Sher of Munawar Khan Ghafil
ba.ad marne ke mirī qabr pe aayā 'ġhāfil'
yaad aa.ī mire iisā ko davā mere ba.ad
baad marne ke meri qabr pe aaya 'ghafil'
yaad aai mere isa ko dawa mere baad
lailatul-qadr hai har shab use har roz hai iid
jis ne mai-ḳhāne meñ māh-e-ramazāñ dekhā hai
lailatul-qadr hai har shab use har roz hai id
jis ne mai-KHane mein mah-e-ramazan dekha hai
satānā qatl karnā phir jalānā
vo be-ta.alīm kyā kyā jānte haiñ
satana qatl karna phir jalana
wo be-talim kya kya jaante hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jīte-jī qadr bashar kī nahīñ hotī sāhab
yaad aa.egī tumheñ merī vafā mere ba.ad
jite-ji qadr bashar ki nahin hoti sahab
yaad aaegi tumhein meri wafa mere baad
haqq-e-mehnat un ġharīboñ kā samajhte gar amiir
apne rahne kā makāñ de Dālte mazdūr ko
haqq-e-mehnat un gharibon ka samajhte gar amir
apne rahne ka makan de Dalte mazdur ko
vo sub.h ko is Dar se nahīñ baam par aatā
naama na koī bāñdh de sūraj kī kiran meñ
wo subh ko is Dar se nahin baam par aata
nama na koi bandh de suraj ki kiran mein
tark-e-sharāb bhī jo karūñgā to mohtasib
toḌūñgā tere sar se piyāla sharāb kā
tark-e-sharab bhi jo karunga to mohtasib
toDunga tere sar se piyala sharab ka
dushman ke kaam karne lagā ab to dost bhī
tū ai raqīb darpai-e-āzār hai abas
dushman ke kaam karne laga ab to dost bhi
tu ai raqib darpai-e-azar hai abas
aa ke sajjāda-nashīñ qais huā mere ba.ad
na rahī dasht meñ ḳhālī mirī jā mere ba.ad
aa ke sajjada-nashin qais hua mere baad
na rahi dasht mein KHali meri ja mere baad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sitāre gum hue ḳhurshīd niklā
araq jab yaar ne poñchhā jabīñ se
sitare gum hue KHurshid nikla
araq jab yar ne ponchha jabin se
jī meñ aatā hai mai-kashī kiije
taak kar koī sāya-dār daraḳht
ji mein aata hai mai-kashi kije
tak kar koi saya-dar daraKHt
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
parvāne ke huzūr jalāyā na sham.a ko
bulbul ke aage phuul na toḌā gulāb kā
parwane ke huzur jalaya na shama ko
bulbul ke aage phul na toDa gulab ka
āshiq ko na le jaa.e ḳhudā aisī galī meñ
jhāñke na jahāñ rauzan-e-dīvār se koī
aashiq ko na le jae KHuda aisi gali mein
jhanke na jahan rauzan-e-diwar se koi
gil hai aariz to qadd-e-yār daraḳht
kab ho aisā bahār-dār daraḳht
gil hai aariz to qadd-e-yar daraKHt
kab ho aisa bahaar-dar daraKHt
-
Tag : Darakht
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gulshan-e-ishq kā tamāshā dekh
sar-e-mansūr phal hai daar daraḳht
gulshan-e-ishq ka tamasha dekh
sar-e-mansur phal hai dar daraKHt
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā ḳhabar hai ham se mahjūroñ kī un ko roz-e-īd
jo gale mil kar baham sarf-e-mubārakbād haiñ
kya KHabar hai hum se mahjuron ki un ko roz-e-id
jo gale mil kar baham sarf-e-mubarakbaad hain
islām kā subūt hai ai shaiḳh kufr se
tasbīh TuuT jaa.e jo zunnār TuuT jaa.e
islam ka subut hai ai shaiKH kufr se
tasbih TuT jae jo zunnar TuT jae
apne majnūñ kī zarā dekh to be-parvā.ī
pairahan chaak hai aur fikr silāne kī nahīñ
apne majnun ki zara dekh to be-parwai
pairahan chaak hai aur fikr silane ki nahin
lutf tab amard-parastī kā hai bāġh-e-ḳhuld meñ
paas baiThe jabki ġhilmāñ aur khaḌī ho huur duur
lutf tab amard-parasti ka hai bagh-e-KHuld mein
pas baiThe jabki ghilman aur khaDi ho hur dur
vo havā-ḳhvāh-e-chaman huuñ ki chaman meñ har sub.h
pahle maiñ aatā huuñ aur bād-e-sabā mere ba.ad
wo hawa-KHwah-e-chaman hun ki chaman mein har subh
pahle main aata hun aur baad-e-saba mere baad
agar uryānī-e-majnūñ pe aatā rahm lailā ko
banā detī qabā vo chaak kar ke parda mahmil kā
agar uryani-e-majnun pe aata rahm laila ko
bana deti qaba wo chaak kar ke parda mahmil ka
vo ā.ina-tan ā.īna phir kis liye dekhe
jo dekh le muñh apnā har ik uzv-e-badan meñ
wo aaina-tan aaina phir kis liye dekhe
jo dekh le munh apna har ek uzw-e-badan mein
martaba ma.ashūq kā āshiq se bālā-dast hai
ḳhaar kī jā zer-e-pā gul kā makāñ dastār par
martaba mashuq ka aashiq se baala-dast hai
KHar ki ja zer-e-pa gul ka makan dastar par
aa.e kabhī to dasht se vo shahar kī taraf
majnūñ ke paañv meñ jo na zanjīr-e-jāda ho
aae kabhi to dasht se wo shahar ki taraf
majnun ke panw mein jo na zanjir-e-jada ho
vasl meñ bhī nahīñ majāl-e-suḳhan
is rasā.ī pe nā-rasā haiñ ham
wasl mein bhi nahin majal-e-suKHan
is rasai pe na-rasa hain hum
barsoñ ḳhayāl-e-yār rahā kuchh khichā khichā
ik dam mirā jo aur taraf dhyān baT gayā
barson KHayal-e-yar raha kuchh khicha khicha
ek dam mera jo aur taraf dhyan baT gaya
kaun dariyā-e-mohabbat se utar saktā hai paar
kashtī-e-farhād āḳhir koh se Takrā ga.ī
kaun dariya-e-mohabbat se utar sakta hai par
kashti-e-farhad aaKHir koh se Takra gai
fariyād kī aatī hai sadā siine se har dam
merā dil-e-nālāñ hai ki añgrezī ghaḌī hai
fariyaad ki aati hai sada sine se har dam
mera dil-e-nalan hai ki angrezi ghaDi hai
ḳhat-navesī ye hai to mushtāqo
haath ik din qalam tumhāre haiñ
KHat-nawesi ye hai to mushtaqo
hath ek din qalam tumhaare hain
kūcha-e-jānāñ meñ yaaro kaun suntā hai mirī
mujh se vaañ phirte haiñ lākhoñ daad aur be-dād meñ
kucha-e-jaanan mein yaro kaun sunta hai meri
mujh se wan phirte hain lakhon dad aur be-dad mein
niklā na dāġh-e-dil se hamārā to koī kaam
na vo charāġh-e-dair na sham-e-haram huā
nikla na dagh-e-dil se hamara to koi kaam
na wo charagh-e-dair na sham-e-haram hua
zulf-e-pur-pech ke saude meñ ajab kyā imkāñ
gar ulajh jaa.e ḳharīdār ḳharīdār ke saath
zulf-e-pur-pech ke saude mein ajab kya imkan
gar ulajh jae KHaridar KHaridar ke sath