Sher of Saeed Rahi
rusvā.ī to vaise bhī taqdīr hai āshiq kī
zillat bhī milī ham ko ulfat ke fasāne se
ruswai to waise bhi taqdir hai aashiq ki
zillat bhi mili hum ko ulfat ke fasane se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum nahīñ ġham nahīñ sharāb nahīñ
aisī tanhā.ī kā javāb nahīñ
tum nahin gham nahin sharab nahin
aisi tanhai ka jawab nahin
mere jaise ban jāoge jab ishq tumheñ ho jā.egā
dīvāroñ se sar Takrāoge jab ishq tumheñ ho jā.egā
mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaega
diwaron se sar Takraoge jab ishq tumhein ho jaega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dost ban ban ke mile mujh ko miTāne vaale
maiñ ne dekhe haiñ ka.ī rañg zamāne vaale
dost ban ban ke mile mujh ko miTane wale
main ne dekhe hain kai rang zamane wale
gaahe gaahe ise paḌhā kījiye
dil se behtar koī kitāb nahīñ
gahe gahe ise paDha kijiye
dil se behtar koi kitab nahin
maiñ na piitā to tirā likhkhā ġhalat ho jaatā
tere likkhe ko nibhāyā kyā ḳhatā kī maiñ ne
main na pita to tera likhkha ghalat ho jata
tere likkhe ko nibhaya kya KHata ki main ne