Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Safi Lakhnavi's Photo'

Safi Lakhnavi

1862 - 1950 | Lucknow, India

Prominent later classical poet who enjoyed wide popularity

Prominent later classical poet who enjoyed wide popularity

Sher of Safi Lakhnavi

ġhazal us ne chheḌī mujhe saaz denā

zarā umr-e-rafta ko āvāz denā

ghazal us ne chheDi mujhe saz dena

zara umr-e-rafta ko aawaz dena

janāza rok kar merā vo is andāz se bole

galī ham ne kahī thī tum to duniyā chhoḌe jaate ho

janaza rok kar mera wo is andaz se bole

gali hum ne kahi thi tum to duniya chhoDe jate ho

dekhe baġhair haal ye hai iztirāb

kyā jaane kyā ho parda jo uTThe naqāb

dekhe baghair haal ye hai iztirab ka

kya jaane kya ho parda jo uTThe naqab ka

mirī na.ash ke sirhāne vo khaḌe ye kah rahe haiñ

ise niiñd yuuñ na aatī agar intizār hotā

meri nash ke sirhane wo khaDe ye kah rahe hain

ise nind yun na aati agar intizar hota

paiġhām zindagī ne diyā maut mujhe

marne ke intizār meñ jiinā paḌā mujhe

paigham zindagi ne diya maut ka mujhe

marne ke intizar mein jina paDa mujhe

banāvaT ho to aisī ho ki jis se sādgī Tapke

ziyāda ho to aslī husn chhup jaatā hai zevar se

banawaT ho to aisi ho ki jis se sadgi Tapke

ziyaada ho to asli husn chhup jata hai zewar se

ḳhatm ho jaate jo husn o ishq ke naaz o adā

shā.erī bhī ḳhatm ho jaatī nubuvvat tarah

KHatm ho jate jo husn o ishq ke naz o ada

shaeri bhi KHatm ho jati nubuwwat ki tarah

kal ham ā.īne meñ ruḳh jhurriyāñ dekhā kiye

kārvān-e-umr-e-rafta nishāñ dekhā kiye

kal hum aaine mein ruKH ki jhurriyan dekha kiye

karwan-e-umr-e-rafta ka nishan dekha kiye

deñ bhī javāb-e-ḳhat ki na deñ kyā ḳhabar mujhe

kyuuñ apne saath le na gayā nāma-bar mujhe

den bhi jawab-e-KHat ki na den kya KHabar mujhe

kyun apne sath le na gaya nama-bar mujhe

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now