ALL
Profile
Ghazal66
Nazm101
Sher101
E-book63
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari33
Audio37
Video50
Qita4
Qisse3
Gallery 3
Blog4
Other
Lori1
Geet49
Filmi Geet4
TOP 20 SHAYARI of Sahir Ludhianvi
vo afsāna jise anjām tak laanā na ho mumkin
use ik ḳhūb-sūrat moḌ de kar chhoḌnā achchhā
wo afsana jise anjam tak lana na ho mumkin
use ek KHub-surat moD de kar chhoDna achchha
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e haiñ un ko
kyā huā aaj ye kis baat pe ronā aayā
hum to samjhe the ki hum bhul gae hain un ko
kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya
dekhā hai zindagī ko kuchh itne qarīb se
chehre tamām lagne lage haiñ ajiib se
dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se
chehre tamam lagne lage hain ajib se
ġham aur ḳhushī meñ farq na mahsūs ho jahāñ
maiñ dil ko us maqām pe laatā chalā gayā
gham aur KHushi mein farq na mahsus ho jahan
main dil ko us maqam pe lata chala gaya
hazār barq gire laakh āñdhiyāñ uTTheñ
vo phuul khil ke raheñge jo khilne vaale haiñ
hazar barq gire lakh aandhiyan uTThen
wo phul khil ke rahenge jo khilne wale hain
tañg aa chuke haiñ kashmakash-e-zindagī se ham
Thukrā na deñ jahāñ ko kahīñ be-dilī se ham
tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum
Thukra na den jahan ko kahin be-dili se hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaun rotā hai kisī aur kī ḳhātir ai dost
sab ko apnī hī kisī baat pe ronā aayā
who does ever weep for others' sake my friend
everybody cries
kaun rota hai kisi aur ki KHatir ai dost
sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya
who does ever weep for others' sake my friend
everybody cries
-
Tag : Sad
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apnī tabāhiyoñ kā mujhe koī ġham nahīñ
tum ne kisī ke saath mohabbat nibhā to dī
at my own destruction I do not moan or weep
for faith at least with someone, you managed to keep
apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin
tum ne kisi ke sath mohabbat nibha to di
at my own destruction I do not moan or weep
for faith at least with someone, you managed to keep
maiñ zindagī kā saath nibhātā chalā gayā
har fikr ko dhueñ meñ uḌātā chalā gayā
main zindagi ka sath nibhata chala gaya
har fikr ko dhuen mein uData chala gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vaise to tumhīñ ne mujhe barbād kiyā hai
ilzām kisī aur ke sar jaa.e to achchhā
waise to tumhin ne mujhe barbaad kiya hai
ilzam kisi aur ke sar jae to achchha
gar zindagī meñ mil ga.e phir ittifāq se
pūchheñge apnā haal tirī bebasī se ham
gar zindagi mein mil gae phir ittifaq se
puchhenge apna haal teri bebasi se hum
-
Tag : Zindagi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik shahanshāh ne daulat kā sahārā le kar
ham ġharīboñ kī mohabbat kā uḌāyā hai mazāq
ek shahanshah ne daulat ka sahaara le kar
hum gharibon ki mohabbat ka uDaya hai mazaq
chand kaliyāñ nashāt kī chun kar muddatoñ mahv-e-yās rahtā huuñ
terā milnā ḳhushī kī baat sahī tujh se mil kar udaas rahtā huuñ
chand kaliyan nashat ki chun kar muddaton mahw-e-yas rahta hun
tera milna KHushi ki baat sahi tujh se mil kar udas rahta hun
un ke ruḳhsār pe Dhalke hue aañsū tauba
maiñ ne shabnam ko bhī sho.aloñ pe machalte dekhā
un ke ruKHsar pe Dhalke hue aansu tauba
main ne shabnam ko bhi shoalon pe machalte dekha
duniyā ne tajrabāt o havādis kī shakl meñ
jo kuchh mujhe diyā hai vo lauTā rahā huuñ maiñ
duniya ne tajrabaat o hawadis ki shakl mein
jo kuchh mujhe diya hai wo lauTa raha hun main
maiñ jise pyaar kā andāz samajh baiThā huuñ
vo tabassum vo takallum tirī aadat hī na ho
main jise pyar ka andaz samajh baiTha hun
wo tabassum wo takallum teri aadat hi na ho
tū mujhe chhoḌ ke Thukrā ke bhī jā saktī hai
tere hāthoñ meñ mire haath haiñ zanjīr nahīñ
tu mujhe chhoD ke Thukra ke bhi ja sakti hai
tere hathon mein mere hath hain zanjir nahin
maanā ki is zamīñ ko na gulzār kar sake
kuchh ḳhaar kam to kar ga.e guzre jidhar se ham
mana ki is zamin ko na gulzar kar sake
kuchh KHar kam to kar gae guzre jidhar se hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
phir na kiije mirī gustāḳh-nigāhī kā gilā
dekhiye aap ne phir pyaar se dekhā mujh ko
phir na kije meri gustaKH-nigahi ka gila
dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujh ko
nālāñ huuñ maiñ bedārī-e-ehsās ke hāthoñ
duniyā mire afkār kī duniyā nahīñ hotī
nalan hun main bedari-e-ehsas ke hathon
duniya mere afkar ki duniya nahin hoti
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download