Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Mirza Maseeta Beg Muntahi

Sher of Mirza Maseeta Beg Muntahi

795
Favorite

SORT BY

hai ḳhushī apnī vahī jo kuchh ḳhushī hai aap

hai vahī manzūr jo kuchh aap ko manzūr ho

hai KHushi apni wahi jo kuchh KHushi hai aap ki

hai wahi manzur jo kuchh aap ko manzur ho

ḳhud rahm kījiye dil-e-ummīd-vār par

aaphī nikāliye koī sūrat nibāh

KHud rahm kijiye dil-e-ummid-war par

aaphi nikaliye koi surat nibah ki

hai daulat-e-husn paas tere

detā nahīñ kyuuñ zakāt is

hai daulat-e-husn pas tere

deta nahin kyun zakat is ki

chalegā tiir jab apnī duā

kaleje dushmanoñ ke chhān degā

chalega tir jab apni dua ka

kaleje dushmanon ke chhan dega

yuuñ intizār-e-yār meñ ham umr bhar rahe

jaise nazar ġharīb allāh par rahe

yun intizar-e-yar mein hum umr bhar rahe

jaise nazar gharib ki allah par rahe

bosa jo māñgā bazm meñ farmāyā yaar ne

ye din dahāḌe aa.e haiñ pagḌī utārne

bosa jo manga bazm mein farmaya yar ne

ye din dahaDe aae hain pagDi utarne

mujh āshiq aap ma.ashūq tab hove nasīb

jab ḳhudā ik dūsrā arz-o-samā paidā kare

mujh sa aashiq aap sa mashuq tab howe nasib

jab KHuda ek dusra arz-o-sama paida kare

jise zauq-e-bāda-parastī nahīñ hai

mire sāmne us hastī nahīñ hai

jise zauq-e-baada-parasti nahin hai

mere samne us ki hasti nahin hai

jis qadar vo mujh se bigḌā maiñ bhī bigḌā us qadar

vo huā jaame se bāhar maiñ bhī nañgā ho gayā

jis qadar wo mujh se bigDa main bhi bigDa us qadar

wo hua jame se bahar main bhi nanga ho gaya

duniyā maal muft meñ chakhne ke vāste

haath aayā ḳhuub shaiḳh ko hiila namāz

duniya ka mal muft mein chakhne ke waste

hath aaya KHub shaiKH ko hila namaz ka

umiid hai hameñ fardā ho pas-e-fardā

zarūr ho.egī sohbat vo yaar baaqī hai

umid hai hamein farda ho ya pas-e-farda

zarur hoegi sohbat wo yar baqi hai

aayā payām-e-vasl yakāyak jo yaar

ma.alūm ye huā ki ga.e din zavāl ke

aaya payam-e-wasl yakayak jo yar ka

malum ye hua ki gae din zawal ke

sikhlā rahā huuñ dil ko mohabbat ke rañg-Dhañg

kartā huuñ maiñ makān ta.amīr āj-kal

sikhla raha hun dil ko mohabbat ke rang-Dhang

karta hun main makan ki tamir aaj-kal

jalā kar zāhidoñ ko mai-kashoñ ko shaad karte haiñ

girā kar masjidoñ ko mai-kade ābād karte haiñ

jala kar zahidon ko mai-kashon ko shad karte hain

gira kar masjidon ko mai-kade aabaad karte hain

baal khole nahīñ phirtā hai agar vo saffāk

phir kaho kyuuñ mujhe āshufta-sarī rahtī hai

baal khole nahin phirta hai agar wo saffak

phir kaho kyun mujhe aashufta-sari rahti hai

tohmat-e-jurm-o-ḳhatā hirs-o-havā ġhaflat-e-dil

ham ne bāzār se hastī ke liyā kyā kyā kuchh

tohmat-e-jurm-o-KHata hirs-o-hawa ghaflat-e-dil

hum ne bazar se hasti ke liya kya kya kuchh

azaañ de ke nāqūs ko phūñk kar

tujhe har tarah kab pukārā nahīñ

azan de ke naqus ko phunk kar

tujhe har tarah kab pukara nahin

asiir kar ke hameñ hukm de gayā sayyād

qafas ho tañg to un ke na bāl-o-par rakhnā

asir kar ke hamein hukm de gaya sayyaad

qafas ho tang to un ke na baal-o-par rakhna

ka.aba-o-dair ek samajhte haiñ riñd-e-pāk

pāband ye nahīñ haiñ harām-o-halāl ke

kaba-o-dair ek samajhte hain rind-e-pak

paband ye nahin hain haram-o-halal ke

phaaḌ Dālūñgā maiñ ik din naqāb-e-rū-e-yār

pheñk dūñgā khod kar gulzār dīvār ko

phaD hi Dalunga main ek din naqab-e-ru-e-yar

phenk dunga khod kar gulzar ki diwar ko

musāfirāna rahā is sarā-e-hastī meñ

chalā phirā maiñ zamāne meñ rahguzar tarah

musafirana raha is sara-e-hasti mein

chala phira main zamane mein rahguzar ki tarah

ba.ad marne ke Thikāne lag ga.ī miTTī mirī

ḳhaak se āshiq kyā kyā yaar ke sāġhar bane

baad marne ke Thikane lag gai miTTi meri

KHak se aashiq ki kya kya yar ke saghar bane

tere bāzār-e-dahr meñ gardūñ

ham bhī aa.e haiñ ik qabā ke liye

tere bazar-e-dahr mein gardun

hum bhi aae hain ek qaba ke liye

jidhar ko mirī chashm-e-tar jā.egī

udhar kaam dariyā kar jā.egī

jidhar ko meri chashm-e-tar jaegi

udhar kaam dariya ka kar jaegi

latīf ruuh ke mānind jism hai kis

piyāda kaun vaqār-e-savār rakhtā hai

latif ruh ke manind jism hai kis ka

piyaada kaun waqar-e-sawar rakhta hai

hote hote na huā misra-e-rañgīñ mauzūñ

band kyuuñ ho gayā ḳhūn-e-jigar aate aate

hote hote na hua misra-e-rangin mauzun

band kyun ho gaya KHun-e-jigar aate aate

piirī huī shabāb se utrā jhaTak gayā

shā.er huuñ merā misra-e-sānī laTak gayā

piri hui shabab se utra jhaTak gaya

shaer hun mera misra-e-sani laTak gaya

sadā-e-qulqul-e-mīnā mujhe nahīñ aatī

mire savāl shīshe meñ kuchh javāb nahīñ

sada-e-qulqul-e-mina mujhe nahin aati

mere sawal ka shishe mein kuchh jawab nahin

ho jaatī hai havā qafas-e-tan se chhaT ke ruuh

kyā said bhāgtā hai rihā ho ke daam se

ho jati hai hawa qafas-e-tan se chhaT ke ruh

kya said bhagta hai riha ho ke dam se

tārik-e-duniyā hai jab se 'muntahī'

misl-e-beva mādar-e-ayyām hai

tarik-e-duniya hai jab se 'muntahi'

misl-e-bewa madar-e-ayyam hai

tufail-e-rūh mirā jism-e-zār baaqī hai

huā ke dam se ye musht-e-ġhubār baaqī hai

tufail-e-ruh mera jism-e-zar baqi hai

hua ke dam se ye musht-e-ghubar baqi hai

us but ko chhoḌ kar haram-o-dair par miTe

aql-e-sharīf se ye nihāyat ba.iid hai

us but ko chhoD kar haram-o-dair par miTe

aql-e-sharif se ye nihayat baid hai

na band kar ise fasl-e-bahār meñ saaqī

na Daal duḳhtar-e-raz achār shīshe meñ

na band kar ise fasl-e-bahaar mein saqi

na Dal duKHtar-e-raz ka achaar shishe mein

ḳhayāl us saf-e-mizhgāñ dil meñ aa.egā

hamāre mulk meñ bhartī sipāh hogī

KHayal us saf-e-mizhgan ka dil mein aaega

hamare mulk mein bharti sipah ki hogi

Recitation

Speak Now