Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sandeep Gupte's Photo'

Sandeep Gupte

1961 | Bhopal, India

Sher of Sandeep Gupte

482
Favorite

SORT BY

dulhan mehñdī jaisī hai urdu zabāñ shakl

ḳhushbū bikhertā hai ibārat harf harf

dulhan ki mehndi jaisi hai urdu zaban ki shakl

KHushbu bikherta hai ibarat ka harf harf

maiñ tumhāre shahr tahzīb se vāqif na thā

pattharoñ se nahīñ thī guftugū pahle kabhī

main tumhaare shahr ki tahzib se waqif na tha

pattharon se ki nahin thi guftugu pahle kabhi

ġhazal meñ jab talak ehsās shiddat na ho shāmil

faqat alfāz kārīgarī mahsūs hotī hai

ghazal mein jab talak ehsas ki shiddat na ho shamil

faqat alfaz ki karigari mahsus hoti hai

koī bhī shaḳhs duniyā meñ tumheñ chhoTā nazar na aa.e

tum apne sochne dā.era itnā baḌā kar lo

koi bhi shaKHs duniya mein tumhein chhoTa nazar na aae

tum apne sochne ka daera itna baDa kar lo

ham ehtiyāt aisī misāl dete haiñ

tumhārā zikr bhī aayā to Taal dete haiñ

hum ehtiyat ki aisi misal dete hain

tumhaara zikr bhi aaya to Tal dete hain

hameñ qubūl nahīñ chhoTā muñh baḌī bāteñ

misāl bante haiñ aur phir misāl dete haiñ

hamein qubul nahin chhoTa munh baDi baaten

misal bante hain aur phir misal dete hain

koī hayāt ke ma.anī batā ke samjhā.e

tavīl kyā hai bhalā muḳhtasar kyā matlab

koi hayat ke mani bata ke samjhae

tawil kya hai bhala muKHtasar ka kya matlab

us se merā koī rishta niklā

mere jaisā vo bhī tanhā niklā

us se mera koi rishta nikla

mere jaisa wo bhi tanha nikla

kahāñ rahtī hai pūchhā thā kisī ne ek din

maiñ ġhamoñ ke saath rahtī huuñ ḳhushī kahne lagī

tu kahan rahti hai puchha tha kisi ne ek din

main ghamon ke sath rahti hun KHushi kahne lagi

mohabbat to kisī se kar na paa.e

kisī se tum shikāyat kyā karoge

mohabbat to kisi se kar na pae

kisi se tum shikayat kya karoge

phir ek baar gunāhoñ se ham ne tauba

phir ek baar kiyā ham ne apnā kaam shurūa

phir ek bar gunahon se hum ne ki tauba

phir ek bar kiya hum ne apna kaam shurua

āñdhiyāñ aa.iiñ uThā kar le ga.iiñ sab bastiyāñ

maiñ ne ik dil meñ banāyā thā makāñ achchhā huā

aandhiyan aain uTha kar le gain sab bastiyan

main ne ek dil mein banaya tha makan achchha hua

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now