Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sahba Akhtar's Photo'

Sahba Akhtar

1931 - 1996 | Karachi, Pakistan

Sher of Sahba Akhtar

731
Favorite

SORT BY

agar shu.ūr na ho to bahisht hai duniyā

baḌe azaab meñ guzrī hai āgahī ke saath

agar shuur na ho to bahisht hai duniya

baDe azab mein guzri hai aagahi ke sath

mere suḳhan daad bhī us ko dījiye

vo jis aarzū mujhe shā.er banā ga.ī

mere suKHan ki dad bhi us ko hi dijiye

wo jis ki aarzu mujhe shaer bana gai

hameñ ḳhabar hai zan-e-fāhisha hai ye duniyā

so ham bhī saath ise be-nikāh rakhte haiñ

hamein KHabar hai zan-e-fahisha hai ye duniya

so hum bhi sath ise be-nikah rakhte hain

tum ne kahā thā chup rahnā so chup ne bhī kyā kaam kiyā

chup rahne aadat ne kuchh aur hameñ badnām kiyā

tum ne kaha tha chup rahna so chup ne bhi kya kaam kiya

chup rahne ki aadat ne kuchh aur hamein badnam kiya

dil ke ujḌe nagar ko kar ābād

is Dagar ko bhī koī raahī de

dil ke ujDe nagar ko kar aabaad

is Dagar ko bhi koi rahi de

subūt maañg rahe haiñ mirī tabāhī

mujhe tabāh kiyā jin kaj-adā.ī ne

subut mang rahe hain meri tabahi ka

mujhe tabah kiya jin ki kaj-adai ne

mirī tanhā.iyoñ ko kaun samjhe

maiñ saaya huuñ magar ḳhud se judā huuñ

meri tanhaiyon ko kaun samjhe

main saya hun magar KHud se juda hun

'sahbā' sāhab dariyā ho to dariyā jaisī baat karo

tez havā se lahar to ik jauhaḌ meñ bhī aa jaatī hai

'sahba' sahab dariya ho to dariya jaisi baat karo

tez hawa se lahar to ek jauhaD mein bhi aa jati hai

shāyad vo sañg-dil ho kabhī mā.il-e-karam

sūrat na de yaqīn is ehtimāl ko

shayad wo sang-dil ho kabhi mail-e-karam

surat na de yaqin ki is ehtimal ko

maiñ use samjhūñ na samjhūñ dil ko hotā hai zarūr

laala o gul par gumāñ ik ajnabī tahrīr

main use samjhun na samjhun dil ko hota hai zarur

lala o gul par guman ek ajnabi tahrir ka

bayān-e-laġhzish-e-ādam na kar ki vo fitna

mirī zamīñ se nahīñ tere āsmāñ se uThā

bayan-e-laghzish-e-adam na kar ki wo fitna

meri zamin se nahin tere aasman se uTha

Recitation

Speak Now