañsī-khel nahīñ hai koī
pahle insān tū bin phir ye hunar paidā kar
gham ki tashrih hansi-khel nahin hai koi
pahle insan tu bin phir ye hunar paida kar
gulshan ke parastāro tum ko to patā hogā
vo kaun haiñ āḳhir jo kaliyoñ ko masalte haiñ
gulshan ke parastaro tum ko to pata hoga
wo kaun hain aaKHir jo kaliyon ko masalte hain
tirī samajh meñ na aa sakegī kisī ke ashkoñ kī qadr-o-qīmat
abhī hai nā-āshnā-e-ġham tū abhī tirā dil dukhā nahīñ hai
teri samajh mein na aa sakegi kisi ke ashkon ki qadr-o-qimat
abhi hai na-ashna-e-gham tu abhi tera dil dukha nahin hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ho na jab tak 'matīn' kaif-e-ġham
aadmī ko ḳhudā nahīñ miltā
ho na jab tak 'matin' kaif-e-gham
aadmi ko KHuda nahin milta
'matīn' un kā karam vāqa.ī karam hai to phir
ye be-ruḳhī ye taġhāful ye barhamī kyā hai
'matin' un ka karam waqai karam hai to phir
ye be-ruKHi ye taghaful ye barhami kya hai
ġham-e-ma.āl ġham-e-zindagī ġham-e-daurāñ
hamāre ishq kā charchā kahāñ kahāñ na rahā
gham-e-maal gham-e-zindagi gham-e-dauran
hamare ishq ka charcha kahan kahan na raha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham to āshufta-sarī se na sañvarne paa.e
aap se kyuuñ na sañvārā gayā gesū apnā
hum to aashufta-sari se na sanwarne pae
aap se kyun na sanwara gaya gesu apna
kabhī kabhī to mohabbat kī zindagī ke liye
ḳhud un ko ham ne ubhārā hai barhamī ke liye
kabhi kabhi to mohabbat ki zindagi ke liye
KHud un ko hum ne ubhaara hai barhami ke liye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gumrahī rahh-numā.ī ke muqābil aa.ī
vaqt ne dekhiye dīvār pe likkhā kyā hai
gumrahi rahh-numai ke muqabil aai
waqt ne dekhiye diwar pe likkha kya hai
fazā meñ guuñj rahī haiñ kahāniyāñ ġham kī
hamīñ ko hausla-e-sharh-e-dāstāñ na rahā
faza mein gunj rahi hain kahaniyan gham ki
hamin ko hausla-e-sharh-e-dastan na raha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham kā.enāt-e-sidq ko sāñche meñ Dhaal kar
doshīza-e-zabāñ kī virāsat meñ laa.e haiñ
hum kaenat-e-sidq ko sanche mein Dhaal kar
doshiza-e-zaban ki wirasat mein lae hain