Sher of Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
dozaḳh o jannat haiñ ab merī nazar ke sāmne
ghar raqīboñ ne banāyā us ke ghar ke sāmne
dozaKH o jannat hain ab meri nazar ke samne
ghar raqibon ne banaya us ke ghar ke samne
samjhā hai haq ko apne hī jānib har ek shaḳhs
ye chāñd us ke saath chalā jo jidhar gayā
samjha hai haq ko apne hi jaanib har ek shaKHs
ye chand us ke sath chala jo jidhar gaya
-
Tag : Sach
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
laa.e us but ko iltijā kar ke
kufr TuuTā ḳhudā ḳhudā kar ke
lae us but ko iltija kar ke
kufr TuTa KHuda KHuda kar ke
butoñ kī galī chhoḌ kar kaun jaa.e
yahīñ se hai ka.aba ko sajda hamārā
buton ki gali chhoD kar kaun jae
yahin se hai kaba ko sajda hamara
kyā lutf jo ġhair parda khole
jaadū vo jo sar pe chaḌh ke bole
kya lutf jo ghair parda khole
jadu wo jo sar pe chaDh ke bole
junūñ kī chāk-zanī ne asar kiyā vaañ bhī
jo ḳhat meñ haal likhā thā vo ḳhat kā haal huā
junun ki chaak-zani ne asar kiya wan bhi
jo KHat mein haal likha tha wo KHat ka haal hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jab mile do dil muḳhil phir kaun hai
baiTh jaao ḳhud hayā uTh jā.egī
jab mile do dil muKHil phir kaun hai
baiTh jao KHud haya uTh jaegi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jab na jīte-jī mire kaam aa.egī
kyā ye duniyā āqibat baḳhshvā.egī
jab na jite-ji mere kaam aaegi
kya ye duniya aaqibat baKHshwaegi
kūcha-e-jānāñ kī miltī thī na raah
band kiiñ āñkheñ to rasta khul gayā
kucha-e-jaanan ki milti thi na rah
band kin aankhen to rasta khul gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
makān siine kā paatā huuñ dam-ba-dam ḳhālī
nazar bachā ke tū ai dil kidhar ko jaatā hai
makan sine ka pata hun dam-ba-dam KHali
nazar bacha ke tu ai dil kidhar ko jata hai
jo din ko niklo to ḳhurshīd gird-e-sar ghūme
chalo jo shab ko to qadmoñ pe māhtāb gire
jo din ko niklo to KHurshid gird-e-sar ghume
chalo jo shab ko to qadmon pe mahtab gire
chalā duḳhtar-e-raz ko le kar jo saaqī
farishta hue saath ghar dekhne ko
chala duKHtar-e-raz ko le kar jo saqi
farishta hue sath ghar dekhne ko
ma.anī-e-raushan jo hoñ to sau se behtar ek sher
matla-e-ḳhurshīd kaafī hai pa.e-dīvān-e-sub.h
mani-e-raushan jo hon to sau se behtar ek sher
matla-e-KHurshid kafi hai pae-diwan-e-subh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
thā sam pe ye us parī kā naqsha
sab aañkh milā kahte the aa
tha sam pe ye us pari ka naqsha
sab aankh mila kahte the aa
sub.h-dam ġhā.eb hue 'anjum' to sābit ho gayā
ḳhanda-e-behūda par toḌe ga.e dandān-e-sub.h
subh-dam ghaeb hue 'anjum' to sabit ho gaya
KHanda-e-behuda par toDe gae dandan-e-subh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download