Sher of Nashtar Khaanqahi
ab tak hamārī umr kā bachpan nahīñ gayā
ghar se chale the jeb ke paise girā diye
ab tak hamari umr ka bachpan nahin gaya
ghar se chale the jeb ke paise gira diye
-
Tag : Bachpan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bichhaḌ kar us se sīkhā hai tasavvur ko badan karnā
akele meñ use chhūnā akele meñ suḳhan karnā
bichhaD kar us se sikha hai tasawwur ko badan karna
akele mein use chhuna akele mein suKHan karna
mirī qīmat ko sunte haiñ to gāhak lauT jaate haiñ
bahut kamyāb ho jo shai vo hotī hai girāñ aksar
meri qimat ko sunte hain to gahak lauT jate hain
bahut kamyab ho jo shai wo hoti hai giran aksar
pursish-e-hāl se ġham aur na baḌh jaa.e kahīñ
ham ne is Dar se kabhī haal na pūchhā apnā
pursish-e-haal se gham aur na baDh jae kahin
hum ne is Dar se kabhi haal na puchha apna
din nikalnā thā ki saare shahr meñ bhagdaḌ machī
anginat ḳhvāboñ ke chehre bhiiḌ meñ gum ho ga.e
din nikalna tha ki sare shahr mein bhagdaD machi
anginat KHwabon ke chehre bhiD mein gum ho gae
har baar nayā le ke jo fitna nahīñ aayā
is umr meñ aisā koī lamha nahīñ aayā
TRANSLATION
It brought a new trouble, every time it came,
No moment of my life has so far been the same.
Sagar Akbarabadi
har bar naya le ke jo fitna nahin aaya
is umr mein aisa koi lamha nahin aaya
TRANSLATION
It brought a new trouble, every time it came,
No moment of my life has so far been the same.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download