Sher of Meer Mehdi Majrooh
churā ke muTThī meñ dil ko chhupā.e baiThe haiñ
bahānā ye hai ki mehñdī lagā.e baiThe haiñ
my stolen heart in your palm you hide
with the excuse its henna you've applied
chura ke muTThi mein dil ko chhupae baiThe hain
bahana ye hai ki mehndi lagae baiThe hain
my stolen heart in your palm you hide
with the excuse its henna you've applied
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
kuchh arz-e-tamannā meñ shikva na sitam kā thā
maiñ ne to kahā kyā thā aur aap ne kyā jaanā
kuchh arz-e-tamanna mein shikwa na sitam ka tha
main ne to kaha kya tha aur aap ne kya jaana
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jaan insāñ kī lene vāloñ meñ
ek hai maut dūsrā hai ishq
jaan insan ki lene walon mein
ek hai maut dusra hai ishq
kyā hamārī namāz kyā roza
baḳhsh dene ke sau bahāne haiñ
kya hamari namaz kya roza
baKHsh dene ke sau bahane hain
ġhairoñ ko bhalā samjhe aur mujh ko burā jaanā
samjhe bhī to kyā samjhe jaanā bhī to kyā jaanā
ghairon ko bhala samjhe aur mujh ko bura jaana
samjhe bhi to kya samjhe jaana bhi to kya jaana
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shaġhl-e-ulfat ko jo ahbāb burā kahte haiñ
kuchh samajh meñ nahīñ aatā ki ye kyā kahte haiñ
shaghl-e-ulfat ko jo ahbab bura kahte hain
kuchh samajh mein nahin aata ki ye kya kahte hain
itnā mardūd huuñ ki Dar hai mujhe
qabr se pheñk de zamīñ na kahīñ
itna mardud hun ki Dar hai mujhe
qabr se phenk de zamin na kahin
ye jo chupke se aa.e baiThe haiñ
laakh fitne uThā.e baiThe haiñ
ye jo chupke se aae baiThe hain
lakh fitne uThae baiThe hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apnī kashtī kā hai ḳhudā hāfiz
pīchhe tūfāñ hai sāmne girdāb
apni kashti ka hai KHuda hafiz
pichhe tufan hai samne girdab
kisī se ishq apnā kyā chhupā.eñ
mohabbat Tapkī paḌtī hai nazar se
kisi se ishq apna kya chhupaen
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
abr kī tīrgī meñ ham ko to
sūjhtā kuchh nahīñ sivā.e sharāb
abr ki tirgi mein hum ko to
sujhta kuchh nahin siwae sharab
-
Tag : Abr
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyuuñ paas mire aa kar yuuñ baiThe ho muñh phere
kyā lab tire misrī haiñ maiñ jin ko chabā jaatā
kyun pas mere aa kar yun baiThe ho munh phere
kya lab tere misri hain main jin ko chaba jata
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raal Tapkegī shaiḳh-sāhib kī
na dikhāo sharāb kī sūrat
ral Tapkegi shaiKH-sahib ki
na dikhao sharab ki surat
sahal ho garche adū ko magar us kā milnā
itnā maiñ ḳhuub samajhtā huuñ ki āsāñ to nahīñ
sahal ho garche adu ko magar us ka milna
itna main KHub samajhta hun ki aasan to nahin
na us ke lab ko faqat laal kah ke ḳhatm karo
abhī to us meñ bahut sī hai guftugū baaqī
na us ke lab ko faqat lal kah ke KHatm karo
abhi to us mein bahut si hai guftugu baqi
aa hī kuudā thā dair meñ vaa.iz
ham ne Taalā ḳhudā ḳhudā kar ke
aa hi kuda tha dair mein waiz
hum ne Tala KHuda KHuda kar ke
tumheñ gar ḳhush-zabāñ honā hai sāhab
to lo muñh meñ zarā merī zabāñ ko
tumhein gar KHush-zaban hona hai sahab
to lo munh mein zara meri zaban ko
vo mere ghar ke sāmne se jaa.eñ is tarah
ai ham-nashīñ raqīb kā ghar to udhar nahīñ
wo mere ghar ke samne se jaen is tarah
ai ham-nashin raqib ka ghar to udhar nahin
hazāroñ ghar hue haiñ is se vīrāñ
rahe ābād sarkār-e-mohabbat
hazaron ghar hue hain is se viran
rahe aabaad sarkar-e-mohabbat
jaan dene ke sivā aur bhī tadbīr karūñ
varna ye baat to ham us se sadā kahte haiñ
jaan dene ke siwa aur bhi tadbir karun
warna ye baat to hum us se sada kahte hain
shauq se shauq hai kuchh manzil kā
rāhbar se bhī baḌhe jaate haiñ
shauq se shauq hai kuchh manzil ka
rahbar se bhi baDhe jate hain
ye kyā ki hamīñ marte raheñ lutf to jab hai
tāsīr-e-mohabbat jo idhar ho to udhar bhī
ye kya ki hamin marte rahen lutf to jab hai
tasir-e-mohabbat jo idhar ho to udhar bhi
aamad aamad ḳhizāñ kī hai shāyad
gul shagufta huā chaman meñ hai
aamad aamad KHizan ki hai shayad
gul shagufta hua chaman mein hai
tūfān-e-jahl ne mirā jauhar miTā diyā
maiñ ik kitāb ḳhuub huuñ par āb-dīda huuñ
tufan-e-jahl ne mera jauhar miTa diya
main ek kitab KHub hun par aab-dida hun
-
Tag : Aab Deedah
ab raqīb-e-bul-havas haiñ ishq-bāz
dil lagāne se bhī nafrat ho ga.ī
ab raqib-e-bul-hawas hain ishq-baz
dil lagane se bhi nafrat ho gai
na.e fitne jo uThte haiñ jahāñ meñ
salāheñ sab ye lete haiñ tumhīñ se
nae fitne jo uThte hain jahan mein
salahen sab ye lete hain tumhin se
na to sayyād kā khaTkā na ḳhizāñ kā dhaḌkā
ham ko vo chain qafas meñ hai ki bustāñ meñ nahīñ
na to sayyaad ka khaTka na KHizan ka dhaDka
hum ko wo chain qafas mein hai ki bustan mein nahin
tarashshoh haañ kare jis kī nahīñ par
mirī sau jaañ tasadduq us nahīñ par
tarashshoh han kare jis ki nahin par
meri sau jaan tasadduq us nahin par
kyuuñ merī būd-o-bāsh kī pursish hai har ghaḌī
tum to kaho ki rahte ho do do pahar kahāñ
kyun meri bud-o-bash ki pursish hai har ghaDi
tum to kaho ki rahte ho do do pahar kahan
tālib-e-dost alag rahte haiñ sab se un ko
pās-e-asnām nahīñ ḳhvāhish-e-islām nahīñ
talib-e-dost alag rahte hain sab se un ko
pas-e-asnam nahin KHwahish-e-islam nahin
zāhid piyāla thaam jhijhaktā hai kis liye
is muft kī sharāb ke piine se Dar nahīñ
zahid piyala tham jhijhakta hai kis liye
is muft ki sharab ke pine se Dar nahin
sunā hāl-e-dil-e-'majrūh' shab ko
koī hasrat sī hasrat thī bayāñ meñ
suna haal-e-dil-e-'majruh' shab ko
koi hasrat si hasrat thi bayan mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaj-adā.ī ye sab hamīñ tak thī
ab zamāne ko inqalāb kahāñ
kaj-adai ye sab hamin tak thi
ab zamane ko inqalab kahan
kuchh ho majrūh ghus chalo ghar meñ
aaj dar us kā hai khulā chaupaT
kuchh ho majruh ghus chalo ghar mein
aaj dar us ka hai khula chaupaT
us ke dar par to kisī kī bhī rasā.ī na huī
le ke sayyād qafas ko jo idhar se guzrā
us ke dar par to kisi ki bhi rasai na hui
le ke sayyaad qafas ko jo idhar se guzra
har ek jāntā hai ki mujh par nazar paḌī
kyā shoḳhiyāñ haiñ us nigah-e-sehr-kār meñ
har ek jaanta hai ki mujh par nazar paDi
kya shoKHiyan hain us nigah-e-sehr-kar mein
mire kis kaam kā hai baḳht-e-ḳhufta
ise rishvat meñ dūñgā pāsbāñ ko
mere kis kaam ka hai baKHt-e-KHufta
ise rishwat mein dunga pasban ko