Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rana Amir Liyaqat's Photo'

Rana Amir Liyaqat

Sher of Rana Amir Liyaqat

4K
Favorite

SORT BY

agarche roz mirā sabr āzmātā hai

magar ye dariyā mujhe tairnā sikhātā hai

agarche roz mera sabr aazmata hai

magar ye dariya mujhe tairna sikhata hai

har saañs na.ī saañs hai har din hai mirā din

taqdīr liye aatī hai har roz nayā din

har sans nai sans hai har din hai mera din

taqdir liye aati hai har roz naya din

maiñ jāntā huuñ mohabbat meñ kyā nahīñ karnā

ye vo jagah hai jahāñ qais bhī phisaltā hai

main jaanta hun mohabbat mein kya nahin karna

ye wo jagah hai jahan qais bhi phisalta hai

ka.ī tarah ke tahā.if pasand haiñ us ko

magar jo kaam yahāñ phuul se nikaltā hai

kai tarah ke tahaif pasand hain us ko

magar jo kaam yahan phul se nikalta hai

aao āñkheñ milā ke dekhte haiñ

kaun kitnā udaas rahtā hai

aao aankhen mila ke dekhte hain

kaun kitna udas rahta hai

gale lagā ke mujhe pūchh mas.ala kyā hai

maiñ Dar rahā huuñ tujhe hāl-e-dil sunāne se

gale laga ke mujhe puchh masala kya hai

main Dar raha hun tujhe haal-e-dil sunane se

tujh se kahnā thā hāl-e-dil lekin

bhī ai dost aa.inā niklā

tujh se kahna tha haal-e-dil lekin

tu bhi ai dost aaina nikla

is daur-e-nā-murād se ye tajraba huā

dīvār guftugū ke liye behtarīn hai

is daur-e-na-murad se ye tajraba hua

diwar guftugu ke liye behtarin hai

aadhe ghar meñ maiñ hotā huuñ aadhe ghar meñ tanhā.ī

kaun chiiz kahāñ rakh hai kaun mujhe batlā.egā

aadhe ghar mein main hota hun aadhe ghar mein tanhai

kaun si chiz kahan rakh di hai kaun mujhe batlaega

ḳhudā shukr ki aahaT se ḳhvāb TuuT gayā

maiñ apne ishq meñ nākām hone vaalā thā

KHuda ka shukr ki aahaT se KHwab TuT gaya

main apne ishq mein nakaam hone wala tha

vasl nuqsān kar gayā merā

mar ga.ī aaj shā.erī merī

wasl nuqsan kar gaya mera

mar gai aaj shaeri meri

hazār raste tire hijr ke ilaaj ke haiñ

ham ahl-e-ishq zarā muḳhtalif mizāj ke haiñ

hazar raste tere hijr ke ilaj ke hain

hum ahl-e-ishq zara muKHtalif mizaj ke hain

use patā hai kahāñ haath thāmnā hai mirā

use patā hai kahāñ peḌ suukh jaatā hai

use pata hai kahan hath thamna hai mera

use pata hai kahan peD sukh jata hai

zindagī dekh tirī ḳhaas ri.āyat hogī

ik mohabbat hai mire paas agar karne de

zindagi dekh teri KHas riayat hogi

ek mohabbat hai mere pas agar karne de

aisī pyārī shaam meñ bahlāne ko

paañv nikāle sakte haiñ chādar se

aisi pyari sham mein ji bahlane ko

panw nikale ja sakte hain chadar se

qīmtī shai thī tirā hijr uThā.e rakkhā

varna sailāb meñ sāmān kahāñ dekhte haiñ

qimti shai thi tera hijr uThae rakkha

warna sailab mein saman kahan dekhte hain

nukta yahī azal se paḌhāyā gayā hameñ

havvā barā.e-husn hai aadam barā.e-ishq

nukta yahi azal se paDhaya gaya hamein

hawwa barae-husn hai aadam barae-ishq

dil ik aisā kaasa hai jis gahrā.ī mat pūchho

jitne sikke Dāloge utnā ḳhālī rah jā.egā

dil ek aisa kasa hai jis ki gahrai mat puchho

jitne sikke Daloge utna KHali rah jaega

dil qanā.at zarā kartā to

har mohabbat thī āḳhirī merī

dil qanaat zara si karta to

har mohabbat thi aaKHiri meri

maiñ us nazroñ kuchh is liye bhī huuñ qaa.il

vo jis ko chāhe use dekhnā sikhātā hai

main us ki nazron ka kuchh is liye bhi hun qail

wo jis ko chahe use dekhna sikhata hai

mohabbatoñ ke liye umr kam hai so vo shaḳhs

sabhī shikāyateñ kuchh din idhar udhar kar de

mohabbaton ke liye umr kam hai so wo shaKHs

sabhi shikayaten kuchh din idhar udhar kar de

mānūs raushnī huī mere makān se

vo jism jab nikal gayā resham ke thaan se

manus raushni hui mere makan se

wo jism jab nikal gaya resham ke than se

iiñT se iiñT joḌ kar, ḳhvāb banā rahā huuñ maiñ

raḳhne na Daal mere yaar' ḳhvāb dekh-bhāl meñ

inT se inT joD kar, KHwab bana raha hun main

raKHne na Dal mere yar' KHwab ki dekh-bhaal mein

apnā aap paḌā rah jaatā hai bas ik andāze par

aadhe ham is dhartī par haiñ aadhe us sayyāre par

apna aap paDa rah jata hai bas ek andaze par

aadhe hum is dharti par hain aadhe us sayyare par

maiñ hāv-hū pe kahānī ko ḳhatm kar dūñgā

ye aam baat nahīñ hai, ise ḳhabar liyā jaa.e

main haw-hu pe kahani ko KHatm kar dunga

ye aam baat nahin hai, ise KHabar liya jae

tujh aañkh se jhalaktā thā ehsās-e-zindagī

maiñ dekhtā rahā huuñ tujhe ḳhāk-dān se

tujh aankh se jhalakta tha ehsas-e-zindagi

main dekhta raha hun tujhe KHak-dan se

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now